Skip to main content

Ulfat

 Yug ek naujawan ladka hain. Woh College mein padhta hain. Woh behad sharmila swabhaav ka ladka hain. Woh Bike se College aata jaata hain. Na woh College mein kisi ke saath zyada baat-cheet karta hain aur na hi, woh kisi se bhi ghulta-milta hain. Us ladke mein aatma-vishwas ki behad kami thi. 


Yug ke varg mein ek ladki thi. Us ladki ka naam tha Raashi. Woh Yug ke shaant swabhaav se behad prabhavit thi. Ek din ki baat hain. College ka waqt khatam ho chuka tha. Yug apna sar jhuka kar chalte hue, parking mein gaya. Phir woh apni Bike par baitha aur Chaabhi laga di. Tabhi Raashi, Yug ke paas aayi. Raashi ko dekh kar, Yug muskuraya. 


Raashi - "Hi Yug."


Yug - "Hi Raashi."


Raashi - "Toh ab ghar jaane ki tayyari kar rahe ho ?"


Yug 'Haan' mein apna sar hilaata hain. 


Raashi - "Filhal koi zaroori kaam hain kya tumhe ?"


Yug - "Bilkul bhi nahi."


Raashi - "Kya main tumse zara baat kar sakti hoon ?"


Yug - "Haan zaroor."


Raashi - "Toh Canteen chale ?"


Yug - "Nahi. Kahi bahar chalte hain. Thoda maahol bhi badal jaayega."


Raashi muskurati hain aur kehti hain, "Haan yeh accha idea hain."


Yug - "Toh baitho peeche."


Raashi Bike par Yug ke peeche baith jaati hain. Yug Bike start karta hain aur gaadi chal padti hain. Aasmaan mein Suraj saaf dikhaayi de raha tha. Ek halki si khoobsurat dhoop, un dono ke maasoom chehre par pad rahi thi. Dono hi khaamosh the. Raashi ka Yug ke kandhon par haath tha. Bike ek ausat gati se chal rahi thi; ki tabhi achaanak se sadak par ek gaddha aa gaya. Jis wajah se Bike ko ek halka sa jhatka laga. Raashi, Yug se takraayi. 


Yug - "Opps. Iam sorry."


Raashi - "Koi baat nahi."


Yug - "Waise kuch tay kiya hain, ki hum kaha par baithe ?"


Raashi - "Kisi Restaurant mein chalte hain."


Yug - "Kounsa Restaurant ?"


Raashi - "Woh tum tay karo."


Yug - "Smile Restaurant chale ?"


Raashi - "Tumhari yeh baat sunkar, mere chehre par Smile aa gayi Yug."


Yug hansta hain.


Thodi der baad, dono Restaurant pohunch jaate hain. Yug Bike rokta hain aur phir woh dono Bike se utarte hain. Phir Yug kehta hain, "Toh ab tum mujhe ijaazat do phir."


"Kya ?" Raashi hairaani se kehti hain. 


Yug - "Are Bhai main toh bas mazaak kar raha tha."


Raashi - "Tum mazaak bhi karte ho ?"


Yug sharmata hain. 


Raashi - "Mazaak karte hue bhi sharma rahe ho."


Yug - "Toh ab chale, Restaurant ke andar ?"


Raashi - "Haan zaroor."


Dono Resturant mein jaate hain. Yug Raashi ke liye Kursi kheechta hain aur woh Raashi ko baithne ka ishaara karta hain. Raashi ko is baat ki zara bhi ummeed nahi thi ki, Yug uske liye kursi keechega. Woh hairaan thi aur khush bhi. Dono baith te hain. 


Yug - "Toh kya khaana pasand karogi tum ?"


Raashi - "Jo bhi tum chaho."


Yug - "Aaj sab kuch sirf tumhari pasand ka hoga."


Raashi - "Coffee lete hain."


Yug - "Thik hain."


