Skip to main content

Beghar

 Anuj Kumawat peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Rita Kumawat hain.

Anuj aur Rita ka ek ladka hain. Us ladke ka naam Neil Kumawat hain. Neil ka College haal hi mein poora hua hain.

Kumawat Parivaar ke ek padosi hain. Us Parivaar ka naam, Singh Parivaar hain.


Singh Parivaar mein bhi teen log hi rehte hain. Pati, Patni aur ek ladka. Ramesh Singh us ghar ke mukhiya hain. Unki patni ka naam Samiksha Singh hain aur un dono ke bete ka naam, Rahul Singh hain. Neil ki tarah, Rahul ne bhi apna graduation poora kar liya hain. Ramesh bhi khud ka vyavasaay chalate hain. 


Yeh dono parivaar, pichle kai saalon se ek dusre ke padosi hain. Yeh dono parivaar pichle kai saalon se ek saath reh rahe hain. Jeevan ka har sukh-dukh yeh dono parivaar saath mein baant te hain. 


Ek din ki baat hain. Neil aur Rahul, dono ke College mein pareeksha ka parinaam aane wala tha. Yeh dono zara se fikramand the apne parinaam ko lekar. 

Lekin, dono hi parivaar ke badon ko poora yakeen tha, ki yeh dono acche ank ke saath pareeksha mein uttirn karenge. 

Neil aur Rahul dono hi bachpan ke pakke dost bhi the. Yeh dono saath mein College gaye. Wahan jaakar dono ne apna parinaam dekha aur dono hi khushi ke maare jhoom uthe. Dono ne hi, pareeksha mein bade acche ank laaye the aur dono hi uttirn bhi hue.


Yeh khabar dono apne ghar walon ko batane ke liye, betaab the. Dono apna parinaam patr lekar, College se bahar nikale aur ek mithaai ki dukaan mein jaakar sabse pehle ghar walon ke liye, mithaaiyan kharide. Uske baad, dono ghar jaakar sabhi ko yeh khushi-khabri sunaye. Itni acchi khabar jaan kar, dono parivaar ka seena khushi se chauda ho gaya.

Ghar ke badon ko apne dono baccho par garv mehsus ho raha tha.


Anuj ne apni jeb tatoli aur usmein se kuch paise nikaale. Phir usne paise un dono ladkon ko pakda diya aur kaha, "Aaj tum dono ladkon ka din hain. Tum do aaj bahar jaao aur khoob mauj karo."

Dono ladke khushi-khushi paise lekar, saath mein bahar ghumne ke liye nikal padte hain. Kuch dur tak paidal chalne ke baad, Rahul kehta hain, "Bhai Neil. Hum dono bahar toh aa gaye hain. Lekin, hum dono ghumne jaayenge kaha par ?"

Neil - "Yeh baat toh main bhi soch raha hoon. Waise bhi is shehar mein aisi koi jagah nahi bachi hain, jahan hum dono gaye na ho. Har jagah hum log ghum daale hain aur woh bhi kai baar."

Rahul - "Toh ab hum kya kare ?"

Neil kuch der sochta hain aur phir kehta hain, "Kyun na hum dono saath mein koi Movie dekhne ke liye chale jaaye ? Mauj Ki Mauj bhi ho jaayegi aur waqt bhi acche se kat jaayega."

Rahul - "Yeh bohut hi accha idea hain tumhara."

Dono saath mein Bus Stop ke liye nikal padte hain. Kuch der baad, dono Bus Stop par pohuch jaate hain aur Bus ka intezaar kar rahe hote hain. 


Bus ke aane mein thoda waqt tha. Tabhi Rahul kehta hain, "Bhai Neil bus ko aane mein abhi toh waqt hain."

Neil - "Haan woh toh hain. Dekhte hain, kahi hamare pohuchte-pohuchte Movie na chuth jaaye."

Dono hans padte hain.

Rahul - "Accha yeh batao, tumne aage ka kya socha hain ?"

Neil - "Kahi koi naukri dekhunga."

Rahul - "Kya tum Uncle ke vyapaar mein unka haath nahi badhaoge ?"

