Skip to main content

Strot

 Pankaj Kumar aur Sakshi Kumar dono pati-patni hain. Dono dampati naukri karte hain, ek hi company mein. Dono zyada padhe-likhe nahi the, jis wajah unki pagaar bhi kam hain. Us dampati ki pagaar mahine ki 15,000 /- rupaye hain. Is prakaar dono ki pagaar milakar, har mahina ghar mein 30,000 /- rupaye aa jaaya karte hain. Jis se ghar kharch thik thak tareeke se chal jaaya karta hain. 


Us dampati ka ek ladka hain Ronit Kumar. Ronit bohut hi pyaara aur maasoom baccha hain. Woh koi khaas tez-tarrar kism ka ladka nahi hain. Woh bohut hi seedha-saadha kam baat karne wala ladka hain. Na woh padhayi mein tez hain aur na hi baat-cheet mein. Jis wajah se woh samaaj mein zyada uthta-baithta nahi hain.


Us dampati ko apne bacche se bohut lagaav hain. Unhone Ronit ke liye din-raat ek karke zyada se zyada kamane ki koshish ki hain. Taaki use jeevan mein kabhi bhi kisi bhi cheez ki kami na khale. Ronit ko apne maata-pita se bohut zyada pyaar mila hain. Lekin, woh khush nahi hain. Kyunki, itni mehnat karne ke bawjood; woh log us mukaam par nahi hain, jahan par Ronit ko lagta tha ki us Parivaar ko hona chahiye. 


Bohut kam umar se hi Ronit ko apni gareebi khalne lag gayi thi. Us dampati ne apne laadle bete ko hamesha sikhaya hain ki kam paison mein bhi khush kaise raha jaa sakta hain. Unhone Ronit ko yeh bhi sikhaya hain ki, khushi paison ki mohtaaj nahi hoti hain. 


Lekin, samay badal chuka hain. Mulya badal chuke hain. Samaaj ke taur-tareeke bhi tezi se badal rahe hain. Aur yeh baat, Ronit bohut kam umar mein, bakhubi samajh chuka tha. 


Woh har roz subah uthkar tayyar hota aur apni maa ke saath school chale jaata. Kyunki, Sakshi ki shift subah-subah ki hi hoti thi, toh woh Ronit ko school chodkar apni naukri par chali jaati aur shaam mein apni naukri ka samay samapt hone ke baad; Pankaj, Ronit ko School se ghar le aata tha. Dono samay, Ronit raaste bhar mehngi gaadiyan dekhta. Mehnge kapdon ki dukaane dekhta aur bhi bohut kuch, samaaj ka badlaav Ronit ko dikhayi deta tha. 


Ek baat Ronit ke dimaag ki gehrai mein baith chuki thi ki, accha jeevan vyatit karne ke liye; manushya ko ek acche ohade par hona behad zaroori hain. Samay beet ta gaya aur dekhte hi dekhte, apne maata-pita ka haath pakad kar chalne wala ladka ab akele College ke liye chale jaata hain. Pankaj aur Sakshi ke chehre par bhi umar ka asar dikhna shuru ho chuka tha. 


Ronit aaj bhi padhayi mein koi khaas tez nahi ban paaya hain. Jabki Ronit ne bachpan se hi padhayi mein, bohut mehnat bhi ki hain. Aur woh kare bhi kyun na, aakhir Ronit ne bachpan se hi apne maata-pita ko bohut kasht se paise kamate hue dekha hain. 


Bhale hi Ronit ab jawaan ho chuka hain, lekin, woh aaj bhi kisi se bhi zyada ghulta-milta nahi hain. 


Ek din ki baat hain. Ronit ke College ki Diwali ki chuttiyan thi. Society mein Diwali ki tayyariyan shuru ho chuki thi. Ghar mein Society ke kuch ladke aate hain aur batate hain ki, aaj shaam Society mein sab log milkar tyohaar manayenge.


