Skip to main content

Samaanata

 Naresh Kataria ek vyapaari hain. Unki khilono ki dukaan hain. Unki patni ka naam Rukmini Kataria hain. Naresh aur Rukmini ke do bete hain aur ek bahu hain. Bade bete ka naam Nihal Kataria hain aur chote bete ka naam Mahipal Kataria hain. Nihal ki patni ka naam, Roshni Kataria aur Mahipal filhal kunwara hain. 


Ek baar Mahipal ke liye ek ladki ka rishta aaya tha. Yeh baat jaankar ghar mein sabhi log behad khush the. Ghar mein ladki ki tasveer bhi aayi thi. Ladki dikhne mein behad sundar aur sushil thi. Sabhi ne jaakar ladki dekhi aur Mahipal ka rishta tai ho gaya. Ghar mein choti Bahu aane ki baat se sabhi log behad khush the. Lekin, Roshni ki khushi ki wajah shaadi se zyada kuch aur bhi thi. Kahi Na Kahi, Roshni ke dimaag mein yeh baat aa rahi thi ki ab ghar mein usse bhi koi chota hoga. Roshni kitchen mein khadi sabzi kaat rahi thi. Sabzi kaatte-kaatte woh soch rahi thi, 'Ab main ghar mein sabse choti aurat nahi kehlaungi.' 'Ab ghar mein kam se kam koi aisi ladki hogi, jise mujhse chota kaha jaayega.' 'Dikhne mein ladki toh khoobsurat lag rahi thi. Kya naam tha us ladki ka.' 'Naam yaad bhi nahi aa raha hain.' 


Tabhi Roshni ke mann mein khayal aaya, 'Saansu Maa se punch loo kya ?' 'Nahi pata nahi aakhir woh kya sochegi ?' 


Phir Roshni yahan-wahan ki baatein sochne lagi. Sochte-Sochte achaanak se use ladki ka naam yaad aaya. 'Are haan, us ladki ka naam toh Namrata hain.' 'Dekhte hain, aakhir kitni vinamr hain yeh ladki.'


Woh aage apni soch ke sagar mein aur doobti chali jaati hain. Woh sochti hain, 'Naam toh bohut accha chuna hain us ladki ke maata-pita ne.' 'Dekhte hain, aakhir uska swabhaav kaisa rahega.' 'Kya pata shayad woh ladki tez zubaan ki ho.' 'Lekin main bhi kam nahi hoon. Ab tak main chup thi, kyunki mujhse zubaan ladane wala koi nahi hain is ghar mein. Dekhte hain, is ladki ke kya rang honge.' 'Jo bhi ho, main bhi bohut manjhi hui khiladi hoon. Ghar mein Raj toh mera hi chalega.' Roshni apne khayalon ki duniya mein khoyi hui thi, aur sabzi kaatte-kaatte achanak se uski ek ungli chaku ke neeche aa gaya aur uski ungli kat gayi.' Yeh mehsus hote hi, Roshni zor se chillayi. Tabhi Rukmini daudte hue rasode mein aayi aur usne Roshni se poocha, "Kya hua Bahu ?"


Roshni ne apne ungli dikhayi. Uska chehra bhi utar gaya tha. Roshni ke ungli se behta hua khoon dekh kar, Rukmini turant haldi ka dabba uthaya aur us dabbe mein se haldi nikaalkar; usne Roshni ke ungli par lagaya. Phir Rukmini ne apne saree ka Pallu zara sa phand kar Roshni ki ungli baandh di. Uske baad, Rukmini ne Roshni se kaha, "Kaha dhyaan rehta hain tumhara Bahu ? Agar zakhm gehra ho jaata toh ? Khaamakhaa tumhe zyada dard hota."


Roshni - "Sorry Mummy. Pata nahi kaise, Chaku ke neeche ungli aa gayi."


Rukmini - "Dhyaan diya karo beta. Ab chodo bhi yeh sabzi. Laao, mujhe do, main kaat dungi sabzi."


Roshni - "Toh main kya karun Mummy ?"


Rukmini - "Jaao apne kamre mein jaakar tum aaram karo."