Neil - "Haan. Vyapaar toh zaroor karna hain, par usse pehle kuch waqt ke liye naukri karunga. Naukri karke kaam ka accha anubhav le lunga. Taaki Vyapaar acche se sambhal sakun."

Rahul - "Haan yeh rann-neeti bhi sahi hain."

Neil - "Aur tum apna batao. Tumne aage ke baare mein kya socha hain ?"

Rahul - "Main toh Papa ka vyapaar chalane ke liye bohut betaab hoon."

Dono hans padte hain.

 


Usi samay, Bus aa jaati hain. Dono saath mein Bus mein baith jaate hain aur ek dusre se baat-cheet karte-karte apna samay beetate hain. Kuch samay baad, Bus Cinema Hall ke bahar ruk jaati hain. Dono Bus se neeche utar te hain.


Neil - "Baatein karte-karte kab Cinema Hall aa gaya, pata hi nahi chala."


Rahul - "Haan."


Phir dono Picture ka ticket nikalwate hain aur saath mein Cinema Hall ke andar jaate hain. Movie shuru hoti hain aur kuch der baad, interval hota hain. 


Rahul - "Toh aage kya socha hain ?"


Neil - "Matlab ?"


Rahul - "Are Bhai kuch pet pooja kiya jaaye ki nahi ?"


Neil - "Haan Zaroor. Kyun nahi."


Rahul - "Toh chale phir ?"


Neil - "Haan chalo."


Dono saath mein Canteen mein jaate hain. Neil Rahul se poochta hain, "Kya loge tum ?"

Rahul - "Cold Drink aur Popcorn. Aur tum ?"

Neil - "Main toh bhai Samosa lunga."

Rahul - "Toh le aao tum phir."

Neil - "Thik hain."

Neil line mein lag jaata hain aur Rahul ek kinare khada rehta hain. Jab Neil ka number aata hain toh woh waiter ko paise dekar, Cold Drink, Popcorn aur Samose le leta hain. 

Woh palat kar Rahul ki tarah badh raha hota hain. Usi samay, Neil ki nazar ek ladki par padti hain. Us ladki ko dekh kar woh wahi par ruk jaata aur uske haathon se khaana chuth jaata hain. Jitna hairaan us ladki ko dekh kar, Neil tha; utni hi hairaan Neil ko dekh kar woh ladki thi.

Phir us ladki ke chehre ka bhaav badalta hain aur woh dukhi nazar aati hain. Uske baad, woh ladki wahan se chali jaati hain. Neil bhi ab dukhi nazar aa raha tha.


Yeh sab dekh kar Rahul kuch samajh nahi paata hain. Woh Neil ke paas aata hain aur uske kandhe par apna haath rakhta hain. Neil shayad yeh baat bhool chuka tha, ki woh Rahul ke saath aaya hain. Rahul ko dekhte hi, Neil apne chehre ka bhaav badalne ki koshish karta hain. Phir Rahul poochta hain, "Itne ude-ude hue kyun ho ?" 


Neil - "Nahi. Kuch bhi nahi. Chalo Movie dekhte hain."


Dono saath mein Cinema Hall ke andar jaate hain aur baaki ki movie dekhte hain. Uske baad, dono saath mein ghar laut aate hain.


Dono ladkon ke ghar pohuchte hi, pata chalta hain; ki aaj raat dono parivaar saath mein khana khaayenge. Raat ke khaane ka programme, Rahul ke ghar mein tay hua tha.


Dono Parivaar saath mein baith kar khaana kha rahe the. Tab Anuj kehta hain, "Bhai hamare dono ladke bade kamaal ke hain. Pareeksha mein uttirn hue aur aane wale is naye jeevan mein bhi zaroor uttirn honge."


Ramesh - "Beshak. Is baat mein koi do rai nahi hain."


Anuj - "Aage chalkar dono bacche koi na koi kaam karenge. Naukri karna hain ya hamare vyapaar mein hamara haath bataana hain, yeh toh in dono par nirbhar karta hain. Lekin, jo sabse mahattavpurn baat is samay hain, woh yeh hain ki in dono ki Shaadi ka samay aa chuka hain."


