Skip to main content

Milan

Rajeev aur Payal dono ek hi college mein saath-saath padhte hain. Woh dono bohut acche dost hain. Class mein saath baithte hain aur recess mein saath hi lunch karne ke liye jaate hain. College mein zyadatar waqt yeh dono saath hi bitate hain. 

Ek baar ki baat hain, Rajeev ne Payal ko propose karne ka socha. Agle din, jab woh College gaya toh usne Payal ko apne saamne aate hue dekha.  Payal use dekhte hi boli, "Hi Rajeev."
Rajeev - "Hi Payal."
Payal - "Kaise ho tum ?"
Rajeev - "Thik hoon."
Payal - "Tumhe bukhar hain kya ?"
Rajeev - "Nahi, kyun ?"
Payal - "Toh tumhe itna paseena kyun aa raha hain ?"
Rajeev - "Pata nahi."
Payal ne apne purse se rumaal nikala aur Rajeev ka maatha pocha. Us din toh Rajeev kuch keh na paaya, par woh bohut dino se us se kehne ka prayaas kar raha tha. 

Ek din usne soch hi liya ki aaj woh Payal ko apne dil ki baat zaroor batayega. Usne ek plan banaya. Usne Payal ko College lectures khatam hone ke baad, Canteen mein milne ke liye bulaya. Rajeev Canteen mein Payal ka besabri se intezaar kar raha tha. Payal canteen pahuchi. Aaj woh behad khubsurat lag rahi thi. Usne gulabi rang ki salwaar pehni hui thi. Uske baal khule the aur hothon par lal rang ki lipstick lagi hui thi. Use dekhte hi Rajeev dekhta hi reh gaya. Payal uske saamne aati hain aur muskurati hain. Phir kehti hain, "Hi Rajeev."
Rajeev kuch keh nahi paata. Jaise woh uski khoobsurati mein gum ho chuka ho. Payal uske aankhon ke saamne chutki bajati hain. "Rajeev. Kaha khoye hue ho ?"
Rajeev hosh mein aata hain. "Nahi, nahi kuch toh nahi." Rajeev kehta hain.
Payal - "Tumne mujhe milne ke liye bulaya tha."
Rajeev - "Haan."
Payal - "Kuch baat karni thi tumhe ?"
Rajeev - "Haan."
Payal - "Kya baat hain ?"
Rajeev - "Payal hum kitne saal se dost hain ?"
Payal - "Ek saal se."
Rajeev - "Kya tum kuch khaogi ?"
Payal - "Nahi. Tum kuch kehna chahte the ?"
Rajeev - "Haan. Hum kitne saal se dost hain ?" Rajeev ne dubara poocha.
Payal - "Abhi toh kaha na pichle ek saal se."
Rajeev - "Tumhe kaisa ladka pasand hain ?"
Payal - "Matlab ?"
Rajeev - "Zindagi mein kabhi na kabhi tum shaadi karogi. Toh kuch toh socha hoga ki tum kis tarah ke ladke ke saath apni zindagi beetana chahogi ?"
Payal - "Kya tumne bas yahi baat karne ke liye mujhe Canteen mein bulaya hain ?"
Rajeev - "Please Payal. Batao na?"
Payal - "OK. Mujhe aisa ladka pasand aayega, jo ki khubsurat ho dikhne mein aur jo acche nature ka ho. Jo har kisi ki izzat karta ho, bilkul tumhari tarah. Ab tum batao, tumhe kaisi ladki pasand hain ?"
Rajeev - "Jo bilkul tumhari tarah ho Payal."
Payal - "Matlab ?"
Rajeev - "Nahi mera kehne ka yeh matlab nahi tha."
Payal - "Tum jo bhi kehna chahte ho, woh saaf-saaf kaho. Dil ki baat zubaan par laane mein zyada waqt mat lagao, warna train chut jaayegi."
Rajeev - "Lekin iske baad, humari dosti mein koi fark nahi padna chahiye."
Payal - "Nahi fark padega Baba."
Rajeev - "Dekho mujhe tum galat mat samajhna, lekin, main tumse bohut zyada pyaar karta hoon. Bas yahi kehna tha mujhe." Rajeev ne yeh baat bohut darr aur ummeed ke saath kahi thi.
Payal - "Dekho Rajeev mere Papa ek Doctor hain woh zyada kamate nahi hain. Aur mera Bhai mujhse 3 saal chota hain, uski bhi padhayi poori hona baaki hain. Toh mujhse tum Dahej ki ummed mat rakhna."
Rajeev -"Matlab ?"
Payal - "Matlab buddhu I Love You Too."
Rajeev (Bohut khush hua.) - "Thank You Payal. Tum nahi jaanti ho ki, main na jaane kitne dino se tumse yeh kehne ke liye, aakhir kitna pareshan tha."
Payal - "Accha ab apni girlfriend ko party nahi doge ?"
Rajeev - "Zaroor, kyun nahi? Batao kya khaogi ?"
Payal - "Chalo samosa khate hain." 