Roshni apne kamre mein chale jaati hain. Woh kamre ke andar jaate hi, darwaaza andar se band kar deti hain. Phir Roshni ke chehre par ek chaalaki bhari muskaan aati hain. Woh ek shaatir insaan ki tarah do-chaar kadam chalte hue apne bed par aa baith jaati hain. Phir woh bed par kuch aise aasan mein baithti hain, jaise ki woh kisi Singhasan par baithi ho. Roshni khud ko bilkul Rajkumari ki tarah mehsus kar rahi thi. Uska chehra aatmavishwas se bhara hua tha. Roshni ke mann mein khayal aaya, 'Aakhir meri Saans kitni maasoom hain aur ghar ke sabhi mard bhi mujh par behad vishwaas karte hain. Bas dikkat toh us aane wali Bahu ka hain. Waise bhi kaisi dikkat ? Aakhir mein hain toh woh meri Devraani hi. Apni ungliyon par nachaungi main us ladki ko.'


Devraani ke aane se pehle hi, Roshni yojna bana rahi thi, ki aakhir woh kaise use apne pairon tale dabaa kar rakhegi.


Kuch dino baad, Mahipal ki Shaadi ho jaati hain. Aakhir kaar, woh pal aa hi gaya, jiska sabhi ko badi besabri se intezaar tha. Khaas kar ke Roshni ko. 


Nayi-Naveli Bahu ka ghar ke har sadasya ne bohut hi khushi se swaagat kiya. Jhuthe mann se hi sahi, par Roshni ne bhi Namrata ka swaagat kiya. Woh bhi muskaan ke saath. Roshni ne apne haathon se Namrata ko ek saaree di aur kaha, "Ghar mein tumhara swaagat hain, Devrani."

Namrata ne bhi muskura kar kaha, "Ji shukriya Bhabhi."


Agle din subah hote hi, Roshni rasode mein aayi. Rasode mein aate hi, usne dekha ki Namrata waha par pehle se khadi, gas par chai bana rahi thi. Pehle hi din, Namrata rasode mein itni jaldi pohunch jaayegi, is baat ki Roshni ko zara bhi ummeed nahi thi. Namrata ko dekhte hi uske mann mein khayal aaya, 'Oh toh yeh badi tezz ladki hain. Pehle din se hi, parivaar ka bharosa jeetne mein lag gayi.'


Woh Namrata ke pass gayi aur bade hi pyaar se boli, "Are Namrata, tum itni subah-subah rasode mein aa gayi ho ? Aaj pehla din hain, thoda aaram kar li hoti."

Namrata - "Aaj pehla din hain. Isiliye toh aaj main sabse pehle rasode mein aayi hoon Bhabhi."

Roshni - "Yaani ki kal se tum rasode mein der se bhi aa sakti ho ?"

Namrata - "Shayad main kal se rasode mein aaun hi na." Yeh keh kar Namrata hasne lagti hain. Roshni ko Namrata ka yeh andaaz pasand nahi aata hain. Is baat ka ehsaas hote hi, woh kehti hain, "Sorry Bhabhi. Aap toh bur maan gayi. Mujhe toh laga ki hum Devraani-Jethani mein khoob hansi-mazaak chalega."

Roshni - "Are aisi koi baat nahi hain pagli. Hansi-Mazaak toh apno ke beech mein hi hota hain na. Waise bhi, tumhe sahi disha dikhane ka kaam toh mera hi hain."

 

Namrata - "Filhal toh aap mujhe Saasu Maa ke kamre ki disha bataiye Bhabhi. Ya phir har roz ki tarah aaj bhi unhe badi Bahu ke haath se Chai le lene dijiye." Yeh kehte hue, Namrata Chai ka tray Roshni ki aur badha deti hain. 

Roshni - "Nahi. Nahi. Saasu Maa ki seva karne ka aaj tumhe pehla mauka mila hain. Main tumse yeh avsar cheenkar, tumhe dukhi nahi karna chahti hoon. Chalo main tumhe Saasu Maa ke kamre tak le chalti hoon."


