Anurag Shrivastav ek Company mein naukri karta hain. Woh apne maata-pita ki iklauti santaan hain. Jis Company mein Anurag naukri karta hain, waha par ek ladki bhi kaam karti hain. Us ladki ka naam hain, Bhagyashree. Bhagyashree behad khoobsurat hain aur woh shant aur sushil swabhaav ki hain. Woh ladki aksar daftar mein Salwaar Suit mein hi aati hain. Videshi kapdon se maano us ladki ki jaise dushmani si ho. Woh daftar mein zyada kisi se baat nahi karti hain aur woh aksar dukhi nazar aati hain. Anurag ki Bhagyashree se kabhi koi khaas baat-cheet nahi hui hain. Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur office ka samay samaapt ho chuka tha. Anurag parking se apni Bike lekar nikla. Kuch durr jaane par usne dekha ki, Bhagyashree foothpath par paidal chalte hue jaa rahi hain. Woh Bhagyashree ke nazdeek jaakar apni Bike rok deta hain. Woh bhi Anurag ko dekh kar ruk jaati hain. Dono ki nazrein milti hain aur Anurag kehta hain, "Kya main aapko kahi drop kar dun ?" Bhagyashree k