Skip to main content

Posts

Showing posts from 2021

Kunji

 Nikhil Kumar apne maata-pita ka iklauta ladka hain. Woh ek Call Centre mein naukri karta hain. Woh apne maata-pita ke saath ek Chawl mein rehta hain. Nikhil ke pita bhi ek Company mein naukri karte the. Filhal woh retire ho chuke hain. Nikhil har roz subah uthkar tayyar hokar, apne naukri par jaata hain aur shaam mein woh apne ghar laut aata hain. Daftar se ghar ka yeh safar, woh aksar Bus ke maadhyam se poora karta hain. Bus mein woh aksar khidki wali seat par hi baithta hain. Bus mein chalte hue, taazi hawa khaate rehna, Nikhil ko bohut bhaata hain. Ek din ki baat hain. Har roz ki tarah us din bhi, Nikhil apne daftar se ghar ke liye nikal pada. Nikhil ke daftar se, Bus Stand mehaz kuch kadamon ke hi duri par tha. Nikhil ne safed rang ka Shirt pehna hua tha aur neeche neele rang ki Jeans thi. Woh chalte hue dheere-dheere Bus Stand ki aur badh hi raha tha, ki tabhi achaanak se barsaat shuru ho gayi. Barsaat se bachne ke liye woh daudte hue Bus Stand ki aur jaa raha tha. Woh Bus Stand

Gathbandhan

 Sanjay Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Seeta Kumar hain. Sanjay aur Seeta ke do bete hain. Bade bete ka naam, Ajay Kumar hain aur chote bete ka naam, Vijay Kumar hain. Dono bhai ab bhi kunware hain. Veh dono College mein padhte hain. Ajay ke College ka yeh aakhiri saal hain. Isiliye, woh din-raat mehnat se padh raha tha. Aakhir mein dono Bhaiyon ki College ki pareeksha khatam hui aur kuch mahino baad, pareeksha ka parinaam aaya. Dono Bhai bade hi acche ank se pareeksha mein uttirn kiye the. Yeh baat jaankar, Sanjay aur Seeta dono hi bohut khush hue. Aaj us dampati ko apne dono beton par naaz ho raha tha.  Woh dono Bhai apne maata-pita ke saamne khade the. Sanjay apne bistar se utha aur woh andar ke kamre mein gaya. Thodi der baad, woh bahar ke kamre mein aaya. Uske haathon mein kuch paise the. Sanjay ne Ajay ko woh paise pakdate hue kaha, "Yeh lo Ajay. Tum bade ho, isliye yeh paise main tumhe de raha hoon." Ajay woh paise leta hain. Phir Sanjay aage keht

Khaamosh Lafz

 Yuvaan ek naujawan ladka hain. Woh College mein padhta hain. College mein uske zyada dost nahi hain. Kyunki, woh behad shaant swabhaav ka ladka hain. Yuvaan ke Class mein hi ek ladki bhi padhti hain. Us ladki ka naam Vidisha hain.  Vidisha bhi behad sharmili swabhaav ki hain. Un dono ke swabhaav mein ek saamaany baat thi aur woh hain yeh, ki woh dono hi behad shaant aur sharmile hain.  Ek din ki baat hain. Class ka aakhiri lecture tha. Class ke sabhi vidyarthiyon ko, woh aakhiri lecture khatam hone ki bohut jaldi thi. Koi apne ghar jaana chahta tha, toh koi kahi bahar ghumne ke liye jaana chahta tha. Zyadatar students ka lecture mein Mann nahi lag paa raha tha. Is aakhiri lecture ka ek-ek second un sabhi ko bohut bhaari lag raha tha. Jaise-Taise lecture khatam hua aur sabhi chatr-chatraaon ke chehre par muskaan thi. Sabhi students bohut ghaayi-ghaayi mein Class se bahar nikal gaye.  Yuvaan aakhiri bench par baitha, apni nazrein jhukaye hue tha. Woh sabhi vidyarthiyon ke chale jaane ka

Jeevan Gyaan

 Nimesh Kumar ek Company mein naukri karte hain. Woh Sales And Marketing ke pad par karyarat hain. Nimesh Kumar jis company ke liye kaam karte hain, woh ek Computer Company hain. Nimesh ne Computer Engineering kiya hain. Nimesh ke ghar mein uske maata-pita hain aur woh apne maata-pita ki iklauti santaan hain.   Nimesh har roz subah tayyar hokar apne daftar par jaata hain aur shaam mein apna kaam khatam karke ghar laut aata hain. Woh aksar Bike se safar karta hain. Phir woh kuch samay apne maata-pita ke saath beetata hain.  Ek din ki baat hain. Nimesh apne daftar se ghar ki aur jaa raha tha. Woh apni Bike chala raha tha. Tabhi achaanak se, uski Bike band pad gayi. Lekin, kismat acchi thi ki, Bike ghar ke nazdeek hi band padi thi. Nimesh ne gaadi ki Chaabhi nikaal kar wapas lagaayi aur dobara shuru karne ka prayaas kiya. Lekin, woh start nahi ho paayi. Phir usne Bike ko dhakka diya, aur dobara Kick lagaya. Lekin, woh phir bhi shuru nahi ho paayi. Laakh prayaason ke bawjood, Bike dobara s