Roshni, Rukmini ke kamre ki aur badhti hain aur Namrata uske peeche-peeche jaati hain. Roshni kamre ka darwaaza khat-khatati hain aur Rukmini darwaaza kholti hain. Phir teeno Saans-Bahu saath baithkar Chai ka sevan karte hain. 


Agle din, Roshni apne samay par rasode mein jaati hain aur woh dobara Namrata ko waha par maujood paati hain. Is baar bhi Chai tayyar thi. Yeh dekhkar Roshni Aag-Babula ho jaati hain. Lekin, woh kuch nahi kehti hain. Aakhir woh kahegi bhi toh kya kahegi ? Roshni ka chehra saaf-saaf darsha raha tha ki, woh khud se pehle Namrata ko rasode mein dekh kar bilkul bhi khush nahi thi. Yeh baat Namrata bhi samajh gayi thi. Namrata ne Roshni ko dekh kar Gas ki aur ishaara kiya. Phir woh Chai ki Tray uthayi aur ek chaalaak bhari muskaan dekar woh rasode se chali gayi. Roshni behad gusse mein thi. Woh dobara apne kamre mein gayi. Woh dekhi ki Nihal ab bhi gehri neend mein so raha tha. Woh bed par baith gayi aur sochne lagi. Roshni ke dimaag mein bas ek khayal aaya, 'Yeh ladki apne aap ko behad shaatir samajhti hain aur yeh behad ghamandi bhi lagti hain. Iska kuch na kuch toh karna hi hoga. Aaj toh yeh chakma dekar nikal gayi. Lekin, jeet hamesha iski nahi hogi. Is ladki ko bohut hi tagda sabak seekhana hoga mujhe. Aaj nahi toh kal, kal nahi toh parson, lekin, kabhi na kabhi toh paansa paltega zaroor. Phir main dikhaungi is ladki ko, ki aakhir mein kiski chaal kaamyaab hoti hain. Aakhir, main hoon toh iski Jethani hi na.'


Dopahar ka samay tha aur ghar mein keval auratein hi thi. Kaam khatam hone ke baad, dono Bahuein Rukmini ke kamre mein chali gayi. Waha teeno Saans-Bahu saath baithkar yahan-wahan ki baatein kar rahe the. Tabhi Roshni ne Rukmini se kaha, "Mummy bohut din ho gaye, hum dono saath mein Mandir nahi gaye."

Rukmini - "Thik hain. Jab bhi tumhe Mandir jaane ka mann kare, mujhe tum do ghanta pehle bata dena, main tayyar ho jaaungi."

Tabhi Namrata jhat se keh padti hain, "Mummy aap mujhe bhi Mandir lekar chalogi na ?"

Rukmini - "Haan Zaroor Beta." Namrata muskurati hain.

 

Phir Rukmini soch mein pad jaati hain. Yeh dekh kar Roshni Rukmini se poochti hain, "Mummy. Aap kya soch rahi ho ?"

 Rukmini kehti hain, "Aisa kyun nahi karte ho, kisi din tum dono saath ho aao, Mandir. Ab tak toh tum dono ek dusre ko thoda bohut jaan hi chuki hogi ? Saari zindagi tum dono ko saath mein rehna hain. Mera kya hain, main toh ek kamzor deewar hoon. Kisi bhi waqt gir sakti hoon. Lekin, tum dono ko toh ek lamba safar saath mein tay karna hain."


Dono ek dusre ki taraf dekhte hain aur dono hi soch mein pad jaate hain. Dono ke chehre ka badla hua bhaav dekh kar, Rukmini apni dono Bahuon se poochti hain, "Are itna kya soch rahe ho tum dono ? Maine aisi kounsi baat keh di jo tum dono itni gehri soch mein pad gaye ? Chahiye toh aaj shaam hi tum dono Mandir hote hue aana."


Kuch der sochne ke baad, Roshni kehti hain, "Thik hain Mummy. Aapki agar yahi iccha hain toh hum dono aaj shaam mein hi saath mein Mandir jaayenge."

Rukmini, Namrata ki aur dekhti hain aur woh kehti hain, "Thik hain Mummy. Agar aap kehti ho toh, aaj shaam hum dono Mandir ho aayenge."

Rukmini - "Kya tum dono waha par pooja bhi karogi ?"

