Ansh ek company mein salesman hain. Woh ek Mall mein naukri karta hain. Woh apne maata-pita ka iklauta ladka hain. Ek din, jab woh shaam mein apna khatam karke mall ke parking mein gaya, toh usne dekha ki ek ladki, apne car ka darwaaza baar-baar kholne ki koshish kar rahi thi. Lekin, woh darwaaza khul hi nahi paa raha tha. Ansh us ladki ke pass gaya aur kaha, "Excuse Me Mam. Kya main aapki koi madad kar sakta hoon ?" Ladki uske taraf dekhi aur muskura kar boli, "Haan, agar aap please yeh Car ka darwaaza kholne mein meri madad kar sakte hain, toh bohut meharbani hogi aapki." Ansh ne us ladki se kaha, "Zara aap please thoda sa side mein ho jaaiye." Woh ladki thoda sa side mein jaakar khadi ho gayi. Ansh ne chabi ko thoda sa yahan-wahan ghumaya aur darwaze ko ek halka sa dhakka dekar, usne chabi ko dayi aur ghumaya; phir woh darwaza khul gaya. "Oh wow. Thank You so much." Ladki ne khushi se kaha. Ansh - "You are welcome mam." "By t