Rajeev ne samosa order kiya aur dono ne saath mein samosa khaya. Woh dono College mein zyadatar waqt ek dusre ke saath hi bitate the. Dono ka pyaar parwaan chadh raha tha. Dono ne ek dusre ke saath jeene-marne ki kasmein bhi kha li thi. Woh dono jaise hawa mein ud rahe the. Paaon zameen mein pad hi nahi rahe the. Dono hi ek dusre ke parivaar ke baare mein bhi discussion karte rehte the. College ke din khatam hone wale the aur final exams sar par the. Un dono ne khoob mehnat ke saath padhayi ki. College ke library mein woh dono saath-saath padhte the. Aakhir mein final exams hue aur woh dono results ka intezaar karne lage. Un dono ne tay kar liya tha, ki woh apne parivaar se College ke results aane ke baad baat karenge. Exams khatam hue toh College bhi aana-jaana band hua. Exams ke results ek mahine ke baad aane wale the. Yeh ek mahine ek dusre ke bagair kaise guzare, yeh sirf un dono ka hi dil jaanta tha. Bas whatsapp chat ke dwara hi ek dusre ka haal-chaal le paa rahe the. Yeh chhuttiyan inhe ek sazaa ke taur par lag rahi thi. 
Aakhir kaar exams ke result ka din aa hi gaya. Aakhir mein woh din aa hi gaya, jiska in dono premi jodo ko badi besabri se intezaar tha. 
Dono ne apna result dekha aur dono hi first grade se paas hue. Dono ke ghar wale behad khush the. Tabhi Rajeev ne apne pita se kaha ki woh do minute mein aa raha hain aur woh thoda sa aage jaakar Payal ko call kiya. Payal ne call receive kiya.
Payal - "Haan Rajeev bolo."
Rajeev - "Kaha par ho tum ?"
Payal - "College mein. Tum kaha ho ?"
Rajeev - "Are baba, main bhi college mein hi hoon. Is waqt tum college mein kaha par ho ?"
Payal - "Tum library ke paas aa jao."
Rajeev - "OK. Main abhi aaya."
Rajeev ne apne maata-pita se kaha, "Main aap dono ko kisi se milwana chahta hoon."
Rajeev ke Papa - "Kis se beta ?"
Rajeev - "Aap saath chaliye toh."
Rajeev apne maata-pita ko library ke paas le gaya. Payal use dekhte hi muskurayi aur Rajeev ne haath hawa mein hilate hue, 'Hi' ka ishaara kiya. Rajeev apne maata-pita ko wahan le gaya jahan par Payal aur uske maata-pita khade the. 
Payal - "Papa-Mummy. Yeh Rajeev hain, mera dost."
Rajeev - "Namastey uncle. Namastey aunty."
Badle mein un dono ne bhi kaha, "Namastey Beta."
Rajeev - "Papa-Mummy. Yeh Payal hain."
Payal - "Namastey uncle. Namastey aunty."
Badle mein un dono ne bhi kaha, "Namastey Beta." 
Is tarah se milna un dono ke maata-pita ko thoda ajeeb lag raha tha. Un dono ke maata-pita ko thoda sa aabhas hone laga tha, ki daal mein kuch kaala hain. 
Rajeev ne kaha, "Uncle kahi saath mein baithe ?"
Payal ke pita mana nahi kar paaye aur bas, "hmm" keh diye. Veh sab log ek saath canteen ki aur badhe. Canteen mein pahuchne ke baad, Rajeev ne canteen wale se kehkar tables ko judwa diya aur woh sab log saath mein baithe. Dono hi parivaar ek dusre ke aamne-saamne baithe hue the. Rajeev ne pucha, "Aap log kuch lenge ?"
Payal ke maata-pita ne mana kar diya. 
Tab Rajeev ne kaha, "Main jo kehna chahta hoon. Aap please ise galat mat samajhana. Main aur Payal ek dusre ko pichle teen saal se jaante hain. Aur hum dono ek dusre ko pasand bhi karte hain. Hum dono ek dusre ke saath apni saari zindagi bitana chahte hain. Agar aap logon ki ijaazat ho toh, hum dono shaadi karna chahte hain."
Yeh sunkar, thodi der ke liye dono ke hi maata-pita ek dum dang reh gaye. Phir Rajeev ke pita ne kaha, "Yeh sab tum kya keh rahe ho ? Abhi-Abhi tumhara College khatam hua hain, kahi job bhi nahi lagi hain. Is tarah se tum na sirf hume, balki ladki ke maata-pita ko bhi embarrass kar rahe ho."
Payal ke Pita - "Payal yeh sab kya hain ? Kya isi ke liye maine tumhe College bheja tha ? Tum college mein padhayi karne aayi ho yaa... kya hain yeh sab beta ?"
Payal - "Please try to understand Papa, yeh bohut accha ladka hain."
Payal ke maata-pita bina kuch kahe wahan se gusse mein nikal gaye aur Payal unke peeche-peeche unhe samjhate hue jaa rahi thi.
Rajeev ke pita - "Rajeev aaj tumne jo kiya, mujhe uski koi ummeed nahi thi tumse."
Dono hi apne-apne ghar mein khud ke maata-pita ko samjhane mein lage hue the. Lekin saare prayaas vifal ho rahe the. In haalaaton mein ek dusre ko call karna kisi khatre se khaali toh tha nahi, isliye messages ke dwara yeh dono ek dusre ko apne-apne ghar ka haal batate the. In dono se ek dusre ke bagair raha nahi jaa raha tha. 

