Skip to main content

Paraamarsh

 Sanket Goyal peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam Madhvi Goyal hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti hain. Bete ka naam, Arjun Goyal hain aur beti ka naam, Priya Goyal hain.

 

Arjun ki padhaayi ek saal pehle poori ho chuki hain aur woh Sanket ke saath vyapaar mein haath batata hain. Priya ki padhaayi haal hi mein poori hui hain. 


Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur poora parivaar saath mein baitha hua tha. Sanket kehta hain, "Bhai hamare dono baccho ki padhaayi bohut hi acche se ho gayi hain."

Madhvi - "Haan. Aur bohut hi acche number bhi mile hain dono ko."

Sanket - "Woh baat toh hain. Arjun bhi kitne acche se kaam kar raha hain. Bohut hi kam samay mein is ladke ne vyapaar ko bohut acche se sambhaal liya hain. Ab main ekdum aashwast ho chuka hoon."

Dono bacche muskurate hain. 

Sanket aage kehta hain, "Ab bas ek baar hamare dono bacchon ki shaadiyan karwa doon, uske baad main sanyaas le lunga."

Sabhi hasne lagte hain.

Madhvi - "Main toh bas yahi chahti hoon ki hamare bacche zindagi bhar khush rahe. Kitna accha hoga, agar hamare dono bacchon ki shaadiyan ek saath ek hi mandap mein ho."

Sanket - "Yeh toh bohut hi accha khayal hain tumhara Madhvi."

Arjun - "Papa jab Shaadi ki baat ho hi rahi hain toh, main aap logon se ek baat kehna chahta hoon."

Sanket - "Haan bolo beta."

Arjun - "Woh mujhe ek ladki pasand hain."

Sanket - "Bhai vaah. Kabse ?"

Arjun - "College se. Mere saath College mein padhti thi."

Madhvi - "Kya naam hain us ladki ka ?"

Arjun - "Apeksha."

Sanket - "Us ladki ke pita kya kaam karte hain ?"

Arjun - "Woh ek Bank mein naukri karte hain."

Sanket - "Aur us ladki ke ghar mein koun-koun hain ?"

Arjun - "Apeksha ke Papa-Mummy aur uska ek chota Bhai."

Sanket - "Ladki ka Bhai kya kaam karta hain ?"

Arjun - "Woh filhal College mein padhaayi karta hain."

Priya - "Toh kab milwa rahe ho Bhabhi se ?"

Arjun sharma jaata hain.

Sanket - "Beta tum jab chaho, hum us ladki ke Parivaar se milne ke liye chale jaayenge."

Arjun - "Thanks Papa."

Sanket - "Isme thanks ki kya baat hain beta. Bas ladki ke Parivaar walon ki razaamandi ho, toh hum tum dono ki Shaadi karwa denge."

Madhvi - "Tumhare hone wale Sasur kya is rishte ko maanenge ?"

Arjun - "Shayad."

Sanket - "Ladki se kaho, ki woh apne pita se baat kar lein, uske baad agar woh raazi hote hain mulakaat ke liye; toh jab bhi woh chahe, jahan bhi woh chahe, hum mil sakte hain beta."

Arjun - "Thik hain Papa."


Arjun Apeksha se baat karta hain aur dono parivaar ki mulakaat hoti hain. 


Dono parivaar saath mein baithe hue the. Sanket ne kurta pajama pehna hua tha. Jisme woh ek zamindaar ki tarah lag raha tha.


Apeksha ke Pita ka naam, Suresh Kumar hain aur Maata ka naam Narmada Kumar hain. Apeksha ke bhai ka naam Sanjay hain. 

Suresh - "Toh bataiye Bhaisahab, kaisa chal raha hain aapka kaarobar ?"

Sanket - "Bohut hi badhiya chal raha hain. Arjun ne bohut hi acche se sambhaal liya hain hamara kaam."

Suresh - "Yeh toh bohut hi khushi ki baat hain. Bhaisahab main bohut hi seedhi-seedhi baat karunga."

Sanket - "Ghuma-Phira kar baat karna mujhe bhi nahi aata hain."

Suresh - "Aap toh jaante ho ki main ek chota-mota karmachaari hoon. Sanjay ki padhaayi bhi abhi chal hi rahi hain. Aapki jo bhi apekshaayein ho Shaadi ke maamle mein, woh sab aap mujhe pehle hi saaf-saaf bata denge toh mere liye aasaan rahega."

