Skip to main content

Izhaar

 Karan apne maa-baap ka eklauta ladka hain. Usne haal hi mein ek College mein admission liya hain. Woh College mein saare lectures attend karta hain. College shuru hokar ek mahina beet chuka hain aur Class ke zyadatar log uske acche dost ban chuke hain. 


Ek din College ki chutti thi. Karan subah utha aur haath muh dhokar Hall mein aakar baith gaya. Karan ko dekh kar uske pita ne us se kaha, "Uth gaye beta ?"

Karan - "Haan Papa."

Karan Ke Pita - "Tayyar nahi hue. College nahi jaana hain kya tumhe ?"

Karan - "Aaj toh Sunday hain na ?"

"Main bas mazak kar raha tha." Karan ke pita ne muskura kar kaha. "Toh beta aaj ka kya plan hain ?"

Karan - "Mobile mein koi movie ya web series dekhunga."

Karan Ke Pita - "Woh tum shaam mein dekhna. Abhi tum tayyar ho jaao, hume bahar chalna hain."

Karan - "Kaha par Papa ?"

Karan Ke Pita - "Aaj hume shopping ke liye jaana hain."

Karan - "Papa please aap log jaiye. Main ghar mein hi rahunga."

Karan Ke Pita - "Saath mein chalo beta. Thoda sa hamare saath bhi waqt bitao."

Karan - "Papa main waha par bore ho jaaunga."

Karan Ke Pita - "Are beta shopping ki aadat daal lo. Nahi toh shaadi ke baad bohut dikkat aayegi. Mujhe toh abhi manaa kar rahe ho, lekin, biwi ko manaa karne ki himmat nahi ho paayegi tumhari."

"Papa aap bhi na." Karan ne muskurate hue kaha. 

Karan Ke Pita - "Toh kya tum saath chaloge ?"

Karan - "Thik hain. Jaisa aap kahiye."

Karan Ke Pita - "Thank You beta."


Karan apne maata-pita ke saath shopping ke liye chala jaata hain. Haalanki uska zara bhi mann nahi tha. Woh log alag-alag store se saaman kharid rahe the aur Karan carry bags apne haath mein liye apne maata-pita ke saath-saath chalte jaa raha tha. Woh log grocery store mein the. Tabhi achaanak se use aisa aabhas hua ki kisi ne use peeche se pukaara ho. Woh peeche mudkar dekhta hain. Aur woh muskura deta hain, "Oh hi." Karan ko uske College ki ek ladki dikhti hain. Lekin, use uska naam nahi pata rehta hain. Ladki kehti hain, "Hi. Kaise ho tum ?"

 "Main thik hoon. Tum kaisi ho ?" Karan zara confusion mein kehta hain.

Ladki - "Tumne mujhe pehchana na ?"

Karan - "Haan hum College mein...."

Ladki - "Right. Toh Karan kaise ho tum ?"

Karan - "Main thik hoon. Tum kaisi ho ?"

Ladki - "Kya soch rahe ho Karan ?"

Karan - "Dekho tum bura maan jaaogi."

Ladki - "Are Bhai kaho toh."

Karan - "Tumhara naam kya hain ?"

Yeh sunkar Ladki hans deti hain aur kehti hain, "Rinki."

Karan - "Iam sorry Rinki."

Rinki - "Kis baat ke liye ?"

Karan - "Tumhara naam bhoolne ke liye."

Rinki - "Thik hain ab yaad rakh lena."

Karan apne maata-pita se kehta hain, "Papa Mummy yeh meri college ki dost hain. Rinki."

Rinki - "Ab shayad naam yaad rahega tumhe ?"

Sabhi log hans padte hain. 

Karan Ke Pita, Rinki Ke Pita se kehte hain, "Aap kaam kya karte ho Sir ?"

Rinki Ke Pita - "Ji main ek company mein accountant hoon. Aur aap ?"

Karan Ke Pita - "Main ek Car Company mein naukri karta hoon."


Tabhi Karan Ke Pita ko call aa jaata hain aur woh side mein jaakar baat karte hain. Waha par khade sabhi log ek dusre se baat-cheet karte hain. Thodi der ke baad, Karan Ke Pita aate hain aur kehte hain, "Iam sorry par mujhe zara kaam se urgently jaana padega."

Sabhi Log - "Thik hain."

