Skip to main content

Posts

Vishwaas

 Ramesh Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam, Raakhi Kumar hain. Ramesh aur Raakhi ke do bete hain. Bade bete ka naam, Suraj Kumar hain aur chote bete ka naam, Aditya Kumar hain. Suraj aur Aditya dono hi, Ramesh ke saath vyapaar mein haath bantate hain. Veh dono Bhai abhi tak kunware hain. Teeno baap-bete har subah tayyar hokar apne dukaan ke liye nikal padte hain aur shaam mein kaam khatam hote hi, apne ghar laut aate hain.  Ek din ki baat hain. Shaam ka waqt tha aur Ghar mein sabhi sadasya saath mein baithe hue the. Sabhi Ghar wale aapas mein baat-cheet kar rahe the.  Ramesh - "Kaam toh acche se chal raha hain. Hamare dono beton ne behad shaandar tareeke se kaam ko sambhal liya hain." Raakhi - "Haan dono hi ladke bade mehanti hain." Suraj aur Aditya dono muskurate hain.  Ramesh - "Ab dono ladke bade zimmedar ban gaye hain. Ab waqt aa gaya hain ki ek-ek karke in dono ki zimmedariyan zara badha di jaaye." Suraj - "Matlab Papa ?" Ra
Recent posts

Ulfat

 Yug ek naujawan ladka hain. Woh College mein padhta hain. Woh behad sharmila swabhaav ka ladka hain. Woh Bike se College aata jaata hain. Na woh College mein kisi ke saath zyada baat-cheet karta hain aur na hi, woh kisi se bhi ghulta-milta hain. Us ladke mein aatma-vishwas ki behad kami thi.  Yug ke varg mein ek ladki thi. Us ladki ka naam tha Raashi. Woh Yug ke shaant swabhaav se behad prabhavit thi. Ek din ki baat hain. College ka waqt khatam ho chuka tha. Yug apna sar jhuka kar chalte hue, parking mein gaya. Phir woh apni Bike par baitha aur Chaabhi laga di. Tabhi Raashi, Yug ke paas aayi. Raashi ko dekh kar, Yug muskuraya.  Raashi - "Hi Yug." Yug - "Hi Raashi." Raashi - "Toh ab ghar jaane ki tayyari kar rahe ho ?" Yug 'Haan' mein apna sar hilaata hain.  Raashi - "Filhal koi zaroori kaam hain kya tumhe ?" Yug - "Bilkul bhi nahi." Raashi - "Kya main tumse zara baat kar sakti hoon ?" Yug - "Haan zaroor." Ra

Dridh

 Sanjay Kumar peshe se ek vyapaari hain. Unki patni ka naam Surekha Kumar hain. Sanjay aur Surekha ka ek beta hain. Us ladke ka naam, Anuj Kumar hain. Sanjay ek Khilono ki factory ke Maalik hain. Anuj, School mein padhayi karta hain. Sanjay ka vyavasay bhi accha chal raha hain. Sanjay har roz subah tayyar hokar apni Factory mein jaata aur shaam mein apne ghar laut aata. Phir woh teen logon ka Parivaar aapas mein dher saara waqt beetate. Sab kuch accha chal raha tha.  Ek din ki baat hain. Sanjay apni Factory mein tha. Woh apne Cabin mein baithkar bade dhyaan se, kaam kar raha tha. Tabhi use shor-sharaabe ki aawaaz sunayi di. Woh apni kursi se uthta hain aur apne Cabin ke bahar chala jaata hain. Cabin se bahar aate hi, Sanjay paata hain ki; kuch Workers aapas mein lad-jhagad rahe the. Woh wahan par jaata hain aur zor se chillata hain, "Sab log shaant ho jaao." Sanjay ki aawaaz sunkar, sab log khaamosh ho jaate hain aur woh sabhi workers Sanjay ki aur dekhne lagte hain. Phir San