Armaan Kumar ek private company mein naukri karta hain. Woh peshe se ek Accountant hain. Woh ek anaath hain. Darasal, Armaan ke maata-pita ek anaath the. Uske maata-pita ka poora bachpan ek anaathalay mein guzra tha. Jis wajah unka koi bhi parichit, parivaar ya rishtedaar nahi the. Armaan ka is duniya mein uske maata-pita ke alawaa aur koi nahi tha. Maata-Pita ke guzarne ke baad, woh bhi ek anaath ban chuka tha. Woh apne jeevan mein behad akela pad chuka tha. Woh kaam par har roz jaata hain. Daftar mein sabhi log usse baat-cheet bhi karte hain. Lekin, zyadatar keval kaam ki hi baatein hoti hain. Bohut kam samay aisa hota hain, jab kaam ke alaawa dusri baatein hoti hain. Daftar mein log, apne parivaar aur rishtedaaron ke baare mein jab baat-cheet karte, tab Armaan ke paas kehne ke liye kuch bhi nahi hota. Woh kehta bhi kya ? Use yeh bhi nahi pata ki is duniya mein uska koi rishtedaar hain bhi ya nahi. Armaan hi kyun, uske maata-pita tak apne kisi rishtedaar ko jaante tak nahi the. R