Skip to main content

Dadi

Ashish ek bank mein naukri karta hain. Woh bank mein cashier ki naukri karta hain. Woh apne parivaar se dur ek anjaan shehar mein rehta hain.  
Uske ghar mein uske Papa, Mummy, ek choti Behan aur uski Dadi rehti hain. 


Ek din woh kuch dino ki chutti lekar apne ghar ke liye nikal gaya. Ghar pahuchte hi sabhi ne uska swaagat kiya. Sabhi bohut khush the, kaafi lambe waqt ke baad woh apne ghar aaya tha. Fresh hokar khaana-peena karke usne apne ghar walon se duniya bhar ki baatein ki. Baatein karte-karte shaam ho gayi. Shaam mein Dadi Ashish ke paas aayi aur boli, "Sar par thoda sa tel laga le beta."
Ashish - "Thik hain Dadi." 

Woh apni Dadi ke goad mein sar rakh kar aankhen band karke leta aur Dadi ne uske sar par tel se maalish karna shuru kiya. Thodi der baad use neend lag gayi. Shaam mein uski neend khuli aur use aisa mehsus ho raha tha, jaise ki aakhir kitne dino baad ek acchi neend mili hain. Woh bohut sukoon mahasoos kar raha tha. Woh bed se utha, apna muh dhoya aur tabhi Dadi uske paas aayi aur boli, "Ashish Seb kha le."
Ashish - "Thik hain Dadi." Usne Seb khaya aur Dadi use bade pyaar se dekh rahi thi. Tabhi usne dekha ki Dadi ki aankhen bhar aayi. 
Ashish - "Are Dadi, aap ro kyun rahi ho ?"
Dadi - "Kuch nahi beta. Itne dino ke baad tujhe dekha hain na isliye. Ab bas teri shaadi ho jaaye. Bahu ko ek baar dekh loon, tab main aaram se is duniya se jaa sakti hoon."
Ashish - "Aisa mat bolo Dadi." Dadi ne use apne gale laga liya.
Dadi aksar tel se uske sar ki maalish karti. Aur roz shaam ko phal kaat kar use bade pyaar se khilati. Ghar ke sabhi log zyadatar waqt mobile chalane mein hi vyast rehte the. Lekin Dadi ghar ke baraamada mein baithkar kabhi aati jaati gaadiyon ko dekhti toh kabhi akele baithe-baithe kuch sochti rehti thi. 
Dadi zyadatar waqt akele hi rehti thi. 

Ek baar ki baat hain, Ashish ne dadi ko akele baithe rote hue dekha. Woh waha gaya aur pucha, "Dadi aap ro kyun rahi ho ?"
Dadi - "Kuch nahi beta. Bas aise hi."
Ashish - "Nahi Dadi aap batao, kya baat hain ?"
Dadi - "Tu aaya hain toh, thoda accha lag raha hain. Nahi toh mera jeene ka bhi maan nahi karta hain ab."
Ashish - "Aisa mat bolo Dadi. Hum sab hain na."
Dadi - "Haan beta. Lekin ek umar nikal jaane ke baad insaan bohut hi akela pad jaata hain. Phir uski sochne samjhne ki shamta aur jeevan jeene ki iccha bhi khatam ho jaati hain."
Ashish ko Dadi ki baat sunkar bohut dukh hua. Ab woh apna zyadatar waqt Dadi ke saath hi bitane laga. Apna mobile bohut kam use karne laga woh. Dadi use ek se ek kahaniyan sunati aur apne daur ke baare mein batati. Use ehsaas hua ki aakhir Dadi ke zamane mein log kitne ghul-milkar rehte the. Log kitne pyaar se ek dusre ke saath zyada se zyada waqt guzarte the. 