Rita - "Haan Zaroor. Main toh kabse apni dono Bahuon ke darshan ke liye betaab hoon."


Neil - "Lekin Papa. Abhi itni jaldi kya hain Shaadi ki ?"



Anuj - "Yahi sahi samay hain beta."


Ramesh - "Neil tum jab chaho ladki se mil sakte ho."


Neil - "Main samjha nahi Uncle."


 Samiksha - "Humne tumhare liye ek ladki pasand ki hain. Woh ladki Rahul ke Mama ke dost ki beti hain."


Neil - "Lekin main abhi Shaadi ke liye tayaar nahi hoon. Aap Rahul ki Shaadi pehle kyun nahi kara dete hain ?"


Rita - "Unhi ki dusri beti ko Rahul ke liye pasand kiya gaya hain."


Yeh sab sunkar, Rahul toh bohut khush nazar aa raha tha. Lekin, Neil nahi. Uske chehra utra hua tha. Neil ke chehre ka aisa bhaav dekh kar sab hairaan the. Waha par maujood logon mein se koi bhi samajh nahi paa raha tha, ki woh aage kya kahe. Neil zara ghabraya hua bhi dikhayi de raha tha. 


Sabhi log samajh chuke the, ki Neil shaadi nahi karna chahta hain. Lekin, Neil samajh nahi paa raha tha, ki manaa kare toh kaise kare.


Tabhi Anuj kehta hain, "Neil tum Shaadi kyun nahi karna chahte ho ?"


Usi samay achaanak se, Rahul ko Cinema Hall wala vaakya yaad aata hain aur woh zara tanj kaste hue kehta hain, "Ya phir tum Shaadi hi nahi karna chahte ho." 


Neil - "Mera yeh maan na hain ki Shaadi karne ke liye, do log ko ek dusre ko acche se jaan na zaroori hain."


Rahul - "Jaise ki Cinema Hall wali."


Anuj - "Yeh tum kis baare mein baat kar rahe ho ?"


Rahul Cinema Hall ka poora vaakya un logon ko sunata hain. Ab sabki nazar Neil ki taraf thi aur har kisi ki aankhon mein sawaalon ka samundar dikh raha tha. 


 Neil batata hain ki, us ladki se uski mulaakaat Coaching Classes mein hui thi aur usi samay dono ko ek dusre se mohabbat ho gayi thi. Lekin, ek din ladki ke pita ne un dono ko Classes ke bahar saath dekh liya tha aur phir uska Coaching Classes mein aana band ho gaya. 


Sabhi log gambhirta se is baare mein sochte hain aur Neil se ek hi baat kehte hain, ki yeh faisla ladki ka parivaar hi lega. 


Neil ladki ke ghar jaata hain baat karne ke liye. Lekin, woh log is rishte ke liye raazi nahi hote hain. Saath Hi Saath, Neil ko yeh bhi pata chalta hain ki us ladki ki Shaadi tay kar di gayi hain.


Ghar walon ke laakh manane ke bawjood, Neil us rishte ke liye tayyar nahi hota hain, jo ladki ghar walon ne Neil ke liye dekhi thi.


Agle din, ladki wale un dono ladkon ko dekhne ke liye aane wale the aur Neil is baat se anjaan tha. Neil ne apni khoyi hui mohabbat ka ghum bhoolane ke liye Sharab ka sahara liya aur woh nashe ki haalat mein ghar pohuncha; is baat se anjaan ki dono hi ladki wale ghar mein maujood hain. 


Neil ko nashe mein dhuth dekh sab log hairaan the aur dono ladki wale bahana banakar wahan se nikal liye. Ek hisaab se, na sirf Neil ki balki Rahul ki bhi Shaadi tay hote-hote reh gayi.


Is wajah se Ramesh aur Sameeksha ki apne rishtedaron ke beech badi beizzati hui aur Neil ke saath-saath; Rahul ka rishta jo toota woh alag. 


