Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2020

Izhaar

  Karan apne maa-baap ka eklauta ladka hain. Usne haal hi mein ek College mein admission liya hain. Woh College mein saare lectures attend karta hain. College shuru hokar ek mahina beet chuka hain aur Class ke zyadatar log uske acche dost ban chuke hain. 

Antarmukhi

  Pranav apne maata-pita ka iklauta ladka hain. Woh ek Call Center mein naukri karta hain. Woh swabhaav se behad shaant aur sharmila kism ka hain. Haal hi mein uska graduation poora hua hain. Lekin, use kisi company mein naukri na milne ki wajah se woh Call Center mein naukri kar raha hain. 

Ghar Ka Mukhiya

  Abhishek Khanna ek company mein naukri karte hain. Unki patni ka naam Sneha hain. Un dono ke do bete hain. Bade bete ka naam Sanjay hain aur chote bete ka naam Sandeep hain. Sneha Abhishek ki dusri patni hain. Abhishek ki pehli patni se Sanjay paida hua tha aur Sandeep, Sanjay aur Sneha ka beta hain.

Dooriyan

  Sameer ek naujawan ladka hain. Woh ek company mein marketing ki naukri karta hain. Ek din, woh ek motivational seminar dekhne ke liye jaata hain. Seminar khatam hota hain aur woh apni seat se uthkar chal hi raha hota hain, tabhi woh dekhta hain ki ek ladki wahan par pareshan khadi thi. Woh shayad kuch dhoondh rahi hain. Sameer uske pass jaata hain aur us ladki se kehta hain, "Kya main aapki koi madad kar sakta hoon Mam ?" Ladki Sameer ki aur dekhti hain aur kehti hain, "Darasal mera mobile kho gaya hain." Sameer - "Kya aap mujhe apna number bata sakti ho, call lagte hi ring bajegi toh mobile ka location pata chal jaayega." Ladki apna number deti hain aur Sameer uspar call karta hain. Tabhi mobile ki ring bajti hain. Ladki turant apne mobile ko dhoondh nikalti hain. Uske baad woh Sameer ka shukriyada karke chali jaati hain. Aur woh bhi apne ghar ke liye chala jaata hain. 

Shrmashil

Radish Shetty peshe se ek mechanic hain. Woh ek car company mein naukri karta hain. Ek saal pehle hi uski biwi ek bimari ke chalte guzar chuki thi. Radish ne bohut koshish ki thi use bachane ki. Apni biwi ke ilaaj ke liye, usne apne rishtedaar aur kuch doston se udhaar bhi liya hua tha. Par afsos woh bach na saki. Unka ek beta hain. Uska naam hain, Ishaan Shetty. Haalanki, sabhi log chahte the, ki Radish dusri shaadi kar le. Rishtedaaron ne use bohut samjhaya tha, par Radish apne dusri shaadi na karne ke faisle par adaa raha.

Dwaidh

Tarun Kumar aur Varun Kumar yeh dono bhai hain. Tarun ki umar Varun se do saal zyada hain. Dono bhai saath milkar ek business chalate hain, jise unke pita ne shuru kiya tha. Unke kapdon ki dukaan hain. Unke pita ko guzare chaar saal ho chuke hain aur maa ko guzare ek saal ho gaya hain. Dono bhai ko do-do bacche hain. Tarun ki beti ka college khatam hone wala hain. Ghar ke baaki bacche filhal chote hain aur woh log abhi bhi school mein padhte hain. Dono bhai ek dusre ki sehmati ke saath hi business mein nirnay lete hain.  Ek din, Varun ne Tarun se kaha, "Bhaiyaa Hyderabad ki ek textile mill se ek business proposal aaya hain. Proposal accha hain. Ek baar hume unko apna quotation bhej dena chahiye." Tarun - "Yeh company aakhir kitni purani hain ?" Varun - "Pata nahi. Kyun ?" Tarun - "Kya tumhe us company ke baare mein kuch jaankari hain ?" Varun - "Nahi." Tarun - "Kya tumne us company ke baare mein koi jaankari nikaalne ki koshish ki

Dil Ki Saazishein

  Aryan peshe se ek Radio Jockey hain. Woh Mumbai ke ek Radio Station par kaam karta hain. Uska shift subah se shaam tak ka hain aur use apne kaam se bohut lagaav hain. Ek din, uski chutti thi aur woh apna raashan bharne ke liye ghar ke nazdeek ke ek departmental store mein gaya. Woh departmental store haal hi mein naya-naya khula tha. Usne trolley bhar ke saaman liye. Uske baad, woh wahi par ulajhan mein khada tha. 

Astitva

  Sagar Shah ek businessman hain. Unki kapdon ki factory hain. Unki ek biwi aur ek ladka hain. Sagar ki patni ka naam Laxmi Shah hain aur bete ka naam Siddharth Shah hain. Siddharth ne haal hi mein America ki ek university MBA ki degree prapt ki hain. Aaj woh wapas ghar lautne wala hain. Siddharth airport se bahar nikla aur taxi mein baitha. Ghar lautte samay woh bohut aanandit tha. Kyunki, aaj woh poore do saal baad apne ghar laut raha hain. 

Aashvast

  Akshay Ahlawat ek businessman hain. Unki patni ka naam Reema Ahlawat hain. Us dampati ke do bacche hain. Ek ladki aur ek ladka. Ladki ka naam Ahana Ahlawat hain aur ladke ka naam Parth Ahlawat hain. Ahana ka college poora ho chuka hain aur usne B.Sc ki degree haasil ki hain. Parth filhal saantvi kaksha mein padh raha hain.