Dadi aksar apne baalon ki jui nikalti thi aur akele baithe-baithe na jaane kya sochti rehti thi. Kai baar Ashish ko dekhte-dekhte unki aankhen bhar aati. Kabhi woh pyaar se uske sar par haath pher deti, toh kabhi uske gaalon ko bade pyaar se sehlati. Aur roz woh tel se uske sar ki maalish karti. 
Ashish ki choti behan, jiska naam Priya hain woh kabhi kabhar jab bhi Dadi ke paas se guzarti toh, Dadi use bulati aur apne paas baithati thi. Dadi Priya ke sar ki jui nikalti thi. 
Ek baar Ashish ne Dadi se poocha, "Dadi aapko sabse zyada yaad kiski aati hain ?"
Dadi - "Beta tere Dada, meri saans, mere sasur aur bhi bohut saare logon ki yaad aati hain. Humare zamane mein log bohut ghul milkar rehte the. Har tyohar par poora gaon ek saath milkar jashn manata tha. Har ek tyohar bohut bada hota tha."
Ashish - "Aapka Gaon wapas jaane ka bohut mann karta hain na Dadi ?"
Dadi - "Haan beta. Lekin ab wahan par bhi hain hi koun? Ghar bhi bohut viraan pad gaya hoga. Lekin meri bohut saari acchi yaadein hain wahan par. Are ek baar toh tere Dada ne bohut hi acchi mithai layi thi. Itne bade-bade laddoo the. Aur itne swadisht the woh. Ab woh swaad kaha milega. Ab woh baat hi kaha."

Ashish ko ehsaas hua ki Dadi sabke saath rehkar bhi aakhir kitni akeli hain. Unke daur mein aur aaj ke daur mein zameen aasmaan ka fark hain. Unke daur mein log bhale hi kam kamate the, lekin bohut mil julkar bohut pyaar se rehte the. Zindagi ka har sukh dukh ek dusre ke saath bitate the aur hum log kahi na kahi woh pyaar khote jaa rahe hain.

Dadi ke saath haste khelte kab 10-12 din nikal gaye, Ashish ko pata hi nahi chala. Aakhir kaar Ashish ki chhuttiyan khatam ho gayi aur ab use apne shahar wapas jaana tha. Jaate waqt Dadi, Ashish ko gale lagakar bohut phut-phut ke ro rahi thi. Ashish Bus Stop ki aur chal pada. Bus Stop par pahuchne ke baad, bus thodi der mein aayi aur woh bus mein baitha. Uske baad bus chal padi. Usne dubara office jana shuru kiya aur kaam mein vyast ho gaya. Lekin, jab jab woh akela hota hain, tab tab use Dadi ki bohut yaad aati hain. Dadi ne jo uska khayal rakha, jo use pyaar diya woh sab kuch yaad aata hain. Haalanki phone par baat-cheet ho hi jaati hain. Lekin, Dadi jab saath mein thi, tabki baat aur hi thi. 
                
                - Ved Vineet Gautam

Comments

Popular posts from this blog

Ehsaas

Ajay apne mata-pita ka eklauta ladka tha. Bachpan mein hi usne apni Maa ko kho diya tha. Mohabbat mein insan ko kitni takleef jhelni padti hain, use kitna tadapna padta hain; yeh sab ka ehsaas use bachpan mein hi ho gaya tha. Apne pita ki peeda dekhkar usne bachpan mein hi nirnay le liya tha ki woh aajeevan kunwara hi rahega. Uski maa ki mrutyu ek car haadse mein hui thi. Apna Graduation karne ke baad use ek company mein Marketing Executive ki naukri lagi. Woh Digital Marketing ka kaam karta tha. Ek baar ki baat hain, jab uski Company ke dwara, use bahar gaon bhej diya gaya tha, Business Tour ke liye.Saari tayaari karne ke baad woh bahar gaon ke liye nikal pada. Uske Company dwara uska kamra ek 3 Star Hotel mein book kar diya gaya tha. Hotel Room mein pohuchkar woh fresh hua aur tayyar hokar woh apne meeting ke liye chal diya. Uska Business Tour kaafi lamba hone wala tha, kyunki, Ajay ko us shahar mein kai companies mein jaakar meetings karni thi.

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra

Saar

  Purshottam Sahay ek company mein naukri karte hain. Woh manager ki post par tainaat hain. Unki ek patni hain. Patni ka naam Poonam Sahay hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti. Bete ka naam Sumit Sahay hain aur beti ka naam Arpita Sahay hain. Dono bhai behen judwa hain.