Yug waiter ko bulata hain aur do Cup Coffee order karta hain. 


Raashi - "Toh batao, tumhare ghar mein koun-koun hain ?"


Yug - "Bas Papa, Mummy aur main. Aur tumhare ghar mein ?"


Raashi - "Waise hi jaise tumhare ghar mein hain."


Yug - "Matlab ?"


Raashi - "Bas Papa, Mummy aur main."


Tabhi Coffee aa jaati hain aur woh dono kuch der yahan-wahan ki baat-cheet karte hain. Woh dono ek dusre ko samjhne ka prayaas karte hain. Kuch der baad woh dono Resturant se bahar nikalte hain. Yug dobara khaamosh ho jaata hain. Dono chalte hue jaa rahe the aur Raashi bas is baat ka intezaar kar rahi thi ki, shayad Yug ab kuch kahega. Kyunki, kuch der tak Yug ne khul kar baat-cheet ki. Lekin, Yug khaamosh tha. Yeh dekh Raashi kuch kehna ka sochti hain. 


Raashi - "Yug."


Yug - "Haan."


Raashi - "Kya hum aage bhi bahar mil sakte hain ?"


Yug - "Jaisa tum chaho."


Raashi - "Aage hum kab mile ?"


Yug - "Woh tum tay karo."


Raashi - "Toh ab main chalu phir ?"


Yug - "Kal College mein milna zaroor."


Raashi muskurati hain aur kehti hain, "Bye."


Yug - "Bye-Bye."


Dono apne-apne ghar ke liye chale jaate hain. Agle din dono College mein milte hain. 


Raashi - "Hi Yug."


Yug - "Hi."


Raashi - "Toh kaisa raha kal ka din ?"


Yug - "Tum mujhe maaf kar dena."


Raashi - "Kis baat ke liye ?"


Yug - "Woh kal Resturant se bahar nikalne ke baad, mujhe tumhe kam se kam Bus Stop tak chod dena chahiye tha."


Raashi hansti hain aur kehti hain, "Buddhu."


Yug sharmata hain. Phir Raashi kehti hain, "Toh College ke baad, Canteen chale ?"


Yug - "Haan Zaroor."


Dono apni-apni bench par jaakar baith jaate hain. Lectures ke dauraan, un dono ki nazar kai baar ek dusre par padti hain. Ek do baar, un dono ki nazarein bhi mili. Ek dusre se nazarein milte hi, dono apni nazarein chura lete. Dekhte-Hi-Dekhte, College ke Lectures khatam ho jaate hain.  


Lectures ke baad, sabhi vidhyarthi ek-ek karke class se nikalte hain. Raashi ne apna bag uthaya aur woh khadi hui. Phir uski nazar Yug par padi. Yug apni bench par baitha hua tha. Yeh dekh, Raashi bhi apni bench par dobara baith jaati hain. 


Kuch samay baad, class poora khaali ho jaata hain. Class mein sirf Yug aur Raashi the. Dono ek dusre ko dekhte hain. Kuch shan tak dono khaamosh the. Phir Yug kehta hain, "Kya aaj tumhara ghar jaane ka koi iraada nahi hain ?"


Raashi - "Haan jaane toh wali thi."


Yug - "Waise hum Canteen jaane wale the na ?"


Raashi - "Haan. Lekin, filhal yahan zyada accha lag raha hain."


Yug - "Hmm. Bohut khaamoshi hain yahan par."


Raashi - "Tumhe khaamoshi bohut pasand hain na ?"


Yug - "Haan shayad. Aur tumhe kya pasand hain ?"


Raashi - "Movies."


Yug - "Mujhe bhi Movies bohut pasand hain."


Raashi - "Toh kabhi saath mein Movies chale ?"


Yug - "Jab bhi tum kaho."


Raashi - "Weekend par ?"


Yug - "Thik hain."


Raashi - "Tum mujhe Call karna."