Agle din, Neil hosh mein aata hain. Woh apne kamre se bahar aata hain, toh dekhta hain, ki dono parivaar ke sabhi log wahan par baithe hue hain. Sabhi logon ki aankhon mein aakrosh bhara hua tha. 


Is waqt, woh log Neil ko samjhaana hi munaasib samajhte hain. Jab sabhi milkar Neil ko samjhaane ki koshish kar rahe the, tab Neil ne saaf-saaf keh diya ki woh is baare mein kisi se koi bhi baat-cheet nahi karna chahta hain.


Dono hi parivaar ka har ek sadasya Neil se naaraz tha aur unki naarazgi ki wajah utni yeh nahi thi ki dono ladkon ki Shaadiyan tay hote-hote reh gayi, balki woh log Neil se is baat se zyada khafa the, ki uski zindagi mein ek ladki thi aur is baare mein usne ghar mein kisi se bhi nahi bataya. 


Yeh dono ladke kabhi bhi ghar walon se koi bhi parda nahi rakhe. Dono parivaar ke beech rishta aaine ki tarah saaf tha. Ek baat bhi aisi nahi thi jo dono parivaaron ko ek dusre ke baare mein pata na ho. Aise mein Neil ne ghar walon se apne baare mein itni badi baat chupaayi. Yeh baat har kisi ko khal rahi thi.


Har kisi ne Neil se bohut duriyaan bana li thi. Neil apne hi ghar mein ek ajnabee ban kar reh gaya tha. 

Anuj ne Neil se kaha, ki woh apne liye koi naukri talaash kare. Neil ne socha ki uske naukri par lag jaane ke baad, shayad sab kuch thik ho jaayega. Kai dino ki khoj ke baad, aakhir kaar Neil naukri paane mein kaamyab ho gaya. Yeh baat pata chalte hi, Anuj ne Neil se kaha, "Ab tum bade ho gaye ho. Tum apna khayal rakhne ke kaabil ban chuke ho. Toh ab tumhari zindagi mein hum logon ki koi zaroorat nahi hain."


Yeh baat sunkar, sabhi log dang reh gaye aur har kisi ke aankhon se aansun nikal aaye. Aage Anuj ne kaha, "Maine tumhare liye ek ghar dekha hain. Ummeed karta hoon, tumhe woh pasand aayega."


Agle hi din, Neil na chahte hue bhi us ghar mein jaakar rehne laga. Woh beech-beech mein ghar walon se jaakar milte rehta hain. Lekin, sabhi logon ka uske saath rishta pehle jaisa nahi raha.


                  - Ved Vineet Gautam


Comments

Popular posts from this blog

Ehsaas

Ajay apne mata-pita ka eklauta ladka tha. Bachpan mein hi usne apni Maa ko kho diya tha. Mohabbat mein insan ko kitni takleef jhelni padti hain, use kitna tadapna padta hain; yeh sab ka ehsaas use bachpan mein hi ho gaya tha. Apne pita ki peeda dekhkar usne bachpan mein hi nirnay le liya tha ki woh aajeevan kunwara hi rahega. Uski maa ki mrutyu ek car haadse mein hui thi. Apna Graduation karne ke baad use ek company mein Marketing Executive ki naukri lagi. Woh Digital Marketing ka kaam karta tha. Ek baar ki baat hain, jab uski Company ke dwara, use bahar gaon bhej diya gaya tha, Business Tour ke liye.Saari tayaari karne ke baad woh bahar gaon ke liye nikal pada. Uske Company dwara uska kamra ek 3 Star Hotel mein book kar diya gaya tha. Hotel Room mein pohuchkar woh fresh hua aur tayyar hokar woh apne meeting ke liye chal diya. Uska Business Tour kaafi lamba hone wala tha, kyunki, Ajay ko us shahar mein kai companies mein jaakar meetings karni thi.

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra

Saar

  Purshottam Sahay ek company mein naukri karte hain. Woh manager ki post par tainaat hain. Unki ek patni hain. Patni ka naam Poonam Sahay hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti. Bete ka naam Sumit Sahay hain aur beti ka naam Arpita Sahay hain. Dono bhai behen judwa hain.