Ek din Rajeev ke pita ne Rajeev se pucha, "Shaadi ke baare mein kuch socha hain ?"
Rajeev - "Agar aap Payal se shaadi karane ke liye raazi honge toh."
Rajeev Ke Pita - "Tum us ladki ko bhool jaao. Dekha nahi tumne ki kaise us ladki ke maata-pita uthkar chale gaye the ?"
Rajeev ne kuch nahi kaha.
Rajeev Ke Pita - "Tumhe job karna hain bhi ya bas us ladki ki yaad mein apni saari zindagi barbaad karni hain ?"
Rajeev - "Job toh main karunga, isme koi do rai nahi hain. Lekin haan shaadi agar karunga toh sirf aur sirf Payal se hi. Aur kisi ladki se nahi."  
Agle din se Rajeev job dhoondhne ke liye nikal pada. Usne kai jagah interviews diye aur kuch dino ke baad use ek company mein sales and marketing ki job lagi. Uske ghar wale behad khush the. Mahine ke 25,000 ki salary use mil rahi thi. Rajeev ne yeh baat Payal ko message ke dwara batayi, toh woh bhi bohut khush hui. Aaj kariban do mahine ho gaye hain aur woh dono abhi tak apne parivaar ko manane mein vifal rahe hain. Har middle class family ki tarah, doston aur ristedaaron ki taraf se Rajeev ke liye rishte aa rahe the. Rajeev ke pita jab bhi us se Shaadi ki baat karte toh woh manaa kar deta. Pita apne Whatsapp par Rajeev ko ladki ki tasveer dikhane ki koshish karte toh woh tasveer dekhne se mana kar deta. Rajeev ke pita ko uski yeh harkat pasand na aati. Kabhi woh use daant dete, toh kabhi woh use pyaar se samjhane ki koshish bhi karte. Lekin Rajeev ke dil se Payal ki yaadein nahi jaati. Woh apne ghar walon se bahut kam baat-cheet karne laga tha. Akele baithe-baithe na jaane kya sochta rehta tha, wahi dusri aur Payal ka bhi yahi haal tha. 

