Skip to main content

Tasveer

 Vikram apne maata pita ka iklauta ladka hain. Woh apne parivaar ke saath Mumbai mein rehta hain aur wahi ke ek College mein padhta hain. College mein uske kai dost hain, kuch ladke toh kuch ladkiyaan bhi.


Ek din, College mein ghoshana hui ki unke Class ki trip Manali jaane wali hain. Is ghoshana se Class ke sabhi vidyarthi bohut khush hue. Haalanki, un sabhi vidyarthiyon ko College mein daakhila lekar keval saat mahine hi hue the. Thandi ka mausam tha aur Diwali ki chuttiyan shuru hone wali thi. Isi Diwali ki chuttiyon mein, College ne Manali ghumne ki yojna banayi. 


Tabhi Class ke ek student ne poocha, "Sir jaane rehne aur aane ka kitna charge lagega ?"

Badle mein Atul Sir, jo ki Class ke professor hain; unhone kaha, "Keval 7,000 Rupayee bharne honge. Usmein aapke aane-jaane, rehne, khaana-peena, ityaadi sabhi shulk milakar yeh final amount aapko bharni hogi."

Tabhi Vikram ne poocha, "Sir trip jaana kab hain ?"

Atul Sir - "Agle hafte. Toh ab jald se jald aap log apni-apni ataichi baandho aur chal pado Manali ki vaadiyon ki sair par."

Yeh sunkar sabhi bacche bohut utsaahit hue.


College ka samay samaapt hua aur sabhi log apne-apne ghar chale gaye. Vikram bhi apne ghar pohuncha. Ghar pohuchte hi, usne apne pita ko Hall mein baitha hua paaya. Woh hairaan tha, kyunki uske pita aksar shaam mein hi aate the. 

Vikram - "Papa aap aaj office nahi gaye ?"

Vikram Ke Pita - "Nahi beta. Aaj main bahar gaya tha ek meeting ke liye aur wahi se hi seedha ghar aa gaya."

Vikram - "Accha."

Vikram Ke Pita - "Aur batao. Kaisa raha aaj ka din ?"

Vikram - "Bohut accha raha."

Vikram Ke Pita - "Good."

Vikram - "Papa aapse ek baat karni thi."

Vikram Ke Pita - "Haan bolo beta ?"

Vikram - "Papa woh agle hafte se Diwali ki chuttiyan shuru hone wali hain."

Vikram Ke Pita - "Bhai waah. Yeh toh bohut acchi baat hain. Toh kya plan banaya hain tumne Diwali par ?"

Vikram - "Isi maamle mein mujhe aapse baat karni thi."

Vikram Ke Pita - "Haan kaho beta."

Vikram - "Papa woh hamari College ki trip jaane wali hain."

Vikram Ke Pita - "Kaha ?"

Vikram - "Manali."

Vikram Ke Pita - "Aur kharcha kitna hoga ?"

Vikram - "7,000 Rupaye."

Vikram Ke Pita - "Maine toh socha tha ki is Diwali par tumhare liye koi accha sa phone lunga aur hum dono dher saari tasveerein khechenge. Khair ab toh tumhare naye phone mein, meri tasveer nahi aa paayegi."

Vikram - "Matlab main Manali jaa raha hoon ?"

Vikram Ke Pita - "Nahi. Tum apna naya phone lekar Manali jaa rahe ho."

Yeh sunkar Vikram bohut khush hua. "Thank You so much Papa. Yaha na sirf mera trip final ho gaya balki mujhe ek naya phone bhi mil raha hain."

Vikram Ke Pita - "Aur koi iccha beta ?"

Vikram - "Bilkul bhi nahi."


Vikram ke saath-saath sabhi baccho ne Manali jaane ki tayyariyan shuru kar di. Sabhi students ne dher saari shopping ki. Dekhte Hi Dekhte, trip ka din aa hi gaya. Sabhi bacche railway station par waqt se pohuche aur apni-apni ticket haathon mein liye, train ka intezaar kar rahe the. Thodi hi der mein train platform par pohuch gayi. Sabhi students aur teachers apni-apni seats par baithe aur kuch hi samay baad, train chal padi. 