Yug - "Tumhara Contact Number kya hain ?"


Raashi Yug ko apna contact number de deti hain. Phir Raashi kehti hain, "Toh ab chale ?"


Yug - "Hmm."


Dono saath-saath chalte hain. Tabhi Yug kehta hain, "Agar tum chaho, toh main tumhe kahi chod deta hoon."


Raashi - "Main chali jaaungi. Bas saath mat chodna."


Yug muskurata hain. Do-Teen din tak dono College mein kuch yahan-wahan ki baat-cheet karte hain. Dekhte-Hi-Dekhte, Shanivaar aa jaata hain. Woh dono Canteen mein saath mein baithe hue the. Woh dono kuch baat-cheet kar rahe the. Apne swabhaav anusaar, Yug kam baat-cheet kar raha tha. Baat-Cheet karte-karte Raashi kehti hain, "Aaj Saturday hain."


Yug - "Haan. Kal chutti bhi hogi."


Raashi kuch nahi kehti hain. Woh bas ek tuk, Yug ko dekhti rehti hain. Yug kuch shan sochta hain aur phir woh achaanak se keh padta hain, "Are haan. Yaad aaya. Kal hum dono saath mein Movie dekhne ke liye jaane wale hain."


Raashi - "Chalo kam se kam tumhe itna toh yaad hain."


Yug - "Kal kitne baje chale hum dono movies ?"


Raashi - "Subah aanth baje."


Yug - "Accha... Kya ? Itne subah-subah ?"


Raashi - "Main mazaak kar rahi thi. Kal dopahar 12-1 baje tum mujhe mil lena."


Yug - "Kounsa Cinema Hall ?"


"Roxy Multiplex. Kal dopahar." Kehte hi,  Raashi uthti hain aur woh chale jaati hain. 


Agle din, Yug tayyar hokar Roxy Multiplex pohunch jaata hain. Woh yahan-wahan apni nazar daudaata hain. Lekin, use Raashi kahi nahi dikhayi deti hain. Woh Raashi ko Call karta hain. Lekin, woh Call nahi uthati hain. Kareeb dus minute baad, Raashi wahan par aati hain. Yug ki nazar, Raashi par padti hain. Raashi ne Top aur Jeans pehna hua tha. Woh Raashi ko dekhta hi reh jaata hain. 


Raashi, Yug ke paas aati hain. Woh Yug ke saamne apna haath badhati hain. Dono ek dusre se apna haath milaate hain. Raashi ke haath ka sparsh paate hi, Yug kahi kho sa jaata hain. Woh Raashi ka haath nahi chod raha tha. Woh Raashi ki aankhon ki gehraayi mein doob raha tha. Tabhi Raashi use pukarti hain. Lekin, Yug toh khoya hua tha. Raashi Yug ke haathon mein chumti kaat ti hain. Yug apni palkein phad-phadata hain. 


Raashi - "Kaaha khoye hue ho ?"


Yug - "Kahi nahi."


Raashi - "Movie dekhe ?"


Yug - "Hmmm."


Dono saath mein movie dekhte hain. Movie ke baad, dono bahar aate hain. Phir Raashi kehti hain, "Toh ab main chalu phir ?"


Yug - "Nahi kahi saath mein baithte hain."


Raashi - "Mall ghoom aate hain."


Yug - "Yeh sabse badhiya rahega."


Yug Bike lekar aata hain. Raashi uske peeche baithti hain. Bike chal padti hain. Yug kehta hain, "Waise kabhi kahi bahar jaana ho, toh akele mat jaana. Mujhe bula liya karna."


Raashi - "Haan Zaroor. Waise movies ke alawa tumhe aur kya-kya pasand hain ?"


Yug - "Mujhe zyadatar waqt akela rehna hi pasand hain."


Raashi - "Akele tum kya karte ho ?"