Shaam mein Ronit tayyar hokar apne ghar se bahar nikalta hain. Woh apne Society ke baaki sadasyon ko Diwali ki shubhkamnaye deta hain. Sabhi ko shubhkamnaye dete samay yeh baat uska dhyaan khichti hain ki zyadatar baccho ke kapde behad mehnge aur acchi dukaan se liye gaye hue hain. Ronit ke bhi kapde naye the. Uske kapde bhale hi saade nahi the, lekin, Ronit ke kapdon mein, koi khaas baat nahi dikh paa rahi thi. Poori Society mil-julkar bade hi dhoom-dhaam se Diwali ka tyohaar manati hain aur baad mein sabhi apne-apne ghar chale jaate hain. 


Ronit bhi apne ghar mein chale jaata hain. Haalanki, tyohaar toh khub zoro-shoro se manaya gaya tha. Lekin, woh thoda sa udaas bhi hota hain. 


Ronit apne ghar ka darwaaza khat-khatata hain. Sakshi darwaaza kholti hain. Ronit ka udaas chehra dekh kar, woh poochti hain, "Kya hua beta ?"

"Kuch nahi Mummy." Kehte hue, Ronit ghar ke andar aata hain. 

Sakshi - "Toh phir tum itne udaas kyun lag rahe ho ?"

Ronit - "Kuch nahi Mummy."

Sakshi - "Tyohaar ka din hain. Kam Se Kam aaj ke din toh tum thoda muskura do."

"Aisi baat nahi hain Mummy. Main bas zara sa thak chuka hoon." Kehte hue Ronit apne kamre mein jaata hain. 

Sakshi Pankaj ki aur dekhti hain aur badi hairaani se kehti hain, "Are ise kya hua ?"

Pankaj - "Kuch nahi. Aaj kal ke bacche hain. Mobile mein vyast rehne wali peedhi hain yeh. Aur waise bhi tum toh jaanti hi ho, bachpan se hi yeh kisi se bhi zyada baat nahi karta hain."

Ronit apne kamre mein hota hain. Akele baithe-baithe woh sochta hain, 'Aakhir main is duniya mein kyun aaya hoon ?'

'Kya main keval ek choti-moti pagaar uthakar jeene ke liye aaya hoon. Koi bhi mehngi cheez lene ke liye, keval karz ka hi sahara le sakta hoon ? Kya main itna zyada nahi kamaa sakta hoon ki duniya ki mehngi se mehngi cheez, main bina karz liye apni kamayi se ek baar mein kharid sakoon ?'


Phir woh so jaata hain aur agle din se woh, apni rozmarra zindagi mein dobara lag jaata hain. Kuch dino ke baad, Ronit ki chuttiyan khatam ho jaati hain aur College dobara shuru ho jaata hain. Woh bohut mehnat se padhayi karta hain aur jaise-taise woh apna College poora kar leta hain. 


Kareeb chaar mahine tak interviews dene ke baad, aakhir kaar Ronit ka ek company mein selection ho jaata hain. 


Kyunki yeh Ronit ke jeevan ki pehli naukri thi, toh isiliye woh koi kasar nahi chodta hain kaam seekhne mein. Ronit na keval din bhar naukri karta balki shaam mein ghar aane ke baad, woh yeh sochta ki usne aaj kya-kya seekha hain. Saath-Hi-Saath, woh is baat ka vishleshan karta ki woh aane wale kuch saalon mein kaha par pohuchega. 


Is dauraan kai sawaal Ronit ke zehan mein aane lagte. 'Kya main sahi raaste par jaa raha hoon ?' 'Kahi mujhse koi badi chuk toh nahi ho rahi hain ?' 'Kya main jeevan mein kabhi bhi aatmanirbhar ban paaunga ?' 'Kya main apne jeevan mein kabhi us mukaam tak pohuch paaunga, jahan par pohuchne ke baad, insaan apne jeevan mein paisa paani ki tarah baha deta hain ?'

Yahi sab sawaal, Ronit ko aksar pareshan karte rehte the. 


