Skip to main content

Klesh

 Madhav Bedi peshe se cleark hain. Unki patni ka naam Manju Bedi hain. Madhav aur Manju ke do bacche hain, ek ladka aur ek ladki. Us dampati ke ladke ka naam Roshan Bedi hain aur ladki ka naam Dakshata Bedi hain. Dono ki hi shaadi ho chuki hain. Roshan ki patni ka naam, Kavita hain aur Dakshata ke pati ka naam Arjun Bhatia hain. Arjun peshe se ek vyapaari hain. 


Madhav aur Manju apne dono baccho ki shaadiyan karwake apni zindagi ki aakhri zimmedari bakhubi poori kar diye hain. Unke dono baccho ki shaadi ek saath ek hi mandap mein hui thi. Arjun Madhav ke bohut purane aur kareebi dost ka ladka hain. Dono parivaar ek dusre ko kai saal se jaante hain.

 

Kyunki, Dakshata ka Maayka aur Sasural ek hi shehar mein hain, toh use parivaar se dur rehne ki kami kabhi mehsus nahi hui. Woh aksar apne Maayke aate-jaate rehti hain; kabhi akele, toh kabhi Arjun ke saath. 


Ek din ki baat hain. Shaam ke waqt Dakshata apne ghar walon se milne ke liye, akele hi apne Maayke aa gayi thi. Dakshata ne ghar ka darwaaza khatkatayaa aur Kavita ne darwaaza khola. Dono Nanad-Bhabhi ek dusre ko dekh kar muskuraye. Phir Dakshata ghar ke andar aayi aur woh Hall mein pade sofa par jaa kar baith gayi. Yeh dekh Kavita thoda naaraz ho gayi. Woh kuch nahi boli. Kavita Dakshata ke saamne pade kursi par baith gayi aur kahi, "Kaisi ho Dakshata ?"

Dakshata - "Main thik hoon Bhabhi. Tum kaisi ho ?"

Kavita - "Main bhi thik hoon."

Dakshata - "Ghar mein baaki sab log kaise hain ?"

Kavita - "Sabhi log thik hain. Tum batao, tumhare sasural mein sab log kaise hain ?"

Dakshata - "Sab thik hain Bhabhi. Bhaiyaa kaise hain ?"

Kavita - "Woh bhi thik hain. Tum batao, Arjun kaise hain ?"

Dakshata - "Woh bhi thik hain Bhabhi."


Dono ke pass aage baat karne ke liye kuch nahi tha. Isiliye dono chup ho gaye. Phir Dakshata ne yahan-wahan dekha aur kaha, "Bhabhi ghar ke baaki log dikhayi nahi de rahe hain ?"

Kavita - "Haan woh sabhi log bahar gaye hue hain. Aaj Roshan ko daftar se jaldi chutti mil gayi thi, toh kuch kaam se sabhi log bahar gaye hue hain."

Dakshata - "Kya kaam se ?"

Kavita - "Woh log Raashan bharwaane gaye hain."

Dakshata - "Chalo accha hain."

Kavita - "Kya tum Chai logi ?"

Dakshata - "Agar tum Chai dena chahti ho toh de do."

Kavita - "Nahi mera matlab hain ki Chai ya phir khaana bhi khaaogi ?"

Dakshata - "Ab toh is ghar mein tumhara Raaj hain Bhabhi. Tumhari ijaazat ke bagair toh main ghar bhi nahi aa paaungi."


Dono hans padte hain. Kavita Sofa par se uthti hain aur kehti hain, "Khichdi bani hui hain."

Dakshata - "Nahi. Nahi Bhabhi. Main ghar se khaana khaa kar aayi hoon. Tum sirf ek cup chai bana do."

Kavita - "Thik hain Dakshata."

Kavita andar chali jaati hain aur phir kuch der baad, do cup chai lekar laut aati hain.


Phir woh dono saath baith Chai ki chuskiyaan lete hue,  yahan-wahan ki baatein karne lage.  


Kuch der baad, ghar ke baaki sadasya bhi ghar pohuch gaye aur un logon se kuch der tak baat-cheet karne ke baad, Dakshata kehti hain, "Achha toh ab main aati hoon."

Kavita - "Are kaha jaa rahi ho Dakshata ?"