Yug - "YouTube par knowledgeable videos dekhta hoon. Tum akele kya karti ho ?"


Raashi - "Main bhi videos hi dekhti hoon."


Tabhi Mall aa jaata hain. Yug Bike rokta hain aur peeche mudta hain. Phir woh kehta hain, "Waise ek baat kahun ?"


Raashi - "Haan kaho."


Yug - "Mujhe tumhara saath bhi bohut accha lagta hain."


Dono ek dusre ko dekhte hain. Kuch shan ke liye, dono ek dusre ki aankhon mein doob jaate hain. Tabhi achaanak se Barsaat shuru ho jaati hain. Yug Bike ko parking mein le jaata hain. Woh dono Mall ke andar jaa rahe hote hain. Yug, Raashi ka haath pakad leta hain. Dono ek dusre ko dekhte hain. Lekin, Raashi kuch nahi kehti hain. Woh dono khaamoshi se Mall mein ghoom rahe the. Us waqt, un dono ke Dil mein hulchul chal rahi thi. Woh dono ek dusre se bohut kuch kehna chahte the, par keh nahi paa rahe the. Kuch der baad, Raashi kehti hain, "Ab main jaati hoon."


Yug 'Haan' mein apna sar hilaata hain. Raashi ko jaata dekh, Yug uske paas jaata hain. Raashi ki aankhein bhar aayi thi. Phir woh chale jaati hain. Us din ke baad se, un dono ke darmiyaan bohut kam baat-cheet hone lagi. Raashi bhi ab khaamosh rehne lag gayi thi. 


Dekhte Hi Dekhte, College ke din tezi se nikal jaate hain. College ke baad bhi woh dono kabhi-kabhi milte. Ek din ki baat hain. Yug ne Raashi ko call kiya. Raashi ne call uthaya aur kaha, "Haan Yug."


Yug - "Kaisi ho Raashi ?"


Raashi - "Main thik hoon. Tum kaise ho ?"

 

Yug - "Thik hoon."


Raashi - "College ke baad se mile nahi tum."


Yug - "Main Mumbai jaa raha hoon."


Raashi - "Kitne din ke liye."


Yug - "Hamesha ke liye. Wahan par business shuru karne wala hoon. Agle hafte jaa raha hoon. Jaane se pehle ek baar tumse milna chahta tha."


Raashi - "Main Nagpur aayi hui hoon. Ek mahine ke liye."


Yug Phone kaant deta hain. Un dono ko ehsaas ho chuka tha, ki ab woh dono ek dusre se dobara jaldi mil nahi paayenge. Woh dono ro rahe the. Lekin, dono is baat se anjaan the, ki saamne wale ke Dil mein bhi mohabbat hain. 


Ek dusre ke saath bitaya hua ek-ek pal, un dono ko bohut yaad aata hain. Khaas kar, Mall mein jab woh dono ek dusre mein doob gaye the. Woh pal un dono ke liye behad khaas tha. 


Waqt beet ta gaya aur un dono ke beech baat-cheet bhi behad kam ho gayi. 


Ek din ki baat hain. Yug apne cabin mein baith kar kaam kar raha tha. Tabhi uske Cabin mein uska ek Karmachari aata hain aur kehta hain, "Ek Madam Interview ke liye aayi hain."


Yug - "Thik hain, unhe andar bhej do."


Ek ladki Cabin mein aati hain. Yug ki nazar us par padti hain aur woh ladki koi aur nahi balki; Raashi hoti hain. Dono ek dusre ko dekh kar hairaan reh jaate hain. Raashi ke haath se file bhi gir jaati hain. Dono ki aankhein bhar aati hain. Lekin, us waqt woh dono apne jazbaat ko kaaboo mein rakhna hi behtar samajhte hain. Interview ke naam par, Yug; Raashi se kuch sawaal karta hain. Woh alag baat hain ki, Interview mein pooche gaye sawaalon se zyada hi; Yug ko Raashi ke baare mein pata tha. Phir Yug kehta hain, "Aapki naukri pakki hain. Aap chaho toh kal se aa sakte ho naukri par."


