Skip to main content

Prasang

 Ankush Mehta ek private company mein naukri karte hain. Woh peshe se ek accountant hain. Unki patni ka naam, Pooja Mehta hain.


Ankush aur Pooja ke do bacche hain. Ek ladka aur ek ladki. Ladke ka naam Rajeev Mehta hain aur ladki ka naam Rohini Mehta hain.

Rajeev bhi ek private company mein naukri karta hain aur Rohini filhal College mein padhayi kar rahi hain.


Ankush aur Rajeev aksar saath mein office ke liye nikalte hain aur bus stop tak saath mein jaate hain. 

Ankush ki bus jaane ke dus minute ke baad Rajeev ki Bus aati hain. 

Dono ki company alag-alag jagah par hain. Rohini dopahar mein College se ghar laut aati hain aur Ankush aur Rajeev shaam mein kaam se ghar aate hain. 


Shaam mein poora parivaar saath mein Hall mein baithkar baatein karte aur raat mein ek saath khaana kha kar so jaate. 


Ek shaam ki baat hain. Sabhi log saath baithkar baat-cheet kar rahe the. Tabhi achaanak se Rajeev khada hota hain. Rajeev ko khada dekh kar Ankush kehta hain, "Kya hua beta ?"

Rajeev - "Main thodi der mein bahar se aa raha hoon Papa."

Ankush - "Kaha jaa rahe ho ?"

Rajeev - "Bas ek dost se milkar aana tha mujhe."

Ankush - "Kya tum us dost se kal nahi mil sakte ho ?"

Rajeev - "Mil sakta hoon."

Ankush - "Toh bas, kal jaakar mil lena us dost se."

Rajeev - "Kya koi khaas kaam se aap mujhe rok rahe ho Papa ?"

Ankush - "Haan."

Rajeev - "Kya kaam hain ?"

Ankush - "Woh tumhe thodi der mein pata chal jaayega."


Rajeev sofa par dobara baith jaata hain. Phir woh sab log yahan-wahan ki baatein karna shuru kar dete hain.


Thodi der baad, ghar ke darwaze ki ghanti bajti hain. Rajeev khada hota hain, toh Ankush khada hokar kehta hain, "Main dekh aata hoon."


Phir woh darwaaze par jaakar darwaaza kholta hain. Darwaaze par Rakesh Kumar khade the. Ankush ne badi hi garmjoshi ke saath unka swaagat kiya aur woh log andar aaye. Ghar ke baaki logon ne bhi unka bohut khule mann se swaagat kiya.


Lekin, Rakesh Kumar unke ghar mein akele nahi aaye the. Unke saath ek naye mehmaan aaye the, jinhe ghar ka koi bhi sadasya nahi jaanta tha.

 

Rakesh Kumar ne unka parichay Anand Kumar diya. Rakesh Kumar ne bataya ki Anand Kumar unke bade bhai hain. Hall mein sabhi log saath mein baithe aur sabhi ek dusre se yahan-wahan ki baatein kar rahe the. 

Tabhi Rakesh Kumar ne Rajeev ki aur ishaara karte hue, Anand Kumar se kaha; "Yahi hain woh ladka."

Anand Kumar ne Rajeev se yahan-wahan ki baatein ki. Phir tabhi Anand Kumar apni jeb mein haath daala aur apna haath bahar nikala ek tasveer ke saath. Phir Anand Kumar ne Ankush ko tasveer pakdaayi. Ankush ne tasveer dekhi aur woh muskuraya.

Phir Anand Kumar ne Ankush se kaha, "Aap ladki dekhna kab pasand karenge ?"

Ankush ne kaha, "Jab aap chahe."

Rajeev ko ab sab samajh mein aa raha tha. 

Phir Ankush ne Rajeev ki aur tasveer badhaate hue kaha, "Zara dekh kar batao beta. Ladki kaisi lag rahi hain tumhe ?"

Rajeev ne kaha, "Papa yeh sab kya ho raha hain ?"

Ankush - "Beta tumhare rishte ki baat chal rahi hain."

Rajeev - "Papa aapne mujhse is baare mein baat hi nahi ki. Pehle aapko mujhse akele mein baat karni chahiye thi."