Sabhi baccho ne mastiyaan karna shuru kar di. Tabhi Vikram apni seat se utha aur upar se apna bag nikalne ki koshish karne laga. Woh apna samaan nikalkar utar hi raha tha ki achaanak se train ki raftaar tez ho gayi aur woh gir gaya. Usne dekha ki woh Avni ke upar gir gaya tha. Woh turant utha aur kehne laga, "Oh mujhe maaf kar dena. Darasal woh train ki raftaar badh gayi aur mera balance bigad gaya." 

Avni - "Koi baat nahi Vikram. Main samajh sakti hoon. Waise bhi aisi kya zaroorat aa padi jo tumhe yeh pahaad cadhna pada."

Vikram - "Main bas apna earphone lene ke liye utha tha."

Avni - "Kya tumhe gaane sunna pasand hain ?"

Vikram - "Haan."

Avni - "Mujhe bhi hain."

Vikram - "Toh chalo saath mein gaane sunte hain. Mera earphone bhi naya hain."

Avni - "Phir toh bohut mazaa aayega."

Dono saath mein baith jaate hain aur ek-ek earphone lagakar gaane sunna shuru kar dete hain. Kabhi Avni apne pasand ka gaana lagati. Toh kabhi Vikram apne pasand ka gaana lagata. Gaane sunte-sunte dono ne ek dusre se dher saari baatein bhi ki. 


Agle din, woh log Manali pohuch gaye. Resort mein pohuch kar sabhi log fresh hue aur dher saari mastiyaan bhi ki. Teachers sabhi thak chuke the lekin bacche nahi. Shaam mein sabhi log saath mein baithe aapas mein baatein kar rahe the. Tabhi Vikram utha aur Resort ke shaam ka nazaara dekhne ke liye nikal pada. Woh ghumte-ghumte bahar gaya. Kuch der baad, bijli gul ho gayi. Vikram ne wapas andar jaana zaroori samjha. Woh jaa hi raha tha ki usne dekha ki, Avni waha par apni aankh moond kar khadi hain. Charon aur andhera tha aur Chaand ki halki si roshni mein, Avni kisi khoobsurati ki mallika lag rahi thi. Avni ki band aankhen aur pareshan honth jo bohut kuch kehna chah rahe the lekin, andhere ke bhay ke kaaran khaamosh ho chuke the. 


Avni ko aisi awastha mein dekh kar Vikram ke hosh ud gaye. Woh bas Avni ko ektuk dekha hi jaa raha tha. Tabhi Avni ne badi sehmi hui aawaz mein kaha, "Hey bhagwan. Ab main akeli kaise wapas jaaun ?"

Vikram - "Tum akeli kaha ho ? Tumhara earphone wala dost hain na ?"

Avni ne apni aankhein kholi aur Vikram ko apne saamne khada paaya. Woh Vikram ko dekh muskurayi. Tabhi Vikram ne poocha, "Tum yahan kya kar rahi ho ?"

Avni - "Main bas aise hi ghumne ke liye aayi thi. Dekhna chahti thi ki yeh resort kaisa hain ?"

Vikram - "Kaisa laga resort ?"

Avni - "Accha hain. Lekin."

Vikram - "Lekin ?"

Avni - "Main darr gayi."

Vikram - "Kya tumhe andhere se darr lagta hain ?"

Avni - "Bohut zyada."

Vikram - "Main hoon na. Toh tumhe darne ki kya zaroorat."

Avni muskura deti hain.

Vikram - "Are waah. Abhi tak jis chehre par darr ka saaya tha, woh ab kisi gulaab ke phool ki tarah khil chuka hain ?"

Avni - "Kyunki tum jo ho mere saath." Dono muskurate hain. 


Vikram abhi bhi Avni ki khoobsurati ka nazaara dekh raha tha aur woh sharma rahi thi. Ab woh dono ek dusre ko chor nazron se dekh rahe the aur jaise hi dono ki nazrein ek dusre se milti, waise hi woh dono turant hi yahan-wahan dekhne lagte. 


