Skip to main content

Vishwas

 Sunil Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki ek tel ki factory hain. Unki Patni ka naam, Namrata Kumar hain. Sunil aur Namrata ka ek ladka hain. Us ladke ka naam, Yash Kumar hain. Yash ek naujawan ladka hain. Woh Sunil aur Namrata ki aankhon ka taara hain. Sunil aur Namrata, Yash ka bohut pyaar se laalan-paalan kiye hain. Un dono ne, Yash ki har khwahish poori ki hain.


 Woh apne pita ke saath unke vyapaar mein unka haath bantata hain. Yeh chota sa parivaar behad sukh aur shaanti se apna jeevan vyatit karta hain. 


Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha. Sunil aur Yash factory se ghar aa rahe the. Tabhi achaanak se barsaat shuru ho gayi. Haalanki, dono Car se yeh safar tay rahe the. Car Yash chala raha tha. Woh behad dheemi raftaar se Car chala raha tha. Dono aapas mein baat-cheet karte hue dheere-dheere, ghar ki aur badh rahe the. 


Yash - "Papa aaj factory mein tel ka production kam hua hain."

Sunil - "Haan beta. Aaj production kam toh hua hain."


Yash - "Mujhe lagta hain, ki hume apne machines ki greecing karwa leni chahiye."

Sunil - "Thik hain beta. Woh kaam tum dekh lo. Lekin, kisi se bhi yeh kaam karwane se pehle yeh zaroor jaan lena, ki woh shuruaat se aakhir tak ke kaam ke liye kitne paise lega."

Yash - "Zaroor Papa."

Sunil - "Waise aaj dopahar mein, Vinod ka call aaya tha."

Yash - "Vinod Chacha ?"

Sunil - "Haan."

Yash - "Kaise hain woh log ?"

Sunil - "Wahan par sabhi log thik hain. Vinod bata rahe the, ki Arjun ki Shaadi tay ho chuki hain."

Yash - "Bhai Vaah. Yeh toh bohut khushi ki baat hain. Koun karwa raha hain yeh Shaadi ?"

Sunil - "Woh Arjun ke Mama ne ek ladki dekhi hain. Vinod bata rahe the, ki ladki behad sundar aur lambi-tambi hain."

Yash - "Chalo yeh toh bohut accha hua. Bahu aa jaayegi toh Chachi ko bhi thoda aaram mil jaayega."

Sunil - "Hmm."

Dono chup ho jaate hain. Gaadi ab bhi dheemi raftaar mein hi chal rahi thi.  Tabhi Sunil kehta hain, "Waise Vinod ek aur baat keh raha tha."

Yash - "Kya ?"

Sunil - "Jis ladki se Arjun ki Shaadi ho rahi hain, us ladki ke parivaar mein uske maata-pita ke alaawa aur do bacche hain. Ek ladki aur ek ladki. Aur woh dono Bhai behan Vinod ki Bahu se chote hain."

Yash - "Accha."

Sunil - "Ladki ke pita soch rahe hain ki, woh ek hi mandap mein apni dono ladkiyon ki Shaadiyan karaye."

Yash - "Toh us ladki ke liye bhi woh koi ladka dekh rahe honge ?"

Sunil - "Darasal Vinod ne tumhare baare mein baat ki thi ladki walon se."

Yash chup ho jaata hain.


Sunil - "Koi jawaab toh do beta."

Yash - "Papa ab main kya keh sakta hoon."

Sunil - "Agar tumhe koi ladki pasand ho toh bata do."

Yash - "Aisi koi baat nahi hain Papa."

Sunil - "Toh ladki walon ko ghar mein milne ke liye bula loon ?"

Yash - "Woh toh aap jaano."

Sunil - "Matlab agar tumhe koi ladki pasand ho, toh tum khul kar bata do. Toh main unhe mana kar dunga."

Yash - "Aap jab chahe tab aap un logon ko mulaakaat ke liye bula lijiye Papa. Agar ladki aapko aur Mummy ko pasand aa jaayegi, toh main bhi Shaadi ke liye raazi ho jaaunga."

Sunil - "Thik hain beta."


Dono khaamosh ho jaate hain. Kuch der baad, dono ghar pohuch jaate hain. Ghar pohuch kar, dono haath-muh dhote hain aur kapde badalkar, Hall mein aakar baith jaate hain. 

