Skip to main content

Paraspar

Raj Saxena ek company mein naukri karta hain. Woh apne maata-pita ka iklauta ladka hain. Raj ke pita ka naam, Ramesh Saxena hain aur maata ka naam, Shalini Saxena hain. Ramesh Saxena retire ho chuke hain aur ab woh ghar par hi aaram kar rahe hain. 

Ek din ki baat hain, Raj har roz ki tarah us din bhi apni company se ghar pohucha. Ghar ka darwaza khula tha. Hall mein baithkar, Ramesh akhbaar padh rahe the. Unki nazar Raj par padi. Raj ko dekhte hi, woh muskuraye. Badle mein Raj bhi muskurate hue, ghar ke andar aaya. Raj ke andar aate hi, Ramesh bole, "Baitho beta."
Woh Ramesh ke saamne baith gaya. Phir Ramesh bole, "Aur batao beta. Kaisa raha aaj ka din ?"
Raj - "Thik tha Papa."
Ramesh - "Tumhara kaam-kaaj kaisa chal raha hain ?"
Raj - "Accha chal raha hain Papa."
Ramesh - "Tumhare daftar mein sab kaise hain ?"
Raj - "Sabhi log thik hain Papa."
Ramesh - "Chalo badhiya hain."
Raj - "Papa mujhe aapse ek baat karni thi."
Ramesh - "Haan kaho beta."
Raj - "Papa ab aap bhi jaante hi ho ki Mummy se ab akele ghar ka kaam-kaaj sambhal nahi paata hain."
Ramesh - "Haan."
Raj - "Toh main yeh soch raha tha, ki main Shaadi kar loon."
Ramesh - "Yeh toh bohut hi accha vichar hain. Kya tumhe koi ladki pasand hain ?"
Raj - "Haan Papa. Ek ladki hain."
Ramesh - "Kya naam hain us ladki ka ?"
Raj - "Papa us ladki ka naam Rinki hain. Rinki Kashyap. Woh mere saath office mein kaam karti hain."
Ramesh - "Rinki ke pita kya kaam karte hain ?"
Raj - "Woh bhi ek private company mein naukri karte the. Filhal retire ho chuke hain."
Ramesh - "Aur us ladki ke ghar mein koun-koun hain ?"
Raj - "Rinki ke Papa-Mummy aur uska chota bhai."
Ramesh - "Uska bhai kya kaam karta hain ?"
Raj - "Woh filhal College mein padh raha hain."
Ramesh - "Kya tumne ladki ke pita se baat ki is baare mein ?"
Raj - "Abhi tak toh nahi."
Ramesh - "Yeh phir tumne sahi nahi kiya hain beta. Woh ladki ke pita hain aur ladki ke pita ke kai armaan hote hain apni beti ke bhavishya ke liye. Tumhe sabse pehle us ladki ke pita se is baare mein baat karni chahiye thi. Sabse zyada zaroori hain ki, woh log kya chahte hain."
Raj - "Thik hain Papa. Main Rinki se baat karta hoon is baare mein."
Ramesh - "Thik hain beta."

Raj Rinki se baat karta hain aur Rinki Ke Pita un logon ko agle hafte milne ke liye apne ghar par bulate hain. Hafte bhar, dono parivaar is mulaakaat ki tayyari mein jut jaate hain. Dono parivaar pehli baar ek dusre se milne wale the aur dono hi ghar ke baccho ke jeevan ka behad mahattavpurn nirnay lene wale the, toh is khaas din ki tayyari bhi behad khaas hone wali thi. 
Ramesh do kilo mithai ka dabba raaste mein kharid leta hain. Aakhir zindagi mein pehli baar woh apne bete ke liye ladki dekhne ke liye jaane wale the. Kuch samay baad, woh log Rinki ke ghar pohuch jaate hain. 