Tabhi mausam mein zara si thandak cha gayi aur Avni ne apne shareer mein halka sa kampan mehsus kiya. Vikram ne apna Jacket nikaala aur Avni ko apne haathon se pehna diya. Phir woh dono chalna shuru kiye. Dono hi badi khaamoshi se saath-saath chal rahe the. Chalte-Chalte kabhi Vikram Avni ko dekhta, toh kabhi Avni Vikram ko dekhti. Ek baar toh dono ki hi nazrein ek dusre se mil gayi aur dono hi sharma gaye. Aakhir Kaar, woh dono resort ke andar pohuch hi gaye. Un dono ko ek saath dekh, ek dost ne kaha, "Are yaar kaha reh gaye the tum dono ? Hum log kabse tumhara intezaar kar rahe the."

Vikram - "Woh main resort bahar se dekhne ke liye chala gaya tha."

Tabhi dusra dost kehta hain, "Chalo aao baitho hum sab log milkar antaakshari khel rahe hain."


Dono wahan jaakar baith jaate hain. Ladke aur Ladkiyon ke beech antaakshari ki spardha shuru ho jaati hain. Is dauraan Vikram aur Avni, baar-baar ek dusre ko tirchi nazron se dekh rahe the. Kuch der baad, antaakshari khatam hui aur sabhi log apne-apne kamre mein sone ke liye chale gaye. Pichle do ghante se Vikram apne bed par leta hua tha. Lekin, phir bhi use neend nahi lag paa rahi thi. Woh Avni ke baare mein soch raha tha. Uski aankhein khuli thi, lekin, use apne saamne kuch nahi de paa raha tha sivay, Avni ki maasoom muskaan ke. Uska muskurana. Uski aankhon ki chamak, uske patle honth baar-baar Vikram ki neend uda rahe the. 


Vikram ka bohut mann kar raha tha ki, woh Avni ke paas ho. Kaafi raat ho chuki thi aur is waqt bhi, Vikram ki neend ka koi ataa-pata nahi tha. Tabhi use pyaas lag gayi aur woh apne bed se utha. Phir woh kitchen ki aur chal pada. 

Kitchen ki light abhi bhi jal rahi thi aur dusri aur muh karke koi ladki khadi hui thi. Vikram kitchen mein gaya aur glass uthakar paani ka nal chalu kiya. Behte paani ki aawaz sunkar ladki mudi aur woh bhi uski aur dekha. Vikram ne dekha ki, Avni waha khadi hui thi. Dono ki nazrein mili aur dono hi ek dusre ko dekh kar muskuraye. Tabhi Vikram ne poocha, "Kya baat hain. Itni raat gaye yahan ?"

Avni - "Woh main paani peene ke liye aayi thi."

Vikram - "Main bhi."

Avni - "Kya tumhe neend nahi lag rahi hain ?"

Vikram ne 'Na' mein apna sar hilaya.

Avni - "Mujhe bhi."

Vikram - "Agar tumhe koi aitraaz na ho toh, kya hum dono ek dusre se baatein kare ? Suna hain, saath baithkar baatein karne se waqt ka pataa nahi chalta hain."

Avni - "Thik hain."

Dono saath mein ek Couch par baithe. 

Vikram - "Toh kaisa lag raha hain yahan par ?"

Avni - "Bohut accha. Aur tumhe ?"

Vikram - "Mujhe bhi." 

Dono hi muskura diye. Phir Vikram ne kaha, "Toh kuch apne baare mein batao."

Avni - "Aakhir tum jaan na kya chahte ho ?"

Vikram - "Jo bhi tum batana chaho."


Avni ne apne baare mein kuch bataya aur phir Vikram se poocha uske baare mein. Badle mein, usne ne bhi apne baare mein bataya. Us raat dono ne ek dusre se dher saari baatein ki aur ek dusre ko acche se jaana. Dono ko shayad aisa lag raha tha ki, woh dono ek dusre ko bohut acche se samajh paa rahe hain. Baatein karte-karte kab savera ho gaya pataa hi nahi chala. 

Subah sabhi log saath mein kahi ghumne ke liye bahar gaye aur kuch dino ke baad, woh log wapas Mumbai aa gaye. 