Ankush - "Beta yeh tumhare Rakesh Uncle hain. Bachpan se tum unhe jaante ho. Aur yeh Anand Kumar Ji tumhare apne Rakesh Uncle ke bade bhai hain, unhi ki beti ke saath tumhare bhavishya ke liye baat-cheet ho rahi hain."

Rajeev - "Haan Papa lekin, aap ek baar mujhse baat toh kar lete ? Kam Se Kam aap jaan toh lete ki main kya chahta hoon."

Ankush ko shaq hua ki shayad Rajeev kisi dusri ladki ko pasand karta hain aur usne Rajeev se badi gambhirta se poocha, "Tum chahte kya ho beta ?"

Rajeev - "Mujhe ek ladki pasand hain. Uncle aap Rakesh Uncle ke bade bhai hain, lekin, is baare mein Rakesh Uncle ko nahi pata tha. Ghar mein bhi is baare mein kisi ko nahi pata tha. Main pehle se hi ek ladki ko pasand karta hoon. Ho sake toh, mujhe maaf kar dijiyega Uncle."


Anand Kumar aur Rakesh Kumar dono uth kar jaane lagte hain. Tabhi Ankush un dono ke paas jaata hain aur apne dono haath jodte hue un dono se kehta hain, "Main aap dono se maafi maangta hoon. Agar ho sake, toh mujhe maaf kar dijiyega."

Anand Kumar - "Koi baat nahi Mehta Sahab. Main samajh sakta hoon."

Phir woh dono chale jaate hain. Ankush Rajeev ko bohut dukh aur niraashaa bhari nazron se dekhte hain aur Rajeev se bina kuch kahe, apne kamre mein chale jaate hain.


Agle din, subah Rajeev tayyar hokar Hall mein Ankush ka intezaar kar raha tha, hamesha ki tarah saath jaane ke liye. Lekin, Ankush apne kamre se bahar nahi nikla. Rajeev samajh gaya tha ki Ankush usse naaraz hain. Rajeev ne intezaar karna hi sahi samjha. Kuch der aur beeta, lekin Ankush ke kamre ka darwaaza khulne tak ki aawaz nahi aayi. 

Ab Rajeev se raha nahi gaya aur woh Ankush ke kamre mein chala gaya. 

Rajeev ne dekha ki Ankush ab bhi bistar par leta hua hain aur woh jaag raha hain. Rajeev Ankush ke paas gaya aur kaha, "Papa kya aaj aapko daftar nahi jaana hain kya ?"

Ankush - "Mera mann nahi hain aaj kaam par jaane ka. Aaj tum akele chale jaao." 

Phir Ankush dusri aur karwat kar liya. Rajeev ne us samay aage kuch na kehna hi sahi samjha aur woh apne daftar ke liye nikal gaya. 


Shaam mein Rajeev ghar lauta aur paaya ki ghar ke sabhi sadasya Hall mein baithe hue hain. Aur woh sab log udaas nazar aa rahe the. 


Rajeev chup-chap apne kamre ki aur jaa raha tha. Tabhi Ankush ne use aawaz lagayi. Rajeev Ankush ki aur dekha. Phir Ankush ne kaha, "Baitho mujhe tumse kuch baat karni hain."


Rajeev sabke saamne baith gaya. Phir Ankush ne kaha, "Tum jis ladki ko bhi pasand karte ho, hum log usse milna chahenge. Agar uske parivaar ki bhi marzi ho, toh jab tum chaho; hum tumhari shaadi kara denge."

Rajeev - "Kal ke liye mujhe maaf kar dijiyega Papa."

Ankush - "Koi baat nahi. Galti meri hi thi. Maine hi yeh kabhi jaanne ki koshish nahi ki, ki tumhe koi ladki pasand hain ya nahi. Khair, jo ho gaya woh ho gaya. Tum ladki ke parivaar se hamari mulakaat karwaa do."

Rajeev - "Thik hain Papa."


Kuch dino baad, dono parivaar ki mulakaat hui. Ankush ke ghar mein sab saath baithe hue the aur saari baatein karke dono parivaar ke beech rishta tay ho gaya. Jis ladki ko Rajeev pasand karta tha, us ladki ka naam Priyanka tha. 