Ek din ki baat hain. Naukri ka samay samaapt ho chuka tha aur Ronit apne ghar ki aur wapas jaa raha tha. Woh sadak par paidal chalte jaa raha tha. Tabhi woh dekhta hain, ki sadak ke dusre aur kai dukaane hain. Koi kapde ki dukaan hain. Toh koi jooton ki dukaan hain. Toh sadak ke kinaare kisi ka koi chota sa thela bhi laga hua hain. 


Ronit wahi par kinare khada ho jaata hain aur sadak ke us paar ke nazaare ko bohut hi dhyaan se dekhta hain. Woh sochta hain, 'Yeh thela wala bhi mujhse zyada hi kamata hoga. Har roz ka 1,000 Rupaye toh woh aaram se nikaal leta hoga. Toh mahine ka 30,000 toh aankh band karke woh zaroor kama paata hoga. Woh aadmi, jisne apne jeevan mein shayad kabhi School ki shakal bhi na dekhi ho, aaj woh itna saksham toh zaroor hoga ki, woh apne baccho ko ek acche School mein padha sake. Woh aadmi jiske pass koi bhi degree nahi hain, woh aadmi bhi apne parivaar ko ek acchi zindagi dene mein safal zaroor ho chuka hoga. Mujhe bhi isi tarah apne maata-pita ko ek bohut hi accha jeevan dena hain. Main unhe apni aankhon ke saamne behad khushi se apna jeevan vyatit karte hue dekhna chahta hoon. Toh kyun na main bhi koi accha vyapaar shuru karne ki koshish karoon ? Kyun na main ab apna dimaag laga kar khud ka koi kaam shuru karne ki koshish karoon ? Kyun na main bhi apne maata-pita ko Car mein ghumane le jaaun ?' Phir woh apne ghar ki aur chalna dobara shuru kar deta hain.


Kuch samay baad, Ronit apne ghar pohuchta hain. Maata-Pita ke saath khaana-peena karne ke baad, woh apne kamre mein sone ke liye chala jaata hain. 

Ronit apne kamre mein, apne bistar par leta hua tha. Woh sochta hain, 'Main bhale hi koi dukaan na khol sakoon, par main online toh kuch na kuch toh kar hi sakta hoon ?' Ab woh apna mobile kholta hain aur internet par woh online business ki jaankari padhna shuru karta hain. Phir woh so jaata hain. Ab yeh Ronit ka har roz ka silsila ho chuka tha. Woh din bhar naukri karta aur raat mein apne mobile par online vyapaar ki baarikiyan samajhne ki koshish karta. 


Kuch mahino mein hi usne apna ek business module plan kar liya tha. Ronit ne apni ek online selling website bhi bana li thi. Lekin, sawaal yeh tha ki ab aage kya kiya jaaye. 

Usne socha ki shuruaat hamesha choti hi hoti hain. Usne apne platform par pehle rozmarra ki zaroori choti-moti cheeze bechna shuru ki. Jaise ki Tooth Brush, Tel Sabun, ityaadi. 


Rozmarra ke aavashyak samaan hone ke bawjood kai mahino tak, Ronit ko ek bhi order nahi mila. Apni E-Commerce website ki marketing ke liye, Ronit ne din-raat ek kar diya. Woh aksar alag-alag companies ke chakkar kaat ta taaki koi uske vyapaar ko finance kar sake aur uski online dukaan, online vyapaar ke shetra mein woh apna sikka chamka sake.  Dheere-Dheere Ronit ki kamayi badhti gayi aur do saal baad, usne apni naukri chod di.


Ab Ronit ne apna saara dhyaan apne vyapaar par dena shuru kar diya. Woh din bhar kai kaam karta. Companies se baat karta aur unka saaman apne website par bechne ki anumati paane ke liye woh tez-tarrar tareeke se baat-cheet karne ka prayaas karta. Bohut prayaason ke baad, woh bhale hi apna swabhaav poori tarah badalne mein safal toh ho nahi paaya. Lekin, ab woh bahari logon se khaas kar ke anjaan logon se baat-cheet karne mein woh saksham ban chuka hain. 


