Skip to main content

Sevak

Amit naam ka ek naujavaan ladka tha, jo ki ek ameer Vyakti ke yahan par naukri karta tha. Woh Vikram Seth naamak ek Vyakti ke yahan par naukri karta tha. Woh wahan par hisaab-kitaab ka kaam dekhta tha. Amit apne gaon se bohut dur yahan par akela rehta tha. Unhone use rehne ke liye apne ghar ke paas hi ek kamra diya hua tha. Kabhi-Kabhi kuch dino ki chutti lekar woh apne gaon ho aata tha. Wahan par kaam karte hue use do saal ho gaye the. 
Amit par Vikram Seth ko bohut vishwaas tha. Woh kabhi-kabhi use bahar gaon bhi bhejte the kaam se. Vikram Seth ka ek 8 Saal ka ladka tha. Uska naam tha Chiku. Woh bohut pyaara baccha tha. Parantu, Bhagya ka maara tha. Us nanhe se baalak mein bolne ki shamta nahi thi. Bas yahi ek baat Vikram Seth aur unki biwi ko hamesha dukhi karti thi. Un dono ko hamesha yahi dar satata tha ki uska bhavishya kya hoga. Ek aur baat thi jo unhe bohut satati thi. Woh yeh ki agar kabhi woh kahi kho gaya ya akela kahi raasta bhatak gaya toh kya hoga! Vikram Seth ke paas jeevan mein sab kuch tha lekin phir bhi, kuch sa lagta tha. Chiku ko lekar woh behad chintit rehte the. 
Amit ne ek baar socha ki, 'Sethji kitne dayalu hain. Unhone mere liye kitna kuch kiya hain. Agar woh nahi hote toh mera bhavishya andhakaar mein hi kho jaata. Agar main unke liye kuch kar sakoon. Chiku bhi bada pyaara baccha hain. Lekin bhagya ka maara hain bichara.' Phir uske dimaag mein aaya ki woh Chiku ke liye kuch karne ka prayaas avashya karega. 
Ek din ki baat hain. Din bhaar kaam karne ke baad woh apne ghar pohucha. Behad thaka hua tha woh aur apne kamre mein leta hua tha. Aise hi sochte-sochte uske dimaag mein aaya ki agar woh Chiku ko Sanket Bhasha sikha de toh? Phir usne socha, 'Main swayam nahi jaanta hoon yeh bhasha, use kaise sikhaunga?'
Agle din Amit gaon ke ek bazaar mein kuch samaan kharidne ke liye gaya hua tha. Wahan par din bhar kai kitaabon ki dukaanon ke chakkar lagane ke baad use ek Kitaab mili, jisme Sanket Bhasha sekhne ke baare mein jaankari di jaati hain. Usne turant woh Kitaab kharid li. Ab woh jab bhi apne ghar pohuchta toh woh us kitaab ko prati din padhta tha. Dheere-Dheere use iska thoda sa gyaan mila aur usne Chiku ko sikhana shuru kiya. Vikram Seth ne socha ki Amit naadan hain aur aisa kuch bhi hona asambhav hain. Amit prati din Chiku ko thoda thoda sikhata tha. 


Ek baar ki baat hain jab gaon mein ek mela laga hua tha. Chiku ne Sanket Bhasha ke dwara Amit se us mele mein jaane ki iccha vyakt ki. Amit ne yeh baat Vikram Seth ko batayi, toh unhone mana kar diya. 
Do din baad praath kaal mein sabne yeh aabhas kiya ki Chiku kahi gayab ho gaya hain. Sabhi ne use har jagah dhoondha lekin, woh kahi nahi mila. Amit ne socha ki kahi woh mela dekhne ke liye toh nahi gaya hoga? Phir usne bina vilamb kiye mele ki aur dauda. Amit ne mele ke bohut chakkar lagaye. Bohut logon se uske baare mein puncha, lekin woh Chiku ko dhoondhne mein asafal raha. Sandhya ho gayi aur woh Sethji ke Ghar ki aur badhne laga. Ghar pohuchkar usne dekha ki Chiku ek kursi par baitha hua tha. Use dekhkar Amit ki aankhen bhar aayi. Sethji ne use apne paas bulaya aur apne paas baithne ke liye kaha. 
Sethji -"Amit woh thode se duri par ek khet mein chala gaya tha. Khet ghana aur lamba tha, toh woh wahi par hi phans gaya tha. Ek kisaan ne use dekha jo ki Sanket Bhaasha jaanta tha. Usi ne Chiku ko yahan par laaya hain." 
"Yadi tum Chiku ko Sanket Bhasha nahi sikhate toh, shayad Chiku hume kabhi nahi milta." Yeh kehte hue Sethji ki aankhen bhar aayi. "Tum asal gyaani ho, main tumhara yeh ehsaan kabhi nahi bhulunga." 
Amit - "Ehsaan aapne mujhpar kiya hain. Main toh kisi laayak nahi tha. Parantu aapne mujhpar vishwaas kiya aur mujhe kisi laayak banaya. Mere ghar ki paristithi badli toh kewal aapke kaaran." Dono bhavuk ho gaye the.
Ab Chiku ko lekar Vikram seth ki jo chinta thi woh thodi kam hogayi hain. Chiku ke bhavishya ko lekar woh ab thode se nischint hain. 
                                             - Ved Vineet Gautam

Comments

Popular posts from this blog

Ehsaas

Ajay apne mata-pita ka eklauta ladka tha. Bachpan mein hi usne apni Maa ko kho diya tha. Mohabbat mein insan ko kitni takleef jhelni padti hain, use kitna tadapna padta hain; yeh sab ka ehsaas use bachpan mein hi ho gaya tha. Apne pita ki peeda dekhkar usne bachpan mein hi nirnay le liya tha ki woh aajeevan kunwara hi rahega. Uski maa ki mrutyu ek car haadse mein hui thi. Apna Graduation karne ke baad use ek company mein Marketing Executive ki naukri lagi. Woh Digital Marketing ka kaam karta tha. Ek baar ki baat hain, jab uski Company ke dwara, use bahar gaon bhej diya gaya tha, Business Tour ke liye.Saari tayaari karne ke baad woh bahar gaon ke liye nikal pada. Uske Company dwara uska kamra ek 3 Star Hotel mein book kar diya gaya tha. Hotel Room mein pohuchkar woh fresh hua aur tayyar hokar woh apne meeting ke liye chal diya. Uska Business Tour kaafi lamba hone wala tha, kyunki, Ajay ko us shahar mein kai companies mein jaakar meetings karni thi.

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra

Saar

  Purshottam Sahay ek company mein naukri karte hain. Woh manager ki post par tainaat hain. Unki ek patni hain. Patni ka naam Poonam Sahay hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti. Bete ka naam Sumit Sahay hain aur beti ka naam Arpita Sahay hain. Dono bhai behen judwa hain.