Kuch der baad, Namrata Hall mein aati hain aur kehti hain, "Kya main aap dono ke liye, khaana laga doon ?"

Sunil - "Haan lete aao. Waise kya bana hain aaj khaane mein ?"

Namrata - "Palak ki sabzi bani hain."

Sunil - "Bhai Vaah. Yeh toh Yash ke pasand ki sabzi hain."

Yash muskurata hain.


Sunil - "Waise aaj ka din Yash ka hi hain."

Namrata - "Woh kaise ?"

Sunil - "Hamare ladke ke liye ek rishta aaya hain."

Namrata - "Are Vaah. Yeh toh bohut hi acchi khabar sunayi hain aapne. Ladki kaha ki hain ?"

Sunil - "Woh Noida ki hain."

Namrata - "Aur rishta koun laaya hain ?"

Sunil - "Vinod ne. Waise ek aur khush-khabri hain. Arjun ki Shaadi tay ho gayi hain."

Namrata - "Main zaroor jaaungi Arjun ki Shaadi mein."

Sunil - "Haan zaroor jaana. Lekin, pehle aage ki baat toh sunn lo."

Namrata - "Haan kahiye na."

Sunil - "Jis ladki se Arjun ki Shaadi ho rahi hain. Ladki ke pita uski choti behan ke liye, Yash ke baare mein soch rahe hain."

Namrata - "Yeh toh bohut khushi ki baat hain. Toh kab milna hain un logon se ?"

Sunil - "Main kal shaam mein Vinod se baat karunga, toh kal pata chal jaayega ki kab mulaakaat hogi. Lekin, jald hi mulaakaat hogi."

Namrata - "Bas ek baar jaldi se Bahu ghar aa jaaye, phir main bhi nischint ho jaaungi."


Uske baad woh teeno saath mein baith kar khaana khaate hain aur apne-apne kamre mein jaakar so jaate hain.



Agle din, dono baap-bete factory jaate hain aur shaam mein ghar laut aate hain. Shaam mein Sunil Namrata aur Yash ko batata hain ki, agle hafte ladki ke ghar jaana hain milne ke liye. Woh log apni taraf se tayyari karte hain aur dekhte-dekhte poora hafta nikal jaata hain. 

 Uske baad, woh parivaar ladki walon ke ghar jaata hain. Ladki ka parivaar un logon ko bohut bhaata hain aur rishta turant tay ho jaata hain. 


Jis ladki se Yash ki Shaadi tay hui thi, us ladki ka naam Anjali tha. Shaadi ki taarekh saat mahine baad ki nikli. Teeno parivaar Shaadi ki tayyariyon mein lag gaye. Dekhte Hi Dekhte yeh saat mahine kab guzar gaye pata bhi nahi chala. Anjali ke pita ke iccha anusar, ek hi mandap mein dono behano ki Shaadi ho gayi. 

Sunil aur Namrata bohut khushi-khushi nayi Bahu ko ghar le aaye. Sunil ka Parivaar ab poora ho chuka tha. Ek nayi khushi is Parivaar ki zindagi mein dastak de chuki thi. 


Kuch hi dino mein, Anjali ghar mein sabhi ke saath ghul-mil gayi thi. Ghar ke sabhi sadasya shaam mein saath mein baithkar, aapas mein dher saari baatein karte. Sab kuch badhiya chal raha tha. 


Ek din ki baat hain. Anjali ghar ka saaman sariyaa rahi thi. Saaman yahan-wahan karte-karte, Anjali ka haath ek Cupboard se takraaya. Cupboard ke upar se ek photo album neeche gira. Anjali ne woh album uthaya. Woh album kaafi purana lag raha tha. Anjali ne us album ko khola aur woh us album mein lagi hui tasveerein dekhne lagi. Tasveerein kaafi purani thi. 


Tabhi Namrata us kamre mein aayi aur usne paaya ki Anjali album dekh rahi hain. Woh Anjali ke paas aayi. Anjali ne apna sar uthaya aur dekha ki saamne Namrata khadi hain. Woh Namrata se kahi, "Mummy yeh photo album upar se gira hain."