College mein aksar dono ka milna-julna laga hi rehta tha aur kabhi-kabhi phone par baatein bhi ho jaaya karti thi. Dekhte Hi Dekhte College khatam ho gaya aur sabhi log naukri par lag gaye. Ab sab doston ka ek dusre se milna ho nahi paata tha. Haalanki, Vikram aur Avni ke beech, kabhi kabhi phone par call ya message ke dwara baatein ho jaaya karti thi; lekin, dono ne kabhi bhi ek dusre se milne ki iccha zaahir nahi ki. Shayad kisi anjaane sankoch ke wajah se. 


Zindagi ki is bhag-daud mein, har koi vyast ho chuka tha.


 Ek din ki baat hain. Vikram ek jagah meeting ke liye gaya tha. Meeting ek resturant mein thi. Meeting khatam hui aur woh resturant se bahar nikal hi raha tha ki woh kisi se takraya. Vikram ne apni nazrein uthayi aur dekha ki uske saamne Avni khadi thi. Dono ne ek dusre ko dekha. Tabhi Vikram ne poocha, "Kaisi ho Avni ?"

Avni - "Main thik hoon. Tum kaise ho Vikram ?"

Vikram - "Main bhi thik hoon. Yahan kya kar rahi ho tum ?"

Avni - "Main bas doston se milne ke liye aayi thi."

Vikram - "Hamare College ke ?"

Avni - "Nahi mere school ke."

Vikram - "Kabhi waqt mile toh milna. Us raat ke baad, kabhi dobara saath baithkar baatein ho hi nahi paayi."

Avni - "Toh abhi baatein kar lo."

Vikram - "Aur tumhare dost ?"

Avni - "Meri un logon se mulaakaat ho chuki hain."

Vikram - "Toh chalo saath baith te hain."


Dono saath mein aamne-saamne baith te hain aur kuch order karte hain. Tabhi table par rakha hua Vikram ke  phone par koi message aata hain aur Avni ki nazar us phone par padti hain. Woh dekhti hain ki, phone ke Wallpaper par Avni ka photo hain. Vikram yeh dekh leta hain aur uski nazrein jhuk jaati hain. Tabhi Avni apna phone Vikram ko dikhati hain aur uske phone ke Wallpaper par Vikram ka photo hota hain. Dono ek dusre ko dekhte hain aur anjaane mein, ek dusre ka haath pakadte hain. Kuch hi pal mein dono ek dusre ki aankhon mein doob jaate hain aur aankhon hi aankhon mein, ek dusre se apni mohabbat ka izhaar kar dete hain.


                   - Ved Vineet Gautam


Comments

Popular posts from this blog

Ehsaas

Ajay apne mata-pita ka eklauta ladka tha. Bachpan mein hi usne apni Maa ko kho diya tha. Mohabbat mein insan ko kitni takleef jhelni padti hain, use kitna tadapna padta hain; yeh sab ka ehsaas use bachpan mein hi ho gaya tha. Apne pita ki peeda dekhkar usne bachpan mein hi nirnay le liya tha ki woh aajeevan kunwara hi rahega. Uski maa ki mrutyu ek car haadse mein hui thi. Apna Graduation karne ke baad use ek company mein Marketing Executive ki naukri lagi. Woh Digital Marketing ka kaam karta tha. Ek baar ki baat hain, jab uski Company ke dwara, use bahar gaon bhej diya gaya tha, Business Tour ke liye.Saari tayaari karne ke baad woh bahar gaon ke liye nikal pada. Uske Company dwara uska kamra ek 3 Star Hotel mein book kar diya gaya tha. Hotel Room mein pohuchkar woh fresh hua aur tayyar hokar woh apne meeting ke liye chal diya. Uska Business Tour kaafi lamba hone wala tha, kyunki, Ajay ko us shahar mein kai companies mein jaakar meetings karni thi.

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra

Saar

  Purshottam Sahay ek company mein naukri karte hain. Woh manager ki post par tainaat hain. Unki ek patni hain. Patni ka naam Poonam Sahay hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti. Bete ka naam Sumit Sahay hain aur beti ka naam Arpita Sahay hain. Dono bhai behen judwa hain.