Canteen wale ghatana ko aaj 6 mahine beet chuke hain. Ek baar phir se Rajeev ke Pita ne us se kaha, "Tumhare liye ek aur rishta aaya hain."
Rajeev - "Main shaadi nahi karunga."
Rajeev Ke Pita - "Toh kya tum zindagi bhar kunware rahoge ?"
Rajeev - "Payal ke bagair main kisi aur ke saath apni zindagi ke baare mein soch bhi nahi sakta hoon."
Rajeev Ke Pita - "Saal do saal mein pyaar ka bhoot utar jaayega."
Rajeev - "Tab toh aapke liye hi accha hain, aapki pasand ki ladki se shaadi kar lunga. Lekin pyaar ka bhoot utarne ke baad sochunga."
Rajeev Ke Pita - "Dekho beta mujhe villain samajhkar koi bhi fayada nahi hain. Us ladki ke maa-baap hi wahan se uth kar chale gaye the. Aur mujhe nahi lagta hain ki unhone kuch galat kiya tha. Tum dono ne unhe aisi embarrassing situation mein le aaye the, ki koi bhi ladki ka baap isi tarah gusse mein hi chala jaata."
Rajeev - "Aap bhi toh is rishte ke khilaaf the ?"
Rajeev Ke Pita - "Lekin tumhari zid hain toh, main tumhare is faisle ke beech nahi aaunga. Main aur kar bhi kya sakta hoon. Tumhari apni zindagi hain, tum apni zindagi ka accha bura khud soch sakte ho.
Yeh faisla main tumhare upar chodta hoon. Ab se kahi se bhi, koi bhi rishta aayega, toh main keh diya karunga ki Rajeev shaadi nahi karna chahta hain. Thik hain ?" 
Rajeev ki Aankhon mein aansun aa gaye aur usne apne pita ko gale laga liya. Aur kaha, "Thank You Papa."
Rajeev ke pita ne use samjhate hue kaha, "Are pagle aise thodi na hota hain. Tum dono ne bachpane mein bohut badi galti kar di. Are pehle tum dono apne-apne ghar mein baat toh kar lete."
Rajeev - "Ab kya hoga Papa ? Main uske bagair reh nahi sakta hoon."
Rajeev Ke Pita - "Sabr rakh. Sab kuch thik ho jaayega."
Rajeev - "Kya Payal ke Papa maanenge ?"
Rajeev Ke Pita - "Bhai woh ladki ka baap hain. Ladki ke baap ko samjhana itna aasan nahi hota hain. Kai baatein hoti hain, society mein aur rishtedaaroon mein muh dikhana padta hain. Ab toh sab us ladki ke parivaar ke hi haath mein hain. Woh kya faisla lenge ab toh sab kuch us baat par depend karta hain." 