Dakshata - "Wapas apne ghar."

Kavita - "Yeh bhi toh tumahara hi ghar hain."

Dakshata - "Yeh mera ghar tha Bhabhi. Ab Sasural hi mera ghar hain."

Kavita - "Paraaye ghar mein kuch zyada hi waqt guzaar diya tumne Dakshata. Dekh lo kahi Sasural wale naaraz na ho jaaye."

Dakshata - "Bhabhi Sasural walon ko toh main manaa lungi, mere Maayke wale mujhe hamesha yaad karte rehte hain; isiliye main unse milne ke liye aa gayi."

Kavita - "Mujhe bhi apne Sasural Walon se itna pyaar milta hain ki mujhe apne Maayke jaane ki zaroorat hi mehsus nahi hoti hain."


Yeh baat Dakshata ko buri lag jaati hain aur woh Kavita ko bina koi jawaab diye waha se chali jaati hain.


Kuch dino baad, Diwali ka tyohaar aa jaata hain. Har koi is tyohaar ko badi dhoom-dhaam se manana chahta tha. 


Pichle din hi Kavita, Roshan ke saath bazaar jaakar sabhi saaman ki kharid-daari kar aayi thi. Woh subah saat baje se hi tayyariyon mein lag gayi thi. Kavita ne poore ghar ko Diye se sajaa diya tha. Phir woh rasode mein jaakar sabke liye khaana banayi. 


Dekhte Hi Dekhte dopahar ho gayi. Kavita thodi thak chuki thi. Isliye woh aaram karne ke liye,apne kamre mein chali gayi. Kuch der baad, Roshan kamre mein aaya. Kavita bistar par leti hui thi. Roshan ko dekhte hi Kavita muskurayi. Phir Roshan ne kaha, "Kya tum thak chuki ho ?"

Kavita - "Haan aaj kuch zyada hi kaam tha."

Roshan - "Thik hain. Aaram karo."


Roshan wapas chala jaata hain. Kavita ab bhi leti hui thi.  Lete-Lete Kavita ki aankh lag gayi. Kuch samay baad, Kavita ki neend khuli. Woh bistar se uthi aur bathroom jaakar apna muh dhoyi. Jab woh baathroom se bahar aayi, tab uski nazar deewar par tange ghadi par padi. Dopahar ke Do baj rahe the. Kavita ko yaad aaya ki usne aaj khaane ke liye kisi se pucha hi nahi. Woh Hall mein chali gayi. Hall mein pohuchkar Kavita ne dekha ki, sabka khaana-peena khatam ho chuka hain aur Manju sabhi ki thaali utha rahi hain. Yeh dekh Kavita ko badaa pachtaawa ho raha tha. Tabhi Manju, rasode ki aur jaane ke liye Kavita ke bagal se guzar rahi thi. Manju ke haathon mein thali thi. Manju ko dekh Kavita boli, "Laaiye Mummy main rakh deti hoon."

Manju - "Koi baat nahi beta. Main rakh dungi."

Kavita - "Mujhe maaf kariyega Mummy. Mujhe pata hi nahi chala ki aakhir kab meri aankh lag gayi."

Manju - "Ho jaata hain beta. Tum thak bhi toh gayi hogi."

Kavita - "Mummy shaam ke liye kya banaun main ?"

Manju - "Kuch bhi nahi. Dakshata ke ghar se nyota aaya hain. Aaj shaam hum log wahi jaa rahe hain."

Kavita - "Thik hain Mummy."


Shaam ka waqt tha aur sabhi Dakshata ke Sasural mein baithe hue the. Dono parivaar ke sabhi log aapas mein baatein kar rahe the. Tabhi Manju Kavita ki aur dekh kar kehti hain, "Tum toh pehli baar aayi hogi na yahan par ?"

Kavita - "Haan Mummy."

Manju - "Toh kaisa laga tumhe apni Nanad ka Sasural ?"

Kavita - "Bohut hi accha hain Mummy."


Tabhi Dakshata ki Saans Manju se kehti hain, "Aaiye Bhabhi hum log andar chalte hain." 

Manju - "Thik hain Bhabhi."