Kuch dino baad, Rajeev aur Priyanka ki shaadi ho gayi. Lekin, Rakesh Kumar us shaadi mein nahi aaye. Haalanki, unhe shaadi ke liye unke ghar jaakar nyota diya gaya tha aur un logon ko andaaza bhi lag chuka tha ki Rakesh Kumar us shaadi mein aayenge nahi. Kyunki, woh ab bhi naaraz the. 


Khair Shaadi badi dhoom-dhaam se hui aur pehle din se hi Priyanka ghar ke kaam mein Pooja ka haath batana bhi shuru kar di thi. Lekin, Pooja Priyanka se khul kar baat-cheet nahi karti thi. Ek Rajeev ke alaawa, ghar ka koi bhi sadasya, Priyanka ke saath khul kar baat-cheet nahi karta tha. 

Haalanki, Priyanka apni taraf se poori koshish kar rahi thi un logon ke saath ghul-mil kar rehne ki. Lekin uske sabhi prayaas vifal hote jaa rahe the.  


Ek din ki baat hain. Holi ka tyohaar tha aur poora shehar Holi ke rang mein ranga hua tha. Pooja rasode mein ghar walon ke liye, mithai bana rahi thi. Priyanka Pooja ke paas aayi aur kahi, "Mummy aapko Holi mubaarak."

Pooja - "Tumhe bhi beta."

Priyanka - "Kya kar rahi ho aap Mummy ?"

Pooja - "Kuch nahi. Bas mithai bana rahi thi."


Tabhi Priyanka bhi kuch bartan nikaalna shuru kar deti hain. Toh Pooja kehti hain, "Aaj tyohaar ka din hain. Aaj ke din tum kaam mat karo."

Priyanka - "Aaj hi ke din toh kaam zyada badhega na Mummy. Aap akele kya-kya karogi ? Main bhi aapka haath bataaungi."

Pooja - "Nahi beta rehne do. Accha jaao zara jaakar yeh toh dekh lo, ki Rohini kya kar rahi hain ?"

Priyanka - "Thik hain."


Priyanka waha se chali jaati hain. Jab se Priyanka ghar mein aayi hain, tabse ghar wale usse ghul-mil kar nahi reh rahe the aur aaj tyohaar ke din bhi, Pooja ka itna kataa hua bartaav dekh kar; Priyanka ko khatak gaya. Woh seedha apne kamre mein gayi aur Rajeev se is baare mein baat-cheet ki. Rajeev ne Priyanka ko poora vaakya bataya. 


Yeh saari baatein jaankar, Priyanka soch mein pad gayi. Shaam ka samay tha poora parivaar ek saath Hall mein baitha hua tha. 


Tabhi Priyanka Hall mein aayi aur uske haath mein kapdon ka bag tha. Priyanka ko is tarah dekh kar, ghar ke sabhi sadasy hairaan reh gaye. Tabhi Ankush ne kaha, "Yeh kya beti. Kya tum kahi jaa rahi ho ?"

Priyanka - "Haan Papa."

Ankush - "Kaha jaa rahi ho ?"

Priyanka - "Apne ghar rahi hoon main Papa."

Ankush - "Thik hain. Kab tak tum wapas aaogi beta ?"

Priyanka - "Ab main wapas nahi aaungi Papa."


Yeh sunkar ghar ke sabhi log chaunk jaate hain. Phir Ankush badi hairaani se poochta hain, "Humse koi galati ho gayi hain kya beta ?"

Priyanka - "Papa main jabse is ghar mein aayi hoon, tabse ek din aisa bata dijiye ki aap logon ne mujhse kabhi khul kar baat ki ho. Jab aap log mere saath ghul-mil kar nahi reh sakte. Jab aap log mujhe apna nahi sakte ho, toh mera is ghar mein rehne ka matalab hi kya hain ? Kya main akele ghut-ghut kar marr nahi jaaungi ? Tab toh duniya yahi kahegi, ki Sasural walon ne Bahu ko khatam kar diya. Aur main aisa kabhi nahi chahungi Papa.