Kuch din beet gaye aur ek din, Rajeev ke Pita ne Rajeev ke mobile se Payal ka contact number nikaala aur ghar ke bahar jaakar Payal ko apne mobile se call lagaya. Payal ne call uthaya, "Hello."
Rajeev Ke Pita - "Hello kya main Payal se baat kar sakta hoon ?"
Payal - "Haan main bol rahi hoon. Aap koun ?"
Rajeev Ke Pita - "Main Rajeev ka Pita hoon."
Payal - "Namastey Uncle."
Rajeev Ke Pita - "Beta zara apne Papa ka number dena mujhe."
Payal - "Kyun uncle ?" 
Rajeev Ke Pita - "Main ek baar tumhare Papa se baat karne ki koshish karunga. Agar woh maan gaye toh tum dono shayad ek ho jaao."
Payal unhe apne Pita ka number deti hain aur woh phone kaat dete hain.

Do din baad, Rajeev ke Pita, Rajeev se kehte hain ki woh use apne saath kahi bahar le jaana chahte hain. Rajeev tayyar ho jaata hain jaane ke liye. Car ek ghar ke bahar rukti hain aur Rajeev ke Pita us ghar ki door bell bajate hain. Darwaaza khulta hain. Darwaaza khulte hi Rajeev chaunk jaata hain, kyunki jinhone darwaaza khola woh koi aur nahi balki Payal ke Pita the. Payal ke Pita un dono ka swaagat karte hain aur dono hi andar aate hain. Payal ke Pita un dono se baithne ka aagrah karte hain. Tabhi Payal ke pita, Payal ko aawaz lagate hain. Payal andar apne kamre mein baithi hall mein aati hain aur woh bhi Rajeev aur uske Pita ko apne ghar dekhkar chaunk jaati hain. 
Tab yeh baat khulti hain ki Rajeev ke Pita ne Payal ke Pita ko call kiya tha aur unse milne ka aagrah kiya tha. Dono hi ek jagah par ek dusre se mile aur Rajeev ke Pita ke samjhane par Payal ke Pita is rishte ke liye maan gaye. 
Un dono ne Rajeev Aur Payal ko samjhaya ki besabri sahi nahi hoti hain aur baat-cheet karne ka bhi ek tareeka hota hain. Aakhir mein dono ke beech rishta tai ho gaya aur dono ke pita ne yeh tai kiya ki jab Rajeev apni naukri mein ek saal se zyada tik jaayega tab, Rajeev aur Payal ki shaadi kara di jaayegi. 

                    - Ved Vineet Gautam

Comments

Popular posts from this blog

Ehsaas

Ajay apne mata-pita ka eklauta ladka tha. Bachpan mein hi usne apni Maa ko kho diya tha. Mohabbat mein insan ko kitni takleef jhelni padti hain, use kitna tadapna padta hain; yeh sab ka ehsaas use bachpan mein hi ho gaya tha. Apne pita ki peeda dekhkar usne bachpan mein hi nirnay le liya tha ki woh aajeevan kunwara hi rahega. Uski maa ki mrutyu ek car haadse mein hui thi. Apna Graduation karne ke baad use ek company mein Marketing Executive ki naukri lagi. Woh Digital Marketing ka kaam karta tha. Ek baar ki baat hain, jab uski Company ke dwara, use bahar gaon bhej diya gaya tha, Business Tour ke liye.Saari tayaari karne ke baad woh bahar gaon ke liye nikal pada. Uske Company dwara uska kamra ek 3 Star Hotel mein book kar diya gaya tha. Hotel Room mein pohuchkar woh fresh hua aur tayyar hokar woh apne meeting ke liye chal diya. Uska Business Tour kaafi lamba hone wala tha, kyunki, Ajay ko us shahar mein kai companies mein jaakar meetings karni thi.

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra

Saar

  Purshottam Sahay ek company mein naukri karte hain. Woh manager ki post par tainaat hain. Unki ek patni hain. Patni ka naam Poonam Sahay hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti. Bete ka naam Sumit Sahay hain aur beti ka naam Arpita Sahay hain. Dono bhai behen judwa hain.