Sanket - "Haan meri kuch ummedein toh zaroor hain aap logon se."


Sabhi log Sanket ki taraf dekh rahe the.

Sanket kehta hain, "Mujhe Car nahi chahiye. Lekin, ek aisa Chaalak chahiye jo ki mere parivaar ki gaadi aage sahi tarah se le jaa sake. Main maanta hoon ki parivaar ka bhavishya ghar ki auraton ke haaton mein hi hota hain. Bahurani se bas yahi ummeed hain, ki woh ham sabko saath lekar chale. Aur hum sab logon ke saath prem se ghul-mil kar rahe."

Suresh - "Hum apni beti badi ummeed se aapko de rahe hain. Ummeed hain ki, dono Parivaar ke beech sneh hamesha bana rahe."

Sanket - "Bas itna hi chahiye."

Suresh - "Toh kya main yeh rishta pakka samjhun ?"

Sanket - "Ji zaroor Bhaisahab."


Dono parivaar ke beech rishta tay ho jaata hain. Arjun aur Apeksha ki Shaadi ho jaati hain.


Apeksha thoda deri se apne kamre se bahar aati hain. Woh rasode mein jaati aur paati hain ki, Madhvi aur Priya waha par khade kaam kar rahe hain. Apeksha ko dekhte hi, woh dono muskurate hain. Priya kehti hain, "Good Morning Bhabhi."

Apeksha - "Good Morning Priya Didi."

Priya - "Priya Didi nahi. Sirf Priya. Main aapse choti hoon aur aap mujhse badi. Toh mujhe mere naam se bulakar apna baddakpan dikhaiye."

Apeksha - "Thik hain Priya Didi."

Priya - "Aan ?"

Apeksha - "Accha baba, sirf Priya."


Apeksha Madhvi se kehti hain, "Mummy mujhe koi kaam bataiye."

Madhvi - "Abhi sirf aaram karo beta. Filhal kuch din kisi bhi kaam ka naam mat lena."

Apeksha - "Mummy main yahan aap sab logon ke saath mil-julkar rehna chahti hoon. Aap mujhe apni Bahu nahi, balki apni beti samajhkar haq se mujhe kaam bataiye."


Madhvi muskurati hain aur kehti hain, "Thik hain. Filhal yeh naashta apne Sasur ko dete aao." Kehte hue, woh Apeksha ko tray pakda deti hain.


Apeksha Tray lekar Hall mein jaati hain. Woh Sanket ko naashta dekar, kitchen mein wapas aati hain. Phir Priya, Apeksha se kehti hain, "Accha Bhabhi dekhiye na zara Bhaiyaa kya kar rahe hain ?"

Madhvi - "Woh abhi so raha hoga. Use sone do."

Priya - "Nahi. Bhaiyaa ko jagaaiye na Bhabhi. Mujhe aap dono se dher saari baatein karni hain."

Apeksha - "Thik hain Baba. Jaisa tum bolo. Main abhi jaga kar laati hoon, Arjun ko."

Priya - "Bhai vaah. Aap toh Bhaiyaa ko naam se bulati ho ?"

Apeksha sharma jaati hain aur kehti hain, "Mera matlab hain unko."

Madhvi - "Agar tum Arjun ko naam se bulati ho, toh wohi sahi. Hum logon ko is baat se koi dikkat nahi hogi."

Apeksha - "Shukriya Mummy."

Madhvi - "Ismein shukriya kaisa ? Ab jaao aur jaldi se Arjun ko jaga kar laao. Naashta thanda ho raha hain."


Apeksha andar chali jaati hain. Thodi der baad, Arjun aur Apeksha saath mein Hall mein aate hain. Ghar ke baaki sadasya Hall mein baithe hue hote hain. Arjun bhi un logon ke saath baith jaata hain. Phir Sanket kehta hain, "Bhai kis-kiska Naashta hua hain aur koun-koun baaki hain ?"

Priya - "Papa bas aapka Naashta hua aur baaki sab log baaki hain."

Sanket - "Haan toh sabhi ke Naashte lete aao."

Priya - "Thik hain Papa."


