Skip to main content

Posts

Showing posts from September, 2020

Saubhagya

  Sameer apne maata-pita ka eklauta ladka hain. Woh ek company mein naukri karta hain. Ek din, Sameer ek cinema hall mein movie dekhne ke liye gaya hua tha. Movie khatam hui aur woh cinema hall ke bahar nikla. Tabhi uska phone baja. Sameer ne dekha ki uske pita ka call aaya hua tha. Usne call uthaya aur kaha, "Hello." Phone ke dusre aur se uske pita ne kaha, "Hello Sameer. Kya tum free ho abhi ?" Sameer - "Haan Papa. Kya baat hain ?" Sameer ke pita ka naam Mahesh hain.  Mahesh - "Beta woh agar koi medical khuli ho, toh tum blood pressure ki dawa lete aana." Sameer - "Ab kaha milegi yeh dawa ? Itne raat mein kaha khula hoga medical ?" Mahesh - "Raaste mein dekhte hue aao. Agar mile toh thik, nahi toh kal kharid lenge." Sameer - "OK Papa." Uske baad, woh call kaat deta hain. 

Swarg

  Swarg naam ki ek society hain. Wahan par saikdon parivaar rehte hain. Wahan par rehne wale sabhi rahivasi madhyam varg parivaar se aate hain. Us society ke sabhi logon mein bohut ekta hain. Alag-Alag paarivaarik prshthabhoomi se hone ke bawjood, un logon mein bohut ekta hain. Chahe koi bhi tyohar kyun na ho, sabhi parivaar saath milkar manate hain. 

Samip

  Priyansh Pathak ek sarkari naukri karte hain. Woh peshe se ek sarkaari vakil hain. Haal hi mein unki patni ki maut ho gayi thi, ek bimaari ke chalte. Unki pehli patni ka naam, Parvati tha. Unki pehli patni se unhe ek beta hain. Uska naam hain Karan Pathak. Woh filhal 8 saal ka hain. Priyansh dusri shaadi nahi karna chahte the. Lekin, rishtedaaron ke bohut samjhane par, woh shaadi ke liye tayyar ho gaye. Priyansh ki dusri shaadi unke pehli patni ki choti behan se hui thi. Us ladki ka naam tha, Karuna.

Mohalle Ki Kahani

  Pranav apne maata-pita ka iklauta ladka hain. Uske pita ek private company mein naukri karte the. Filhal veh retire ho chuke hain.  Pranav ke pita ka naam Sanjay hain aur maa ka naam Aditi hain. Pranav ek call center mein naukri karta hain. Woh CSR ( Customer Service Representative ) ki post par hain. 

Sabr

  Raj ek company mein naukri karta hain. Woh online sales and marketing executive ki post par hain. Kuch mahino pehle hi usne apni degree haasil ki thi. Uski mahine ki salary 16,000 Rupaye hain. Haalanki Raj ne apni padhayi America se poori ki thi, lekin uske pass kisi naukri ka anubhav nahi hain, aur naa hi woh America mein rehkar naukri kar sakta hain, kyunki Raj ko zyada percentage nahi aaye the; is wajah se use wahan par koi bhi naukri nahi mili. Wahan ki padhayi kaafi mushkil bhi toh hoti hain. India mein uske pita ki bhi naukri hain aur woh kuch mahino mein retire bhi ho jaayenge. Raj ke pita ka naam Pratik hain.

Subah Ka Bhula

  Hardik Khatri ek businessman hain. Uski raashan ki dukaan hain. Woh apne maata-pita ka iklauta ladka hain. Uske pita ka naam Arun Khatri hain aur maata ka naam Neelam Khatri hain. Haal hi mein Hardik ki shaadi hui thi, ek businessman ki hi beti se. Uski patni ka naam Richa hain. Unka ek chota sa bangla hain. 

Lakshya

  Ankit ek company mein naukri karta hain. Woh apne parivaar se dur, ek anjaan shehar mein rehkar naukri karta hain. Uske parivaar mein uske maata-pita ke alaava aur koi nahi hain. Uske maata-pita Uttar Pradesh ke ek chote se gaon mein rehte hain aur woh Mumbai mein rehta hain. 

Bhatka Hua Maarg

Mahesh Joshi ek businessman hain. Unki patni ka naam hain, Shivani Joshi. Unhe ek beta aur ek beti hain. Bete ka naam hain, Rishi Joshi aur beti ka naam hain, Naina Joshi. Naina College mein padhti hain aur uska graduation khatam hi hone wala hain. Aur Rishi filhal saathvi kaksha mein padh raha hain.