Namrata - "Yeh kaafi purana album hain beta."

Anjali - "Ismein aap aur Papa dikh rahe ho."

Namrata - "Hamare saath, in sabhi tasveeron mein ek ladka bhi hain."

Anjali - "Woh shayad Yash hain na."

Namrata muskurati hain aur kehti hain, "Haan."


Namrata aage kehti hain, "Yash bachpan mein bohut hi zyada shararati tha. Woh bohut maasoom hain. Bohut pyaar se humne use sambhaala hain aur ab tum dono ko ek dusre ko sambhaalna hain."

Anjali - "Ji Mummy."

Namrata - "Kabhi koi bhi dikkat ho, toh tum mujhe be-jhijhak keh dena."

Anjali muskurati hain aur kehti hain, "Zaroor Mummy."


Uske baad, dono Saans-Bahu baithkar aapas mein baat-cheet karte hain. Shaam mein, Sunil aur Yash ghar laut aate hain aur ghar ke sabhi sadasya, saath mein baithkar kuch der baat-cheet karte hain. Phir sabhi apne-apne kamre mein sone ke liye chale jaate hain. 


Agle din, sabhi log uthte hain. Sunil aur Yash tayyar hokar, kaam par nikal jaate hain. Anjali Namrata ke saath ghar ke kaam-kaaj mein lag jaati hain. Dono Saans-Bahu saath mein kaam kar hi rahe the, ki tabhi achaanak se Anjali ka phone bajta hain. Call uski ek saheli ka aaya tha. Woh Call uthati hain aur kuch der baat-cheet karti hain. Uske baad, Call kat jaata hain. 


Anjali Namrata ke paas jaati hain aur kehti hain, "Mummy."

Namrata - "Haan beta."

Anjali - "Mummy aapse ek baat kehni thi."

Namrata - "Haan bolo beta."

Anjali - "Mummy woh darasal meri Kanpur se meri ek saheli aayi hui hain is shehar mein. Woh isi shehar mein thi, toh woh mujhse milna chahti thi. Agar aapki ijaazat ho toh, kya main usse mil aaun ?"

Namrata - "Agar tum chaho, toh use ghar par hi milne ke liye bula lo. Lekin, agar tum apni saheli se bahar milna chahti ho, toh mujhe koi dikkat nahi hain. Tum mil aao."

Anjali - "Main use ghar hi bula leti hoon."

Namrata - "Thik hain beta."

Anjali apni saheli ko ghar bulati hain aur kuch der baad, woh unke ghar mein dastak deti hain. Anjali ki saheli ka naam, Rekha tha. Anjali aur Rekha aapas mein dher saari baat-cheet karte hain. Tabhi Namrata andar chale jaati hain. Mauke ko dekhte hi, Rekha Anjali ke nazdeek aati hain aur kehti hain, "Sach-Sach batana teri Saansu Maa tujhe tang toh nahi karti hain na ?"

Anjali - "Bilkul bhi nahi Rekha."

Rekha - "Waise tu toh bohut khushkismat hain. Iklauta ladka mila hain tujhe. Apni saans ko zyada sar par chadhne mat dena."

Anjali - "Filhal waise toh tu mujhpar chadh rahi hain. Meri saans meri maa jaisi hi hain. Mere liye, ab yehi meri Mummy hain. Main bohut khush hoon apne is chote se sansaar mein."

Rekha - "Chalo yeh toh bohut khushi ki baat hain. Accha yeh bata, tune apna chudiyon ka collection banane ka shauk ab bhi rakha hain ya, chod diya ?"

Anjali - "Hain ab bhi yeh shauk."


Tabhi Namrata andar se Chai le aati hain aur Chai peene ke baad, Rekha wahan se chali jaati hain. Namrata aur Anjali saath mein baithe hue the. 


Tabhi Namrata kehti hain, "Main jab Shaadi karke is ghar mein aayi thi, tab meri Saans mujhe bohut maanti thi. Main unki beti jaisi thi."

Anjali Muskurati hain.

 Namrata - "Main bhi unki beti jaisi hi raha karti thi. Mujhe jo kuch bhi chahiye hota tha, main poore haq se unse maanga karti thi."

Anjali phir muskurati hain.