Karan Ke Pita waha se chale jaate hain. Sabhi log ek dusre se baat-cheet karte hue saath mein shopping karte hain. Umar-Umar ka fark hain. Isliye bade logon ki baaton mein Karan aur Rinki ko zara bhi dilchaspi nahi aa rahi thi. Un dono ne ek dusre se baat-cheet karna shuru ki. Karan kehta hain, "Toh Rinki ?"

Rinki - "Haan Karan ?"

Karan - "Tum kaha rehti ho ?"

Rinki - "Main ghar mein rehti hoon."

Karan hans deta hain aur kehta hain, "Tumhara ghar kaha par hain ?"

Rinki - "Bajaj Nagar mein. Aur tum kaha par rehte ho ?"

Karan - "Main Karve Chowk mein rehta hoon."

Rinki - "Accha. Toh shopping mein mazaa aa raha hain ?"

Karan - "Kaha Yaar. Papa-Mummy zabardasti saath mein le aaye mujhe."

Rinki - "Toh tumhe shopping pasand nahi hain ?"

Karan - "Bilkul bhi nahi."

Rinki - "Shaadi ke baad toh tumhari haalat bohut kharab ho jaayegi."

Karan - "Pata hain. Aaj subah jab main aane se manaa kar raha tha, tab Papa ne bhi mujhse yahi baat kahi thi."

Rinki hans deti hain. Shopping karte-karte dono ne ek dusre se kaafi der tak baat-cheet ki. Uske baad, woh log apne-apne ghar chale gaye. 


Agle din, Karan class mein pohuncha aur Rinki saamne hi baithi hui thi. Dono ne ek dusre ko dekh kar muskura diya. Class khatam hone ke baad, jab sabhi students class ke bahar jaa rahe the, tab Karan ne dekha ki apne bench ke neeche Rinki kuch dhoondh rahi hain. Thodi der Karan use dekhta raha. Lekin, woh samajh nahi paaya ki kya hua hain. Phir Karan Rinki ke pass gaya aur usse kaha, "Rinki."

Rinki uski aur dekhti hain. 

Karan - "Kya hua Rinki ?"

Rinki - "Mera jhumka gir gaya hain. Wahi dhoondh rahi hoon."

Karan bhi dhoondhne mein lag jaata hain aur thodi der ke baad use ek jhumka milta hain. Phir woh kehta hain, "Kya yahi hain woh jhumka ?"

Rinki - "Are haan. Yahi hain. Kaha mila ?"

Karan - "Woh darwaaze ke pass tha."

Rinki Karan se woh jhumka leti hain aur use apne kaan mein lagati hain. Karan bas use dekh raha tha. Us khoobsurat balaa ko is tarah se jhumka lagate hue dekh, Karan ko Rinki ki khoobsurati ka pata chal raha tha. Aaj se pehle tak Karan ne Rinki ko aisi nazar se nahi dekha tha. Jhumka lagane ke baad, woh Karan ko dekhti hain. Karan yahan-wahan dekhne lagta hain. Phir woh Karan se kehti hain, "Chale ?"

Karan - "Haan chalo."

Woh dono saath mein class se bahar nikalte hain. Saath chalte-chalte woh dono ek dusre se dher saari baatein karte hain. Phir woh dono apne-apne ghar chale jaate hain. 


Agle din, dono class mein ek dusre ko dekhte hain aur muskura dete hain. Din bhar woh dono ek dusre se koi baat-cheet nahi karte hain. College khatam hone ke baad, Karan class se bahar nikalta hain aur dekhta hain ki Rinki seedhiyon ki aur jaa rahi hain. Karan use aawaz lagata hain. Woh mudkar dekhti hain aur Karan ko dekh kar muskura deti hain. Karan Rinki ke pass jaata hain aur kehta hain, "Ghar jaa rahi ho ?"

Rinki - "Haan. Aur tum ?"

Karan - "Main bhi."

Rinki - "Toh Buliding ke bahar tak saath chale ?"

Karan - "Haan."

Woh dono saath mein ek-ek seedhi utarte hue ek dusre se baat-cheet karte hain.

Rinki - "Toh Karan tum apne baare mein kuch batao."

Karan - "Usi din hi toh hum dono ek dusre ke baare mein thoda sa jaan liye the. Zara apni pasand aur na pasand ke baare mein hum jaan le."