Priya rasode mein jaati hain aur Apeksha uske peeche-peeche jaati hain. Dono Naashta tayyar karke le aate hain. Woh dono sabhi ko Naashta dete hain. 


Ghar ke sabhi sadasyon ke haath mein Naashte ka plate hota hain, sivay Apeksha ke. Yeh dekh kar, Sanket Apeksha se kehta hain, "Bahu tumhara plate kaha par hain ?"

Apeksha - "Papa main baad mein Naashta kar lungi."

Sanket Apeksha se kehta hain, "Mere saamne baitho Bahu." Apeksha Sanket ke saamne baith jaati hain. Phir woh Priya se kehta hain, "Priya. Beta zara apni Bhabhi ke liye Naashta laana."


Priya andar jaati hain aur Naashte ka plate tayyar karke aati hain. Phir woh Apeksha ko plate pakda deti hain aur uske bagal mein baith kar apne Naashte ka plate utahti hain. 


Sanket Apeksha se kehta hain, "Hum sab ek parivaar hain Bahu. Hum tumhe yahan Bahu nahi, balki beti ki tarah laaye hain. Toh hamari beti bankar raho."

Apeksha muskurati hain aur kehti hain, "Papa aapko Naashta kaisa laga ?"

Sanket - "Bohut accha laga Bahu."


Sabhi log Naashta karte hue, aapas mein baat-cheet kar rahe the. Tabhi unke ghar mein koi dastak deta hain. 


Jo shaks us ghar mein aata hain, us shaks ka naam Arvind Kumar hain.


Arvind Kumar, Sanket Goyal ke purane dost hain aur peshe se ek vyapaari hain. Arvind Kumar ko dekhte hi, Sanket muskurate hue uske paas jaata hain aur uske gale lag jaata hain. Ghar ke baaki log bhi uska swaagat karte hain.

Phir Sanket Apeksha se kehta hain, "Bahu yeh hamare bohut puraane mitr hain."

Apeksha Arvind Kumar ka pair chuti hain aur woh use aashirwaad deta hain.


Phir Sanket aur Arvind saath baithkar baat-cheet karte hain. Kuch der baad, Arvind waha se chala jaata hain. 


Sanket ne ghar ke sabhi sadasyon ko Hall mein bulaya aur bataya ki Arvind Kumar ne Priya ke liye ek ladka dekha hain. Ghar ke sabhi log behad khush hote hain. Wahi dusri aur Priya thoda sharma jaati hain. 

Sanket - "Ladka Delhi mein rehta hain aur woh ek Company mein ek badi post par naukri karta hain."

Madhvi - "Yeh toh bohut acchi baat hain. Bas ek baar meri beti ke haath peele ho jaaye, toh bhi apni saari zimmedari se mukt ho jaaungi."


Sabhi parivaar ladka dekhne ke liye jaate hain. Ladka dikhne mein toh sunder aur sushil tha. Lekin, woh baat-cheet mein zara pareshan nazar aa raha tha. Us ladke ka bartaav zara sa khatak raha tha. 


Sanket ne ladke se kaha, "Beta hum log khule vichaar ke log hain. Hum jis bhi insaan se judte hain, behad saaf Dil se judte hain. Pata nahi kyun, par mujhe aisa lag raha hain ki shayad aap yeh Shaadi karna nahi chahte ho."

Ladka - "Uncle yeh baat sach hain, ki main Shaadi nahi karna chahta hoon."

Sanket - "Aur agar tum wajah bata sako toh..."

Ladka - "Kai kaarno ke wajah se main bachpan se akela raha hoon. Mujhe logon ke saath ghul-mil kar rehna nahi aata hain. Mera yeh maan na hain ki agar main kisi anjaan ladki se Shaadi karunga, toh main woh rishta nibha nahi paaunga. Meri khaamoshi ki wajah se shayad woh rishta kahi apna dum tod de. Shayad woh ladki ghut-ghut ke jeene ke liye majboor na ho jaaye."

Sanket - "Mujhe tumhari saralta bohut pasand aayi hain. Accha hua jo tumne waqt rehte sach bata diya."


Sabhi log waha se chale aate hain. 


Agli shaam ghar ke sabhi sadasy baithe hue rehte hain. Woh log aapas mein yahan-wahan ki baatein kar rahe hote hain. 