Raashi bina kuch kahe chale jaati hain. Agle din se, Raashi kaam par aane lagi. Lekin, woh dono ek se bas kaam se kaam ki hi baatein karte. Aisa kuch mahino tak chala. Is tarah ek dusre se ajnabiyon ki tarah pesh aana, un dono ke hi Dil ko jalaa raha tha. 


Ek din ki baat hain. Yug ne Raashi ko apne Cabin mein bulaya aur kaha ki, "Hume bahar jaana hoga ek meeting ke liye." Raashi ne 'Haan' mein apna sar hilaaya. 


Yug - "Abhi."


Raashi - "Thik hain."


Dono saath mein cabin se nikalte hain. Woh dono Car mein baith jaate hain. Yug Car chalata hain. Woh dono khaamosh the. Yug Car ko ek sunsaan sadak par le jaakar rokta hain aur woh Car se bahar nikalta hain. Raashi bhi Car se nikalti hain aur kehti hain, "Tumne Car yahan par kyun roki Yug ?"


Yug - "Bas yahi sunne ke liye."


Raashi - "Matlab ?"


Yug - "Tumhara yun ajnabiyon ki tarah pesh aana, mujhe pasand nahi aa raha hain."


Raashi - "Matlab ?"


Yug - "College ke dino mein kya kabhi tumhare Dil mein mere liye kuch tha ?"


Raashi khaamosh thi. 


Yug - "Jawaab do, chup kyun ho tum ?"


Raashi ki aankhein bhar aati hain. 


Yug, Raashi ke paas jaata hain aur woh uske gale lag jaata hain. Woh dono ek dusre se lipat kar bohut rote hain. Aakhir mein Yug apni jeb se anguthi nikaalta hain aur woh Raashi ko pehna deta hain. 


Raashi - "Ab tum mujhse ek Din ke liye bhi dur mat hona."


Yug - "Mere Dil mein tum nahi. Tum hi mera Dil ho Raashi."


Woh dono ek dusre ke gale lag jaate hain aur ek dusre mein kho jaate hain. 


                   - Ved Vineet Gautam


Comments

Popular posts from this blog

Ehsaas

Ajay apne mata-pita ka eklauta ladka tha. Bachpan mein hi usne apni Maa ko kho diya tha. Mohabbat mein insan ko kitni takleef jhelni padti hain, use kitna tadapna padta hain; yeh sab ka ehsaas use bachpan mein hi ho gaya tha. Apne pita ki peeda dekhkar usne bachpan mein hi nirnay le liya tha ki woh aajeevan kunwara hi rahega. Uski maa ki mrutyu ek car haadse mein hui thi. Apna Graduation karne ke baad use ek company mein Marketing Executive ki naukri lagi. Woh Digital Marketing ka kaam karta tha. Ek baar ki baat hain, jab uski Company ke dwara, use bahar gaon bhej diya gaya tha, Business Tour ke liye.Saari tayaari karne ke baad woh bahar gaon ke liye nikal pada. Uske Company dwara uska kamra ek 3 Star Hotel mein book kar diya gaya tha. Hotel Room mein pohuchkar woh fresh hua aur tayyar hokar woh apne meeting ke liye chal diya. Uska Business Tour kaafi lamba hone wala tha, kyunki, Ajay ko us shahar mein kai companies mein jaakar meetings karni thi.

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra

Saar

  Purshottam Sahay ek company mein naukri karte hain. Woh manager ki post par tainaat hain. Unki ek patni hain. Patni ka naam Poonam Sahay hain. Un dono ke do bacche hain. Ek beta aur ek beti. Bete ka naam Sumit Sahay hain aur beti ka naam Arpita Sahay hain. Dono bhai behen judwa hain.