Roshni - "Haan Mummy aur saath mein sabke liye, Prasad bhi laayenge." 

Rukmini - "Thik hain."


Woh dono kamre se bahar jaane hi lagti hain ki tabhi Rukmini kehti hain, "Ek aur baat." Dono Rukmini ki aur mudti hain. Rukmini aage kehti hain, "Bahar jab tum dono saath mein jaa hi rahi ho, toh dhang se rehna. Ek dusre ka chehra dekh kar ubalne mat lagna, Subah ki Chai ki tarah."


Dono hi hairaani se Rukmini ki aur dekhte hain. Phir Rukmini aage kehti hain, "Har subah Chai kaise banti hain, yeh main bohut acchi tarah se jaanti hoon. Mere liye, tum dono hamesha ek hi rahoge. Ab agar tum dono ko bhi ek ban kar rehna hain, toh thik hain. Nahi toh, main dekhungi ki, tum dono zyada se zyada samay ek dusre ke saath bandh kar raho. Roshni tum ghar ki badi Bahu ho, toh tumhara farz hain, ki tum Namrata ka khayal rakho. Use pyaar do. Uski khushiyaan tumhari zimmedari hain. Aur Namrata, tumhara bhi farz banta hain, ki tum Roshni ka aadar karo. Use samman do. Tum dono ki ek dusre se koi bhi tulna hain hi nahi. Tum dono hi apni-apni jagah duniya ki sabse acchi Bahuein ho. Yeh tulna ka khel behad khatarnak hota hain. Yeh ant mein, tum dono ke ghar ko todkar rakh dega aur samaaj mein jo hansi udegi woh alag. Aur aakhir mein bas itna hi kahungi, tum dono hi mere liye priy ho. Tum dono ko main apni Bahu nahi, balki Beti maanti hoon aur hamesha maanti rahungi. Aur koi bhi Maa apni dono betiyon ko ek dusre ke saath ladte hue nahi dekh sakti hain. Main bhale hi Boodhi hoon, lekin sab samajhti hoon. Meri aankhein bhale hi kamzor kyun na dikhti ho, lekin, meri nazar aaj bhi bohut tezz hain. Saari duniyadari dekh kar baithi hoon. Main bas itna hi kehna chahti thi tum dono se. Ab tum dono jaa sakti ho."


Rukmini ke muh se yeh sab baatein sunkar, Roshni aur Namrata dono hi, behad dang reh jaati hain aur badi hi hairaani ke saath woh dono Rukmini ke kamre ke bahar chali jaati hain. 


               - Ved Vineet Gautam


Comments

Popular posts from this blog

Ehsaas

Ajay apne mata-pita ka eklauta ladka tha. Bachpan mein hi usne apni Maa ko kho diya tha. Mohabbat mein insan ko kitni takleef jhelni padti hain, use kitna tadapna padta hain; yeh sab ka ehsaas use bachpan mein hi ho gaya tha. Apne pita ki peeda dekhkar usne bachpan mein hi nirnay le liya tha ki woh aajeevan kunwara hi rahega. Uski maa ki mrutyu ek car haadse mein hui thi. Apna Graduation karne ke baad use ek company mein Marketing Executive ki naukri lagi. Woh Digital Marketing ka kaam karta tha. Ek baar ki baat hain, jab uski Company ke dwara, use bahar gaon bhej diya gaya tha, Business Tour ke liye.Saari tayaari karne ke baad woh bahar gaon ke liye nikal pada. Uske Company dwara uska kamra ek 3 Star Hotel mein book kar diya gaya tha. Hotel Room mein pohuchkar woh fresh hua aur tayyar hokar woh apne meeting ke liye chal diya. Uska Business Tour kaafi lamba hone wala tha, kyunki, Ajay ko us shahar mein kai companies mein jaakar meetings karni thi.

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra

Saar

  Purshottam Sahay ek company mein naukri karte hain. Woh manager ki post par tainaat hain. Unki ek patni hain. Patni ka naam Poonam Sahay hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti. Bete ka naam Sumit Sahay hain aur beti ka naam Arpita Sahay hain. Dono bhai behen judwa hain.