Tabhi unke ghar mein Arvind Kumar aate hain. Unka chehra thoda utra hua tha aur unki nazrein jhuki hui thi.


Sanket unka swaagat karta hain aur kehta hain, "Are Arvind. Tum itne udaas kyun lag rahe ho ?"

Arvind Kumar - "Mujhe maaf kar dena Sanket. Meri wajah se tumhari khaamakha beizzati ho gayi."

Sanket - "Aisi koi bhi baat nahi hain. Tumne toh sabke bhale ke liye yeh rishta laaya tha. Ab ladke ke dimaag mein kya chal raha hain, tum kya jaano ? Aaj kal ke zamane mein bacche kya chahte hain, yeh baat toh unke Maata-Pita tak ko pata nahi chal paata hain. Apne aap ko bilkul bhi kasurvaar mat maano. Bhool kar bhi nahi."

Arvind Kumar - "Shukriya Sanket."

Sanket - "Waise bhi Shaadiyan toh bas kismat ki baat hoti hain. Ab Apeksha ki kismat mein kya likha hain, yeh toh upar wale ko hi pata hain. Jab sahi samay aayega, uski Shaadi zaroor hogi."

Arvind Kumar - "Acche logon ke saath accha hi hota hain."

Madhvi - "Ladka toh accha hi tha. Parivaar bhi swabhaav mein seedhe aur saral hi lag rahe the. Kitna accha hua hota agar woh rishta jud jaata. Hamari beti ka bhaagya hi shayad kharab hain." 

Sanket - "Hamari beti ka bhaagya kharab nahi, balki bohut accha hain. Agar woh shaadi ho jaati, toh un dono mein woh sneh aur vishwaas kabhi ban hi nahi paata; jo ki ek Pati-Patni ke rishte mein hona aavashyak hain. Saath hote hue bhi, woh dono saath nahi rehte. Dheere-Dheere un dono ka rishta kadwaahat se bhar jaata. 

Is baat mein koi do rai nahi hain ki ladka aur uska parivaar bohut suljhe hue log hain. Lekin, khaamoshi dooriyan bana deti hain aur saath hi saath rishte ko khokla bhi kar deti hain. Us ghar mein hamari ladki ghut-ghut kar rehti aur apna haal kisi se bayan bhi nahi kar paati. Accha hi hua, jo yeh rishta nahi bana."


Madhvi - "Pata nahi kab meri beti ke haath peele honge."


Sanket - "Har chiz apne samay se hoti hain. Hamari beti ke bhaagya mein jab Shaadi likhi hogi, tab zaroor hogi."


Madhvi ko Sanket ki baat samajh mein aa jaati hain aur woh santushti ke saath apne kamre mein jaakar baith jaati hain.


              - Ved Vineet Gautam


Comments

Popular posts from this blog

Ehsaas

Ajay apne mata-pita ka eklauta ladka tha. Bachpan mein hi usne apni Maa ko kho diya tha. Mohabbat mein insan ko kitni takleef jhelni padti hain, use kitna tadapna padta hain; yeh sab ka ehsaas use bachpan mein hi ho gaya tha. Apne pita ki peeda dekhkar usne bachpan mein hi nirnay le liya tha ki woh aajeevan kunwara hi rahega. Uski maa ki mrutyu ek car haadse mein hui thi. Apna Graduation karne ke baad use ek company mein Marketing Executive ki naukri lagi. Woh Digital Marketing ka kaam karta tha. Ek baar ki baat hain, jab uski Company ke dwara, use bahar gaon bhej diya gaya tha, Business Tour ke liye.Saari tayaari karne ke baad woh bahar gaon ke liye nikal pada. Uske Company dwara uska kamra ek 3 Star Hotel mein book kar diya gaya tha. Hotel Room mein pohuchkar woh fresh hua aur tayyar hokar woh apne meeting ke liye chal diya. Uska Business Tour kaafi lamba hone wala tha, kyunki, Ajay ko us shahar mein kai companies mein jaakar meetings karni thi.

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra

Saar

  Purshottam Sahay ek company mein naukri karte hain. Woh manager ki post par tainaat hain. Unki ek patni hain. Patni ka naam Poonam Sahay hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti. Bete ka naam Sumit Sahay hain aur beti ka naam Arpita Sahay hain. Dono bhai behen judwa hain.