Rinki - "Haan yeh bhi sahi baat hain."

Karan - "Toh batao. Tumhe kya pasand hain ?"

Rinki - "Mujhe na Samose bohut pasand hain."

Karan - "Toh kya hum canteen chale ?"

Rinki - "Abhi ?"

Karan - "Haan. Agar tum free ho toh."

"Thik hain. Chalo." Rinki muskura kar kehti hain. Dono saath mein canteen jaate hain aur Samosa ka lutf uthate hue, dono ek dusre se dher saari baatein karte hain. Aakhir mein Karan kehta hain, "Toh ab main chalun ?"

Rinki - "Accha tumhara number dena na ?" Karan use apna mobile number deta hain aur uska bhi number leta hain. 


Ab college mein milne-julne ke saath-saath woh dono ek dusre se phone par bhi baat-cheet karte rehte hain. 


Waqt ke saath-saath un dono ke darmiyaan rishta gehra hota chala gaya. Woh dono college mein zyadatar waqt ek dusre ke saath bitate aur shaam mein ghar par woh dono ek dusre se kabhi Call par, toh kabhi message par baat-cheet kar lete hain. 

Aakhir mein exam ka waqt kareeb aaya aur dono hi bohut gambhirta ke saath apni-apni padhayi mein lag gaye. Pareeksha khatam hui aur garmiyon ki chuttiyan shuru ho gayi. Ab dono ke beech keval phone par hi baatein ho paati. Kuch din beete aur College mein ek dusre ke saath bitaye hue pal dono ko hi yaad aana shuru ho gaye. 

Dono ko apni zindagi mein ek ajeeb si kami khal rahi thi. Lekin, woh yeh nahi samajh paa rahe the ki aakhir woh kami kya thi. 


Ek din ki baat hain, subah-subah ka waqt tha aur Karan gehri neend mein soya hua tha. Tabhi use kuch alag-alag sapne aate hain. Uske sapne mein alag-alag jhalkiyan nazar aati hain. Tabhi achaanak se use apne sapne mein Rinki ka chehra dikhayi deta hain aur jhatke se uski neend khul jaati hain. Woh achambhe mein pad jaata hain. 'Aakhir mujhe sapne mein Rinki kyun dikhayi di ?' Woh sochta hain. 

Tabhi Karan ka phone bajta hain aur woh dekhta hain ki Rinki ka call aa raha hain. Woh Call uthata hain aur kehta hain, "Hello."

Rinki - "Hello Karan. Good Morning."

Karan - "Good Morning Rinki."

Karan ki aawaz sunkar, Rinki ko aabhas hota hain ki woh neend mein bol raha hain. Woh poochti hain, "Kya tum so rahe the ?"

Karan - "Haan. Lekin ab uth gaya hoon."

Rinki - "Thik hain main baad mein baat karti hoon."

Karan - "Nahi thik hain. Main abhi baat karunga."

Rinki - "Kaise ho Karan ?"

Karan - "Main thik hoon. Tum kaisi ho ?"

Rinki - "Main bhi thik hoon."

Karan - "Uncle aur Aunty kaise hain ?"

Rinki - "Woh log bhi thik hain. Tumhare Papa-Mummy kaise hain Karan ?"

Karan - "Woh log bhi thik hain."

Rinki - "Chalo accha hain."

Kuch pal ke liye dono chup rehte hain. Phir Karan kehta hain, "Rinki ?"

Rinki - "Haan Karan ?"

Karan - "Kya hum kahi mile ? Kaafi din bhi ho gaye hain."

Rinki - "Haan. Tum thik keh rahe ho. Kya hum Mall mein mile ?"

Karan - "Thik hain. Aaj shaam mein."

Rinki - "Thik hain. Bye Karan."

Karan - "Bye."

Dono call kaat dete hain. 


Shaam mein Karan Mall jaata hain aur Mall ke bahar khada Rinki ka intezaar kar raha hota hain. Woh Rinki ko Call lagata hain, lekin woh call nahi uthati hain. Woh yahan-wahan dekh raha hota hain. Tabhi achaanak se use Rinki dikhayi deti hain. Neeli Jeans aur safed rang ke Top mein woh behad khoobsurat lag rahi thi. Woh Rinki ko aate hue dekhta hain aur dekhta hi reh jaata hain. Karan ki nazar Rinki se hath hi nahi paa rahi thi. Rinki bhi use dekh kar muskurate hue uske kareeb aakar khadi ho jaati hain. 