Namrata aage kehti hain, "Mujhe is baat ka bohut dukh hoga, ki main abhi tak apni Bahu ko apni Beti nahi bana paayi."

Anjali - "Aap aisa kyun kehti ho Mummy ?"

Namrata - "Tumhe is ghar mein aaye kitna waqt ho chuka hain ?"

Anjali - "Ji aanth mahine Mummy."

Namrata - "Tumne mujhe kabhi bataya hi nahi, ki tumhe chudiyaan kharidne ka shauk hain. In aanth mahino mein ek baar bhi yeh baat tumne mujhe nahi batayi beta."

Anjali chup ho jaati hain. Namrata wahan se chali jaati hain.


Kuch der baad, Sunil aur Yash ghar aate hain. Poora parivaar saath baithkar yahan-wahan ki baatein karte hain. Tabhi Yash kehta hain, "Main do din baad, kuch dino ke liye bahar gaon jaa raha hoon."

Namrata - "Kal shaam mein tum Bahu ko bahar ghumane lete jaana aur uske liye chudiyaan kharid laana. Dusri baat, tumhe jaane ke liye paise bhi lagenge na ?"

Yash - "Haan Mummy."

Namrata - "Thik hain. Woh tum Bahu se maang lena."

Yash -  "Matlab ?"

Namrata - "Ghar ke liye kya laana hain. Kab kya kharidaari karni hain. Aaj se balki, abhi se yeh sab kuch Bahu hi dekhegi."


Yash Anjali ki aur dekhta hain aur kehta hain, "Tumne Mummy se kuch kaha hain kya ?"

Namrata - "Bahu se is baare mein meri koi baat nahi hui hain. Meri hi yeh iccha hain."

Yash - "Mummy lekin, aap aisa kyun kar rahi ho ?"


Namrata - "Ismein galat hi kya hain ? Kya Anjali ka is ghar par koi haq nahi hain ? Main yeh faisla le chuki hoon. Waise bhi mujhe Bahu par bharosa toh pehle se hi tha, lekin aaj is par mujhe atoot vishwas ho chuka hain."


Namrata andar chale jaati hain aur kuch der baad, woh wapas aati hain. Phir woh Anjali se kehti hain, "Apna haath aage badhaao beta."


Anjali apna haath badhaati hain. Namrata Anjali ke haath par chaabhiyon ka ek guccha rakhti hain aur woh kehti hain, "Aaj se is ghar ka saara daaromadaar tumhare kandhon par hain. Mujhe poora yakeen hain, ki tum bohut hi acche dhang se is zimmedari ko nibhaogi."


Anjali, Namrata ke pair chuti hain aur woh Anjali ko apne gale se laga leti hain.


                                           -  Ved Vineet Gautam


Comments

Popular posts from this blog

Ehsaas

Ajay apne mata-pita ka eklauta ladka tha. Bachpan mein hi usne apni Maa ko kho diya tha. Mohabbat mein insan ko kitni takleef jhelni padti hain, use kitna tadapna padta hain; yeh sab ka ehsaas use bachpan mein hi ho gaya tha. Apne pita ki peeda dekhkar usne bachpan mein hi nirnay le liya tha ki woh aajeevan kunwara hi rahega. Uski maa ki mrutyu ek car haadse mein hui thi. Apna Graduation karne ke baad use ek company mein Marketing Executive ki naukri lagi. Woh Digital Marketing ka kaam karta tha. Ek baar ki baat hain, jab uski Company ke dwara, use bahar gaon bhej diya gaya tha, Business Tour ke liye.Saari tayaari karne ke baad woh bahar gaon ke liye nikal pada. Uske Company dwara uska kamra ek 3 Star Hotel mein book kar diya gaya tha. Hotel Room mein pohuchkar woh fresh hua aur tayyar hokar woh apne meeting ke liye chal diya. Uska Business Tour kaafi lamba hone wala tha, kyunki, Ajay ko us shahar mein kai companies mein jaakar meetings karni thi.

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra

Saar

  Purshottam Sahay ek company mein naukri karte hain. Woh manager ki post par tainaat hain. Unki ek patni hain. Patni ka naam Poonam Sahay hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti. Bete ka naam Sumit Sahay hain aur beti ka naam Arpita Sahay hain. Dono bhai behen judwa hain.