Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2021

Kunji

 Nikhil Kumar apne maata-pita ka iklauta ladka hain. Woh ek Call Centre mein naukri karta hain. Woh apne maata-pita ke saath ek Chawl mein rehta hain. Nikhil ke pita bhi ek Company mein naukri karte the. Filhal woh retire ho chuke hain. Nikhil har roz subah uthkar tayyar hokar, apne naukri par jaata hain aur shaam mein woh apne ghar laut aata hain. Daftar se ghar ka yeh safar, woh aksar Bus ke maadhyam se poora karta hain. Bus mein woh aksar khidki wali seat par hi baithta hain. Bus mein chalte hue, taazi hawa khaate rehna, Nikhil ko bohut bhaata hain. Ek din ki baat hain. Har roz ki tarah us din bhi, Nikhil apne daftar se ghar ke liye nikal pada. Nikhil ke daftar se, Bus Stand mehaz kuch kadamon ke hi duri par tha. Nikhil ne safed rang ka Shirt pehna hua tha aur neeche neele rang ki Jeans thi. Woh chalte hue dheere-dheere Bus Stand ki aur badh hi raha tha, ki tabhi achaanak se barsaat shuru ho gayi. Barsaat se bachne ke liye woh daudte hue Bus Stand ki aur jaa raha tha. Woh Bus Stand

Gathbandhan

 Sanjay Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Seeta Kumar hain. Sanjay aur Seeta ke do bete hain. Bade bete ka naam, Ajay Kumar hain aur chote bete ka naam, Vijay Kumar hain. Dono bhai ab bhi kunware hain. Veh dono College mein padhte hain. Ajay ke College ka yeh aakhiri saal hain. Isiliye, woh din-raat mehnat se padh raha tha. Aakhir mein dono Bhaiyon ki College ki pareeksha khatam hui aur kuch mahino baad, pareeksha ka parinaam aaya. Dono Bhai bade hi acche ank se pareeksha mein uttirn kiye the. Yeh baat jaankar, Sanjay aur Seeta dono hi bohut khush hue. Aaj us dampati ko apne dono beton par naaz ho raha tha.  Woh dono Bhai apne maata-pita ke saamne khade the. Sanjay apne bistar se utha aur woh andar ke kamre mein gaya. Thodi der baad, woh bahar ke kamre mein aaya. Uske haathon mein kuch paise the. Sanjay ne Ajay ko woh paise pakdate hue kaha, "Yeh lo Ajay. Tum bade ho, isliye yeh paise main tumhe de raha hoon." Ajay woh paise leta hain. Phir Sanjay aage keht