Manju Dakshata ke saans ke saath andar chali jaati hain aur un dono ke saath-saath Dakshata aur Kavita bhi andar chali jaati hain. Sabhi auratein saath baithkar aapas mein baat-cheet kar rahe the. Tabhi Dakshata Kavita se kehti hain, "Aaiye Bhabhi main aapko apna kamra dikhati hoon." 

Kavita - "Thik hain." 


Dakshata Kavita ka haath pakad kar use apne saath kamre mein le jaati hain. Dono saath mein bed par baith jaate hain. 

Phir Dakshata kehti hain, "Toh batao Bhabhi tum kya logi ?"

Kavita - "Maanna padega Dakshata sabke saamne 'Aap' aur akele mein 'Tum' ?"

Dakshata - "Sabke saamne samaaj ke riti-rivaaz nibhaane padte hain."

Kavita - "Jo insaan duniya ke saamne kuch aur bartaav karta hain aur akele mein kuch aur us insaan ka kabhi bhi bharosa nahi karna chahiye."

Dakshata - "Jab bharosa nahi tha Bhabhi, tab toh aapko saath mein aana bhi nahi chahiye tha."

Kavita - "Samaaj ke riti-rivaaz bhi toh dekhne padte hain Dakshata."

Dakshata - "Agar mera aapke Sasural aana aapko pasand nahi aata hain, toh keh dijiye main waha par ek kadam bhi nahi rakhungi Bhabhi."

Kavita - "Isse accha aur kya mauka milega Dakshata apni Bhabhi ko zaleel karne ka. Taaki samaaj yeh keh sake, ki ghar aate hi Bahu ne ghar ki laadli beti ke Maayke aane par rok laga di."


Tabhi Dakshata ki nazar darwaaze par padti hain. Woh dekhti hain ki, darwaaze ke bahar Manju khadi thi. Manju waha par khade hue in dono ki baatein sunn rahi thi. Woh samajh jaati hain ki dono Nanad-Bhabhi ke beech kuch thik nahi hain aur yeh haalaat aage chalkar ek vikraal roop bhi le sakti hain. 


Manju un dono ko bina kuch kahe, waha se wapas chali jaati hain. Dakshata aur Kavita bas ek dusre ko dekh rahe the. Dono ko samajh mein nahi aa raha tha ki woh dono aage kya kare aur dono hi us kamre mein khaamosh baithe hue the. 


Kuch der baad, Dakshata ki Saans kamre mein aati hain aur kehti hain, "Sab log neeche baithe tum dono ka intezaar kar rahe hain."

Teeno auratein neeche Hall mein chali jaati hain. Phir Roshan Kavita ki aur dekh kar kehta hain, "Bohut der ho gayi hain. Ab hum logon ko ghar wapas jaana chahiye." Sab log apne ghar wapas chale jaate hain. 


Agle din se woh dono hi apne-apne parivaar ke saath vyast ho jaati hain. Kai din beet jaate hain. Lekin, Dakshata apne Maayke nahi jaati hain. Yeh baat Kavita ko bohut khatakti hain. Ek din ki baat hain. Kavita apne kamre mein baithi hui thi. Woh apne kamre mein akeli thi aur Kavita ke mann mein khayalon ka pahiya raftaar pakad chuka tha. Woh bohut kuch soch rahi thi. Khaas taur par, us din ki ghatna ke baare mein reh-reh kar Kavita ke mann mein baar-baar khayal aa raha tha. 


Tabhi Roshan kamre mein aata hain aur Kavita se kehta hain, "Sab log neeche tumahara intezaar kar rahe hain." Dono saath mein neeche jaate hain. Kavita dekhti hain ki, Hall mein Dakshata aur uske parivaar ke saath-saath, Kavita ke Maayke wale bhi ghar aaye hue hain. Kavita apni Maa ke gale lag jaati hain unke bagal mein baith jaati hain. 


Teeno parivaar saath mein baithe hue the. Tabhi Madhav kehta hain, "Meri Beti aur Bahu ke beech rishta thik nahi chal raha hain. Is baat ki gawaah Manju hain. Bhavishya mein koi dikkat na ho, isliye maine ek faisla kiya hain. Aaj ke baad se yeh dono ladkiyaan apni aage ki zindagi apne-apne Maayke mein beetayengi."