Main agar aap logon se alag ho rahi hoon, toh main Rajeev ka bhi saath chod rahi hoon. Main yeh bhi nahi chahti hoon ki duniya yeh kahe, ki is ladki ne ek hasnte-muskurate hue ghar ko tod diya hain. Toh main yeh ghar chodkar chali jaaun, isi mein hi sabki bhalaayi hain."


Pooja - "Lekin beta. Rajeev ko toh tumne khud hi pasand kiya hain na ? Aur ab tum use chodkar chale jaane ki baatein kar rahi ho ? Samaaj ko kya jawaab dogi beta ?"


Priyanka - "Haan. Yeh sach hain ki hum dono ne ek dusre ko pasand kiya hain. Lekin, mummy sirf pyaar se hi toh zindagi nahi chalti hain na ? Parivaar ka saath bhi zaroori hota hain. Ghar-Sansaar bhi toh dekhna padta hain na. Samaaj ka kya hain, laalchan lagana toh samaaj ki fitrat hain."


Tabhi Rajeev Hall mein aata hain aur Priyanka, Rajeev ko dekh kar kehti hain; "Rajeev shayad tumse Shaadi karna meri zindagi ki sabse badi bhool thi. Main yeh ghar chod kar jaa rahi hoon aur main apne ghar walon se is baare mein baat karungi. Main jald se jald tumse talaak lena chahti hoon."


 Yeh sunkar har koi hairaan reh jaata hain. Tabhi Ankush apni kursi se uth ta hain aur woh Priyanka ke pass jaata hain. Phir woh Priyanka ke haath se kapdon ka bag le leta hain aur woh kehta hain, "Mujhe maaf kar dena beti. Us vaakye ke wajah se meri barson purani dosti mein daraar aa chuki thi. Apni is tooti hui dosti ka dukh gher chuka tha mujhe aur main, is dukh mein doob chuka tha beta. Kahi Na Kahi, main Rajeev ko iska zimmedar maanne lag gaya tha. Yahi sab ke chalte, main ghar ka mukhiya hone ka farz tak bhool chuka tha.

 

Aur sabse mahattavpurn baat jo hum sab bhool chuke the, ki tum is ghar mein Bahu bankar aayi ho aur tum bhi is ghar ki hi sadasya ho. Aaj se hum sab apni is galati ko sudhaarenge."


Ghar ke baaki logon ko bhi apni galati ka ehsaas ho jaata hain aur tabhi hi, Rohini Priyanka ke pass aati hain aur use gale se laga leti hain.


                 - Ved Vineet Gautam


Comments

Popular posts from this blog

Ehsaas

Ajay apne mata-pita ka eklauta ladka tha. Bachpan mein hi usne apni Maa ko kho diya tha. Mohabbat mein insan ko kitni takleef jhelni padti hain, use kitna tadapna padta hain; yeh sab ka ehsaas use bachpan mein hi ho gaya tha. Apne pita ki peeda dekhkar usne bachpan mein hi nirnay le liya tha ki woh aajeevan kunwara hi rahega. Uski maa ki mrutyu ek car haadse mein hui thi. Apna Graduation karne ke baad use ek company mein Marketing Executive ki naukri lagi. Woh Digital Marketing ka kaam karta tha. Ek baar ki baat hain, jab uski Company ke dwara, use bahar gaon bhej diya gaya tha, Business Tour ke liye.Saari tayaari karne ke baad woh bahar gaon ke liye nikal pada. Uske Company dwara uska kamra ek 3 Star Hotel mein book kar diya gaya tha. Hotel Room mein pohuchkar woh fresh hua aur tayyar hokar woh apne meeting ke liye chal diya. Uska Business Tour kaafi lamba hone wala tha, kyunki, Ajay ko us shahar mein kai companies mein jaakar meetings karni thi.

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra

Saar

  Purshottam Sahay ek company mein naukri karte hain. Woh manager ki post par tainaat hain. Unki ek patni hain. Patni ka naam Poonam Sahay hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti. Bete ka naam Sumit Sahay hain aur beti ka naam Arpita Sahay hain. Dono bhai behen judwa hain.