Rinki ka parivaar bade aadar ke saath un logon ka swaagat karta hain Ramesh bhi haath jodkar un logon ko 'Namastey' karta hain. Phir Rinki Ke Pita un logon se ghar ke andar aane ka aagrah karte hain. Veh log Rinki ke ghar mein pravesh karte hain. Uske baad, Rinki ke pita un logon se aasan grahan karne ka anurodh karte hain. Veh log baithte hain. Uske baad, Rinki ka parivaar bhi unke saamne baith jaata hain. Tab Rinki ke pita jinka naam Jagdish Kashyap hain, woh kehte hain, "Bataiye Saxena sahab. Kya lena pasand karenge aap ?"
Ramesh - "Jo bhi aapki iccha ho."
Jagdish - "Toh pehle sharbat ka sevan kiya jaaye ?"
Ramesh - "Ji Zaroor."
Jagdish apni patni se kehta hain, "Kiran. Zara sharbat le aana." Phir woh Ramesh ki aur dekhta hain aur kehta hain, "Toh aap is shehar mein kitne saalon se reh rahe hain ?"
Ramesh - "Main pichle tees saal se yahi par hoon. Aur aap ?"
Jagdish - "Main pehle Noida mein raha karta tha. Kuch dus saal pahle hi, hum log yahan par basein hain."
Ramesh - "Noida toh behad hi tarakki kar liya hain, kuch saalon mein."
Jagdish - "Haan behad."

Kiran sharbat le aati hain aur sabhi logon ko sharbat deti hain. Ramesh do ghunt peete hain aur kehte hain, "Sharbat behad swaadist aur meetha bana hain Bhabhi."
Kiran - "Shukriya Bhaisahab."
Phir woh log yahan-wahan ki baatein karte hain aur kuch der tak baat-cheet karne ke baad, aakhir mein Ramesh apni patni se kehte hain, "Shalini. Batao zara tumhari kya rai hain ?"
Shalini - "Mujhe toh rishta accha lag raha hain."

Phir Ramesh Jagdish ki aur dekhte hain aur kehte hain, "Bhaisahab hamari taraf se rishta pakka hain. Aage aapki jo iccha ho wahi hoga."
Jagdish - "Agar aapki ijaazat ho, toh kya main bhi apni patni se rai-mushwara kar loon ?"
Ramesh - "Ji Zaroor."
Jagdish Kiran ki aur dekhte hain aur kehte hain, "Tum bhi apni rai batao Kiran."
Kiran - "Mujhe bhi koi aitraaz nahi hain."

Uske baad, Jagdish Ramesh ki aur dekhte hain aur kehte hain, "Toh Bhaisahab. Kya main yeh rishta pakka samjhun ?"
Ramesh - "Haan Bhaisahab."
Jagdish - "Toh hum aisa karte hain ki, hum Sagaai karwa lete hain aur usi din Pandit Ji ko bulwakar Shaadi ki taareekh tai kar lete hain."
Ramesh - "Behad accha vichar hain yeh."
Jagdish - "Agle hafte Gudi Padwa hain. Us din Sagaai karwana kaisa rahega ?"
Ramesh - "Tyohaar ke din hamare is rishte ko ek naam milega. Hum dono parivaaron ki zindagi ki ek nayi shuruaat hogi. Isse zyada shubh ghadi shayad hi aur koi ho."

Agle din se hi dono parivaar, Sagaai ki tayyariyon mein jut jaate hain. Waqt kam tha aur Sagaai behad dhoom-dhaam se karwaani thi. Dono hi ne mil-julkar tayyari karna sahi samjha. Ek Hall tay kiya gaya, jahan par Sagaai honi thi. Dono hi parivaar ke sadasyon ne apne liye naye kapde bhi khariden. Sabhi log tayyariyon mein itne vyast the ki pata hi nahi chala ki kab Sagaai ka din aa gaya. Sagaai behad dhoom-dhaam se hui. Uske baad, Pandit Ji se ne shaadi ki taareekh poochi gayi aur unhone teen mahine baad ki taareekh di. 

Ab dono parivaar ke paas Shaadi ki tayyariyan karne ke liye samay hi samay tha. Dono hi parivaar ne bina koi vilamb kiye, agle din se hi, Shaadi ki tayyariyon mein jut gaye. Waise bhi Shaadi ki tayyari toh har parivaar ke liye khaas hi hota hain. Lekin, in dono parivaar ke liye yeh din aur bhi zyada khaas tha. Aur khaas isliye tha, kyunki kaafi lambe samay ke baad, dono hi ghar mein Shehnai goonjane wali thi. 
Shaadi mein na keval kareebi doston aur rishtedaron ko bulaaya gaya, balki, dur-dur ke bhi rishtedaron ko nyota bheja gaya. 
Shaadi toh badi dhoom-dhaam se hui thi. Shaadi mein aaye hue sabhi mehmaanon ne, dono parivaar dwara kiye gaye vyavastha ki badi prashansaa ki. 