Ronit ne logon se apna vyapaar ki khatir khul kar baat-cheet karne ki koshish ki. Ronit ke baat-cheet karne ka saleekhe mein ab bohut parivartan aa chuka tha. Apne aankhon ke taare mein, itna badaa badlaav dekh kar Pankaj aur Sakshi bohut khush hue. Unhe aksar Ronit par bohut garv mehsus hota. Apni website ki raftaar badhane ke liye bhi woh online dher saare kaam karta. 


Lekin, ab tak Ronit ko woh kaamyabi nahi mil paayi, jiski use ummeed thi. Ummeed poori nahi ho paa rahi thi, toh kabhi-kabhi Ronit ka mann bohut dukhi bhi ho jaata. Apne iklaute Chirag ko dukhi dekh kar, Maa-Baap ka bhi mann dukhi ho jaata. Lekin, yeh Ronit ke liye, pareeksha ki ghadi thi. Aur is baat ko Pankaj aur Sakshi bakhubi samajhte the. Isiliye, apne dil ko majboot banakar, woh Ronit se uski samasya poochte, aur use samjhane ki, uske vichaaron ko sahi disha dene ka poora-poora prayaas karte. 


Ronit ne bhi mehnat karne mein koi bhi kasar nahi chodi. Woh apni company ka na keval online kaam poori mehnat ke saath karta, balki woh bahar logon se mulaakaaten kar-kar ke logon ko apni Company ki jaankari dene ka bhi poora prayaas karta. 

Is se Ronit ka na keval aarthik balki maansik fayda bhi bohut hua. Ab woh logon se na khul kar baat-cheet kar paata hain, balki woh poori needarta ke saath, anjaan logon se apne vyapaar ke baare mein kaafi lambe samay tak baat-cheet kar paata. 


Woh sabhi logon ko poore vistaar mein apne vyapaar ke baare mein batata. Aur saath hi saath, woh logon ko apne vyapaar se jude apni bhavishya ki yojnaon ke baare mein bhi batata. Jis kaaran logon ka Ronit ke vyapaar par bharosa karna aasan ho jaata.


Dekhte Hi Dekhte, teen saal mein hi Ronit ki mehnat rang laayi. 

Ab woh apne online vyapaar se mahine ka kam se kam do se teen laakh kamaa hi leta hain. Pankaj aur Sakshi ko, Ronit ki uplabhdhi par badaa garv hain. Jab bhi log Ronit se uski safalta ka raaz poochte, toh woh bas yahi kehta ki, nirantar prayaas hi mujhe yahan tak le aayi hain. Ronit aaj sabhi naujawano ke liye ek prerna ban chuka hain. 


                 - Ved Vineet Gautam


Comments

Popular posts from this blog

Ehsaas

Ajay apne mata-pita ka eklauta ladka tha. Bachpan mein hi usne apni Maa ko kho diya tha. Mohabbat mein insan ko kitni takleef jhelni padti hain, use kitna tadapna padta hain; yeh sab ka ehsaas use bachpan mein hi ho gaya tha. Apne pita ki peeda dekhkar usne bachpan mein hi nirnay le liya tha ki woh aajeevan kunwara hi rahega. Uski maa ki mrutyu ek car haadse mein hui thi. Apna Graduation karne ke baad use ek company mein Marketing Executive ki naukri lagi. Woh Digital Marketing ka kaam karta tha. Ek baar ki baat hain, jab uski Company ke dwara, use bahar gaon bhej diya gaya tha, Business Tour ke liye.Saari tayaari karne ke baad woh bahar gaon ke liye nikal pada. Uske Company dwara uska kamra ek 3 Star Hotel mein book kar diya gaya tha. Hotel Room mein pohuchkar woh fresh hua aur tayyar hokar woh apne meeting ke liye chal diya. Uska Business Tour kaafi lamba hone wala tha, kyunki, Ajay ko us shahar mein kai companies mein jaakar meetings karni thi.

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra

Saar

  Purshottam Sahay ek company mein naukri karte hain. Woh manager ki post par tainaat hain. Unki ek patni hain. Patni ka naam Poonam Sahay hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti. Bete ka naam Sumit Sahay hain aur beti ka naam Arpita Sahay hain. Dono bhai behen judwa hain.