Rinki - "Kya dekh rahe ho ?"

Karan - "Kuch nahi."

Rinki - "Kaafi Dino ke baad, hum mil rahe hain."

Karan - "Aaj bohut khoobsurat dikh rahi ho tum."

Rinki - "Matlab ?"

Karan - "Pata nahi."

Rinki use sirf dekh rahi hoti hain. Uske baad Karan kehta hain, "Tumne aage ke baare mein kya socha hain ?"

Rinki - "Ek baar results aayega toh phir job karna hain."

Karan - "Mujhe bhi."

Dono ek dusre ko sirf dekhe jaa rahe the. Uske baad, Karan kehta hain, "Mall mein chale ?"

Rinki - "Thik hain."

Dono saath mein Mall ke andar jaate hain aur kaafi der saath mein ghumte hain. Lekin, is dauraan dono ek dusre se kuch baat nahi kar paate hain. Chalte hue, dono hi reh-rehkar ek dusre ko dekhte rehte hain. Is dauraan dono ek dusre se koi baat-cheet nahi karte hain. Kuch der baad, Rinki kehti hain, "Ab mujhe jaana chahiye."

Karan - "Thik hain. Main tumhe bahar tak chod deta hoon."


Dono bahar jaate hain aur dono ki nazrein dubara milti hain. Dono ek dusre ki aankhon mein doob jaate hain. Tabhi achaanak se Car unke bagal se guzarti hain aur Karan anjaane mein Rinki ka haath pakad leta hain. Dono ki nazrein ek dusre se dubara milti hain aur dono ek dusre ko dekhte hi reh jaate hain.  Rinki sharmaate hue, dusri aur dekhne lagti hain. Phir Karan apna haath Rinki ki baanhon se hataa leta hain. 

Rinki - "Ab hume College shuru hone ke baad hi milna chahiye."

Karan - "Hmm."

Rinki jaane lagti hain aur Karan bas use jaate hue dekhta rehta hain. Phir na jaane Karan ke dimaag mein kya aata hain, woh daudte hue Rinki ke pass jaata hain aur use aawaz lagata hain. Rinki peeche mudkar dekhti hain. Woh Rinki se himmat karke kehta hain, "Kya hume is rishte ko aage badhana chahiye ?"

Rinki - "Tum kya chahte ho ?"

Karan - "Main bas tumse milte rehna chahta hoon. Har roz."

Rinki - "Mujhe bhi kai baar tumhari kami khali hain Karan."

Dono ek dusre ko gale laga lete hain aur bina koi baat kiye dono mann hi mann ek dusre se apne pyaar ka izhaar kar lete hain. 

                   - Ved Vineet Gautam

Comments

Popular posts from this blog

Ehsaas

Ajay apne mata-pita ka eklauta ladka tha. Bachpan mein hi usne apni Maa ko kho diya tha. Mohabbat mein insan ko kitni takleef jhelni padti hain, use kitna tadapna padta hain; yeh sab ka ehsaas use bachpan mein hi ho gaya tha. Apne pita ki peeda dekhkar usne bachpan mein hi nirnay le liya tha ki woh aajeevan kunwara hi rahega. Uski maa ki mrutyu ek car haadse mein hui thi. Apna Graduation karne ke baad use ek company mein Marketing Executive ki naukri lagi. Woh Digital Marketing ka kaam karta tha. Ek baar ki baat hain, jab uski Company ke dwara, use bahar gaon bhej diya gaya tha, Business Tour ke liye.Saari tayaari karne ke baad woh bahar gaon ke liye nikal pada. Uske Company dwara uska kamra ek 3 Star Hotel mein book kar diya gaya tha. Hotel Room mein pohuchkar woh fresh hua aur tayyar hokar woh apne meeting ke liye chal diya. Uska Business Tour kaafi lamba hone wala tha, kyunki, Ajay ko us shahar mein kai companies mein jaakar meetings karni thi.

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra

Saar

  Purshottam Sahay ek company mein naukri karte hain. Woh manager ki post par tainaat hain. Unki ek patni hain. Patni ka naam Poonam Sahay hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti. Bete ka naam Sumit Sahay hain aur beti ka naam Arpita Sahay hain. Dono bhai behen judwa hain.