Bidaai ke samay, Rinki ka parivaar behad bhaavuk ho gaya tha. Rinki se bhi apne parivaar se dur jaane ka gum chupaya nahi jaa raha tha. Jab woh gaadi mein baithi aur gaadi chalna shuru hui, tab Rinki rote nahi thak rahi thi. Aaj uske Baabul ka ghar paraaya ho chuka tha. Kuch der baad, woh apne naye ghar pohunchi. 

Shaadi ke baad bhi Rinki office jaaya karti thi. Dono pati-patni saath mein hi office jaate the aur aate bhi saath mein hi the. 
Shaadi ko kareeb ek mahina beet chuka tha. In ek mahino mein Rinki ne apne Saas-Sasur ko behad acche se samajha aur jaana. Un logon ne bhi, Rinki ko behad pyaar diya. Woh apne sasural mein khush toh thi lekin, use kahi na kahi ek kami khal rahi thi. Rinki ko ab Raj ka pehle jaisa samay aur dhyaan nahi mil paa raha tha. Jis wajah se, woh thodi maayus hone lag gayi thi. 

Shaadi se pehle woh dono aksar office ka kaam khatam hone ke baad, ek dusre ke saath dher saara samay beetane ke baad hi apne-apne ghar jaaya karte the. Lekin, ab dono ko hi ghar lautne ki jaldi padi rehti hain. Rinki bhi nahi chahti thi ki, uske ghar der se lautne ki wajah se uske saas ke sar par, ghar ke kaam ka saara bojh aa jaaye. Rinki naukri ke saath-saath ghar ke kaamon mein, Shalini ka haath baant ti rehti thi. 

Lekin, in sab ke beech, Raj aur Rinki ab pehle jaisa ek dusre ke saath samay nahi beeta paate the. Rinki ko laga ki nayi-nayi Shaadi hui hain, dheere-dheere sab kuch thik ho jaayega. Rinki ko ummeed thi, ki kuch samay baad use Raj ka pehle jaisa samay aur prem milega. 
Waqt guzarta gaya aur guzarte hue, waqt ke saath-saath, Rinki ke sabr ka baandh tootne lag gaya tha.

Ek din ki baat hain, jab Rinki  apna Mobile chalte-chalte Hall mein aayi. tab Ramesh ne Rinki se poocha, "Beta kya kar rahi ho ?"
"Ab kya aapko itna nahi dikh raha hain, main Mobile chala rahi hoon." Rinki ne bade teekhe andaaz mein jawaab diya. Lekin, Ramesh ne kuch nahi kaha. Woh samajh chuka tha, ki ab Raj ka samay pehle jaisa Rinki ko mil nahi paata hain, shayad isi wajah se uska mann thoda ukhad gaya hoga. 

Shaam mein Raj ghar aaya aur Ramesh ne bina din mein hue vaakye ko bataye, Raj ko samjhaya ki use apni patni ko samay dena chahiye. 

Kuch din beete aur woh baat wahi ki wahi khatam ho gayi. 

Ek din ki baat hain, jab ghar mein achaanak se Jagdish ne dastak de di. Jagdish ko dekhte hi, Ramesh ne uska swaagat kiya aur usne Jagdish se saath baithne ka aagrah kiya. Dono samdhi saath mein baithe baatein karne lage. Dono ne hi yahan-wahan ki baatein ki. 
Phir bade hi mazaakiyan andaaz mein Jagdish ne Ramesh se pucha, "Toh Bhaisahab hamari beti kahi aapko zyada takleef toh nahi de rahi hain ?"
Ramesh - "Bhaisahab aapki beti bade hi acche swabhaav ki hain. Hamari Bahu laakhon mein ek hain."
Jagdish - "Chaliye accha hain."

Uske baad, veh log dobara yahan-wahan ki baatein karne lag gaye. Baaton-Baaton mein, Ramesh Rinki ke guno aur swabhaav ki tareef karna nahi bhoolta tha. 

Rinki apne kamre mein hi thi, lekin use thodi-thodi baatein sunayi de rahi thi. Woh sochi, 'Aakhir Raj ke Papa kitne acche hain. Main bhi na jaane kitni bewakoof hoon. Yeh bhi nahi samajh paayi ki, Shaadi bhale hi main apne pasand se ki thi, lekin, mujhe apne Pati ke Parivaar ko apna parivaar maan na hoga. Unke pyaar aur saath se hi toh is Vivaah ka mahattav hain.'