Yeh sunn kar Dakshata aur Kavita dono hi hairaan reh jaate hain. Aur jo baat un dono ko sabse zyada hairaan kar rahi thi, woh yeh thi ki Dakshata ke Sasural wale aur Kavita ke Maayke wale dono hi Madhav ki is baat par sehmati jataa rahe the. 

Tabhi Kavita Madhav se kehti hain, "Papa agar mujhse koi galti ho gayi ho toh mujhe maaf kar dijiye."

Tabhi Kavita ke Pita kehte hain, "Are jaane do beta. Kyun inhe samjhaane ki koshish kar rahi ho ? Aaram se apne Maayke mein rehna tum. Aage chalkar hum log samaaj mein inki izzat bhi uchalenge."

Dakshata siskate hue Madhav se kehti hain, "Papa main Zindagi bhar aapke sar par bojh bankar nahi rehna chahti hoon."

Madhav - "Toh beta tum kyun apne Bhai ka ghar todne mein lagi hui ho ? Kal ko tum dono Bhabhi-Nanad ke beech koi bada takraav ho gaya, toh Roshan bichara tum dono ke jhagde mein aacha-khaasa phans jaayega. Hum sab ek hi parivaar hain aur is parivaar ki shaanti ke liye har ek sadasy ka kartavya banta hain ki woh parivaar ki sukh-shaanti banaye rakhe. Agar kal ko tum is ghar mein aakar dobara rehne lagti ho, ya Kavita apne Maayke mein jaakar rehne lagti hain, toh bhi main tumhare Sasrual Walon se ya Kavita ke Maayke walon se apna rishta khatam nahi karunga. Hum teeno parivaar ek hain aur jeevan ke saare sukh-dukh hum teeno parivaar ko milkar baantna hain. Hamare beech koi parda nahi. Isliye hum teeno parivaar ne milkar vaartaalaap kiya aur is natije par pohunche hain ki, chahe tum dono Nanad-Bhabhi ke beech mein rishta sambhle ya na sambhle; hum teeno parivaar hamesha ek dusre ke saath jeevan bhar sukh-dukh baantte rahenge. 

Kal ko chahe kuch bhi ho jaaye, hum teeno parivaar kisi bhi haal mein ek dusre ka saath nahi chodenge. Agar tum dono ko bhi is bade se parivaar ka hissa banna hain, toh apne aapsi matbhed bhulakar dono Nanad-Bhabhi ek acche dost ki tarah raho."


Teeno parivaar dobara ek dusre se charcha karne mein lag jaate hain. Dakshata aur Kavita ek dusre ke viruddh disha mein khadi ek dusre ko dekh kar ek dusre ke samip aane ke upaayon ke baare mein sochne lagti hain.


                 - Ved Vineet Gautam


Comments

Popular posts from this blog

Ehsaas

Ajay apne mata-pita ka eklauta ladka tha. Bachpan mein hi usne apni Maa ko kho diya tha. Mohabbat mein insan ko kitni takleef jhelni padti hain, use kitna tadapna padta hain; yeh sab ka ehsaas use bachpan mein hi ho gaya tha. Apne pita ki peeda dekhkar usne bachpan mein hi nirnay le liya tha ki woh aajeevan kunwara hi rahega. Uski maa ki mrutyu ek car haadse mein hui thi. Apna Graduation karne ke baad use ek company mein Marketing Executive ki naukri lagi. Woh Digital Marketing ka kaam karta tha. Ek baar ki baat hain, jab uski Company ke dwara, use bahar gaon bhej diya gaya tha, Business Tour ke liye.Saari tayaari karne ke baad woh bahar gaon ke liye nikal pada. Uske Company dwara uska kamra ek 3 Star Hotel mein book kar diya gaya tha. Hotel Room mein pohuchkar woh fresh hua aur tayyar hokar woh apne meeting ke liye chal diya. Uska Business Tour kaafi lamba hone wala tha, kyunki, Ajay ko us shahar mein kai companies mein jaakar meetings karni thi.

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra

Saar

  Purshottam Sahay ek company mein naukri karte hain. Woh manager ki post par tainaat hain. Unki ek patni hain. Patni ka naam Poonam Sahay hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti. Bete ka naam Sumit Sahay hain aur beti ka naam Arpita Sahay hain. Dono bhai behen judwa hain.