Us din dwaara ki gayi naadani par Rinki ko bada pachtaawa ho raha tha. Bahar dono Samdhi baithkar, hansi-khushi baatein kar rahe the aur Rinki apne kamre mein baithi khud ko bas kos rahi thi.

Uske baad, Ramesh Rinki ko aawaz lagate hain aur Rinki apne aansun ponchkar Hall mein aati hain. Phir Ramesh, Rinki se kehta hain, "Beta zara apne Papa ke saath thoda waqt beetao. Itne dino ke baad, tum inse mil rahi ho."

Tabhi Jagdish, Rinki se kehta hain, "Beta main tumse naaraz hoon."
Rinki - "Kyun Papa ?"
Jagdish - "Tumne apni pasand se Shaadi ki. Lekin, tum yeh baat bhool gayi ho ki yeh tumhara Sasural hain. Apne Sasur ki izzat karna tumhara farz banta hain. Aur yeh mat samajhna ki Bhaisahab ne mujhse tumhari shikayat ki hain. Mujhe us din ke vaakye ke baare mein Raj ne bataya aur Raj ko yeh baat tumhari Saas se pata chala."

Tabhi Raj ghar pohuchta hain aur woh Jagdish ke pair chuta hain. Phir Ramesh Raj se baithe ke liye kehta hain. Raj baithta hain. Phir Ramesh, Raj ko samjhate hue kehta hain, "Dekho beta. Rinki tumhari Patni hain aur tumhare samay par sabse pehla adhikaar tumhari Patni ka hi hona chahiye. Tum dono behad samajhdaar ho, tabhi apni Shaadi ka faisla khud kiye ho. Ab Shaadi ke baad, agar tum dono samajhdaari nahi dikhaaoge toh rishta tik nahi paayega. Ek Pati hone ke naate, tumhara farz banta hain ki, tum apni Patni ka khayal rakho. Yeh ladki apne Pita ka ghar chodkar tumhare yahan aayi hain. 
Ek Pita ne apni beti ka haath tumhare haathon mein dekar, tumpar bada vishwaas kiya hain. Toh tumhara bhi farz hain ki, tum us vishwaas ko kaayam rakho. Tumhe apni Patni ko poora samman, prem aur samay dena hi chahiye."

Raj - "Mujhe maaf kar dijiyega Papa."

Agle din, Raj aur Rinki bahar jaate hain aur saath mein ek dusre ke saath samay beetate hain. Woh dono apne madbhed ko bhulaakar ek naye seere se apne vaivaahik jeevan ki shuruaat karte hain.

                  - Ved Vineet Gautam

Comments

Popular posts from this blog

Ehsaas

Ajay apne mata-pita ka eklauta ladka tha. Bachpan mein hi usne apni Maa ko kho diya tha. Mohabbat mein insan ko kitni takleef jhelni padti hain, use kitna tadapna padta hain; yeh sab ka ehsaas use bachpan mein hi ho gaya tha. Apne pita ki peeda dekhkar usne bachpan mein hi nirnay le liya tha ki woh aajeevan kunwara hi rahega. Uski maa ki mrutyu ek car haadse mein hui thi. Apna Graduation karne ke baad use ek company mein Marketing Executive ki naukri lagi. Woh Digital Marketing ka kaam karta tha. Ek baar ki baat hain, jab uski Company ke dwara, use bahar gaon bhej diya gaya tha, Business Tour ke liye.Saari tayaari karne ke baad woh bahar gaon ke liye nikal pada. Uske Company dwara uska kamra ek 3 Star Hotel mein book kar diya gaya tha. Hotel Room mein pohuchkar woh fresh hua aur tayyar hokar woh apne meeting ke liye chal diya. Uska Business Tour kaafi lamba hone wala tha, kyunki, Ajay ko us shahar mein kai companies mein jaakar meetings karni thi.

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra

Saar

  Purshottam Sahay ek company mein naukri karte hain. Woh manager ki post par tainaat hain. Unki ek patni hain. Patni ka naam Poonam Sahay hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti. Bete ka naam Sumit Sahay hain aur beti ka naam Arpita Sahay hain. Dono bhai behen judwa hain.